Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LEVITICUS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 16
Levi UrduGeoR 16:1  Jab Hārūn ke do beṭe Rab ke qarīb ā kar halāk hue to is ke bād Rab Mūsā se hamkalām huā.
Levi UrduGeoR 16:2  Us ne kahā, “Apne bhāī Hārūn ko batānā ki wuh sirf muqarrarā waqt par parde ke pīchhe Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil ho kar ahd ke sandūq ke ḍhakne ke sāmne khaṛā ho jāe, warnā wuh mar jāegā. Kyoṅki maiṅ ḳhud us ḍhakne ke ūpar bādal kī sūrat meṅ zāhir hotā hūṅ.
Levi UrduGeoR 16:3  Aur jab bhī wuh dāḳhil ho to gunāh kī qurbānī ke lie ek jawān bail aur bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek menḍhā pesh kare.
Levi UrduGeoR 16:4  Pahle wuh nahā kar imām ke katān ke muqaddas kapṛe pahan le yānī zerjāmā, us ke nīche pājāmā, phir kamarband aur pagaṛī.
Levi UrduGeoR 16:5  Isrāīl kī jamāt Hārūn ko gunāh kī qurbānī ke lie do bakre aur bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek menḍhā de.
Levi UrduGeoR 16:6  Pahle Hārūn apne aur apne gharāne ke lie jawān bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhāe.
Levi UrduGeoR 16:7  Phir wuh donoṅ bakroṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par Rab ke sāmne le āe.
Levi UrduGeoR 16:8  Wahāṅ wuh qurā ḍāl kar ek ko Rab ke lie chune aur dūsre ko azāzel ke lie.
Levi UrduGeoR 16:9  Jo bakrā Rab ke lie hai use wuh gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kare.
Levi UrduGeoR 16:10  Dūsrā bakrā jo qur'e ke zariye azāzel ke lie chunā gayā use zindā hālat meṅ Rab ke sāmne khaṛā kiyā jāe tāki wuh jamāt kā kaffārā de. Wahāṅ se use registān meṅ azāzel ke pās bhejā jāe.
Levi UrduGeoR 16:11  Lekin pahle Hārūn jawān bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhā kar apnā aur apne gharāne kā kaffārā de. Use zabah karne ke bād
Levi UrduGeoR 16:12  wuh baḳhūr kī qurbāngāh se jalte hue koeloṅ se bharā huā bartan le kar apnī donoṅ muṭṭhiyāṅ bārīk ḳhushbūdār baḳhūr se bhar le aur Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil ho jāe.
Levi UrduGeoR 16:13  Wahāṅ wuh Rab ke huzūr baḳhūr ko jalte hue koeloṅ par ḍāl de. Is se paidā hone wālā dhuāṅ ahd ke sandūq kā ḍhaknā chhupā degā tāki Hārūn mar na jāe.
Levi UrduGeoR 16:14  Ab wuh jawān bail ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar apnī unglī se ḍhakne ke sāmne wāle hisse par chhiṛke, phir kuchh apnī unglī se sāt bār us ke sāmne zamīn par chhiṛke.
Levi UrduGeoR 16:15  Is ke bād wuh us bakre ko zabah kare jo qaum ke lie gunāh kī qurbānī hai. Wuh us kā ḳhūn Muqaddastarīn Kamre meṅ le āe aur use bail ke ḳhūn kī tarah ahd ke sandūq ke ḍhakne par aur sāt bār us ke sāmne zamīn par chhiṛke.
Levi UrduGeoR 16:16  Yoṅ wuh Muqaddastarīn Kamre kā kaffārā degā jo Isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ aur tamām gunāhoṅ se muta'assir hotā rahtā hai. Is se wuh mulāqāt ke pūre ḳhaime kā bhī kaffārā degā jo ḳhaimāgāh ke darmiyān hone ke bāis Isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ se muta'assir hotā rahtā hai.
Levi UrduGeoR 16:17  Jitnā waqt Hārūn apnā, apne gharāne kā aur Isrāīl kī pūrī jamāt kā kaffārā dene ke lie Muqaddastarīn Kamre meṅ rahegā is daurān kisī dūsre ko mulāqāt ke ḳhaime meṅ ṭhaharne kī ijāzat nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 16:18  Phir wuh Muqaddastarīn Kamre se nikal kar ḳhaime meṅ Rab ke sāmne paṛī qurbāngāh kā kaffārā de. Wuh bail aur bakre ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar use qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe.
Levi UrduGeoR 16:19  Kuchh ḳhūn wuh apnī unglī se sāt bār us par chhiṛak de. Yoṅ wuh use Isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ se pāk karke maḳhsūs-o-muqaddas karegā.
Levi UrduGeoR 16:20  Muqaddastarīn Kamre, mulāqāt ke ḳhaime aur qurbāngāh kā kaffārā dene ke bād Hārūn zindā bakre ko sāmne lāe.
Levi UrduGeoR 16:21  Wuh apne donoṅ hāth us ke sar par rakhe aur Isrāīliyoṅ ke tamām qusūr yānī un ke tamām jarāym aur gunāhoṅ kā iqrār karke unheṅ bakre ke sar par ḍāl de. Phir wuh use registān meṅ bhej de. Is ke lie wuh bakre ko ek ādmī ke sapurd kare jise yih zimmedārī dī gaī hai.
Levi UrduGeoR 16:22  Bakrā apne āp par un kā tamām qusūr uṭhā kar kisī wīrān jagah meṅ le jāegā. Wahāṅ sāth wālā ādmī use chhoṛ āe.
Levi UrduGeoR 16:23  Is ke bād Hārūn mulāqāt ke ḳhaime meṅ jāe aur katān ke wuh kapṛe jo us ne Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil hone se peshtar pahan lie the utār kar wahīṅ chhoṛ de.
Levi UrduGeoR 16:24  Wuh muqaddas jagah par nahā kar apnī ḳhidmat ke ām kapṛe pahan le. Phir wuh bāhar ā kar apne aur apnī qaum ke lie bhasm hone wālī qurbānī pesh kare tāki apnā aur apnī qaum kā kaffārā de.
Levi UrduGeoR 16:25  Is ke alāwā wuh gunāh kī qurbānī kī charbī qurbāngāh par jalā de.
Levi UrduGeoR 16:26  Jo ādmī azāzel ke lie bakre ko registān meṅ chhoṛ āyā hai wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Is ke bād wuh ḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai.
Levi UrduGeoR 16:27  Jis bail aur bakre ko gunāh kī qurbānī ke lie pesh kiyā gayā aur jin kā ḳhūn kaffārā dene ke lie Muqaddastarīn Kamre meṅ lāyā gayā, lāzim hai ki un kī khāleṅ, gosht aur gobar ḳhaimāgāh ke bāhar jalā diyā jāe.
Levi UrduGeoR 16:28  Yih chīzeṅ jalāne wālā bād meṅ apne kapṛe dho kar nahā le. Phir wuh ḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai.
Levi UrduGeoR 16:29  Lāzim hai ki sātweṅ mahīne ke dasweṅ din Isrāīlī aur un ke darmiyān rahne wāle pardesī apnī jān ko dukh deṅ aur kām na kareṅ. Yih usūl tumhāre lie abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 16:30  Is din tumhārā kaffārā diyā jāegā tāki tumheṅ pāk kiyā jāe. Tab tum Rab ke sāmne apne tamām gunāhoṅ se pāk ṭhahroge.
Levi UrduGeoR 16:31  Pūrā din ārām karo aur apnī jān ko dukh do. Yih usūl abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 16:32  Is din imām-e-āzam tumhārā kaffārā de, wuh imām jise us ke bāp kī jagah masah kiyā gayā aur iḳhtiyār diyā gayā hai. Wuh katān ke muqaddas kapṛe pahan kar
Levi UrduGeoR 16:33  Muqaddastarīn Kamre, mulāqāt ke ḳhaime, qurbāngāh, imāmoṅ aur jamāt ke tamām logoṅ kā kaffārā de.
Levi UrduGeoR 16:34  Lāzim hai ki sāl meṅ ek dafā Isrāīliyoṅ ke tamām gunāhoṅ kā kaffārā diyā jāe. Yih usūl tumhāre lie abad tak qāym rahe.” Sab kuchh waise hī kiyā gayā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.