Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 23
Isai UrduGeoR 23:1  Sūr ke bāre meṅ Allāh kā farmān: Ai Tarsīs ke umdā jahāzo, wāwailā karo! Kyoṅki Sūr tabāh ho gayā hai, wahāṅ ṭikne kī jagah tak nahīṅ rahī. Jazīrā-e-Qubrus se wāpas āte waqt unheṅ ittalā dī gaī.
Isai UrduGeoR 23:2  Ai sāhilī ilāqe meṅ basne wālo, āh-o-zārī karo! Ai Saidā ke tājiro, mātam karo! Tere qāsid samundar ko pār karte the,
Isai UrduGeoR 23:3  wuh gahre pānī par safr karte hue Misr kā ġhallā tujh tak pahuṅchāte the, kyoṅki tū hī Dariyā-e-Nīl kī fasal se nafā kamātā thā. Yoṅ tū tamām qaumoṅ kā tijāratī markaz banā.
Isai UrduGeoR 23:4  Lekin ab sharmsār ho, ai Saidā, kyoṅki samundar kā qilāband shahr Sūr kahtā hai, “Hāy, sab kuchh tabāh ho gayā hai. Ab aisā lagtā hai ki maiṅ ne na kabhī dard-e-zah meṅ mubtalā ho kar bachche janm die, na kabhī beṭe-beṭiyāṅ pāle.”
Isai UrduGeoR 23:5  Jab yih ḳhabar Misr tak pahuṅchegī to wahāṅ ke bāshinde taṛap uṭheṅge.
Isai UrduGeoR 23:6  Chunāṅche samundar ko pār karke Tarsīs tak pahuṅcho! Ai sāhilī ilāqe ke bāshindo, giryā-o-zārī karo!
Isai UrduGeoR 23:7  Kyā yih wāqaī tumhārā wuh shahr hai jis kī rangraliyāṅ mashhūr thīṅ, wuh qadīm shahr jis ke pāṅw use dūr-darāz ilāqoṅ tak le gae tāki wahāṅ naī ābādiyāṅ qāym kare?
Isai UrduGeoR 23:8  Kis ne Sūr ke ḳhilāf yih mansūbā bāndhā? Yih shahr to pahle bādshāhoṅ ko taḳht par biṭhāyā kartā thā, aur us ke saudāgar ra'īs the, us ke tājir duniyā ke shurafā meṅ gine jāte the.
Isai UrduGeoR 23:9  Rabbul-afwāj ne yih mansūbā bāndhā tāki tamām shān-o-shaukat kā ghamanḍ past aur duniyā ke tamām ohdedār zer ho jāeṅ.
Isai UrduGeoR 23:10  Ai Tarsīs Beṭī, ab se apnī zamīn kī khetībāṛī kar, un kisānoṅ kī tarah kāshtkārī kar jo Dariyā-e-Nīl ke kināre apnī fasleṅ lagāte haiṅ, kyoṅki terī bandargāh jātī rahī hai.
Isai UrduGeoR 23:11  Rab ne apne hāth ko samundar ke ūpar uṭhā kar mamālik ko hilā diyā. Us ne hukm diyā hai ki Kanān ke qile barbād ho jāeṅ.
Isai UrduGeoR 23:12  Us ne farmāyā, “Ai Saidā Beṭī, ab se terī rangraliyāṅ band raheṅgī. Ai kuṅwārī jis kī ismatdarī huī hai, uṭh aur samundar ko pār karke Qubrus meṅ panāh le. Lekin wahāṅ bhī tū ārām nahīṅ kar pāegī.”
Isai UrduGeoR 23:13  Mulk-e-Bābal par nazar ḍālo. Yih qaum to nest-o-nābūd ho gaī, us kā mulk janglī jānwaroṅ kā ghar ban gayā hai. Asūriyoṅ ne burj banā kar use gher liyā aur us ke qiloṅ ko ḍhā diyā. Malbe kā ḍher hī rah gayā hai.
Isai UrduGeoR 23:14  Ai Tarsīs ke umdā jahāzo, hāy hāy karo, kyoṅki tumhārā qilā tabāh ho gayā hai!
Isai UrduGeoR 23:15  Tab Sūr insān kī yād se utar jāegā. Lekin 70 sāl yānī ek bādshāh kī muddatul-umr ke bād Sūr us tarah bahāl ho jāegā jis tarah gīt meṅ kasbī ke bāre meṅ gāyā jātā hai,
Isai UrduGeoR 23:16  “Ai farāmosh kasbī, chal! Apnā sarod pakaṛ kar galiyoṅ meṅ phir! Sarod ko ḳhūb bajā, kaī ek gīt gā tāki log tujhe yād kareṅ.”
Isai UrduGeoR 23:17  Kyoṅki 70 sāl ke bād Rab Sūr ko bahāl karegā. Kasbī dubārā paise kamāegī, duniyā ke tamām mamālik us ke gāhak baneṅge.
Isai UrduGeoR 23:18  Lekin jo paise wuh kamāegī wuh Rab ke lie maḳhsūs hoṅge. Wuh zaḳhīrā karne ke lie jamā nahīṅ hoṅge balki Rab ke huzūr ṭhaharne wāloṅ ko die jāeṅge tāki jī bhar kar khā sakeṅ aur shāndār kapṛe pahan sakeṅ.