Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EPHESIANS
1 2 3 4 5 6
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 6
Ephe UrduGeoR 6:1  Bachcho, Ḳhudāwand meṅ apne māṅ-bāp ke tābe raheṅ, kyoṅki yihī rāstbāzī kā taqāzā hai.
Ephe UrduGeoR 6:2  Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā.” Yih pahlā hukm hai jis ke sāth ek wādā bhī kiyā gayā hai,
Ephe UrduGeoR 6:3  “Phir tū ḳhushhāl aur zamīn par der tak jītā rahegā.”
Ephe UrduGeoR 6:4  Ai wālido, apne bachchoṅ se aisā sulūk mat kareṅ ki wuh ġhusse ho jāeṅ balki unheṅ Ḳhudāwand kī taraf se tarbiyat aur hidāyat de kar pāleṅ.
Ephe UrduGeoR 6:5  Ġhulāmo, ḍarte aur kāṅpte hue apne insānī mālikoṅ ke tābe raheṅ. Ḳhulūsdilī se un kī ḳhidmat yoṅ kareṅ jaise Masīh kī.
Ephe UrduGeoR 6:6  Na sirf un ke sāmne hī aur unheṅ ḳhush rakhne ke lie ḳhidmat kareṅ balki Masīh ke ġhulāmoṅ kī haisiyat se jo pūrī lagan se Allāh kī marzī pūrī karnā chāhte haiṅ.
Ephe UrduGeoR 6:7  Ḳhushī se ḳhidmat kareṅ, is tarah jaisā ki āp na sirf insānoṅ kī balki Ḳhudāwand kī ḳhidmat kar rahe hoṅ.
Ephe UrduGeoR 6:8  Āp to jānte haiṅ ki jo bhī achchhā kām ham ne kiyā us kā ajr Ḳhudāwand degā, ḳhāh ham ġhulām hoṅ yā āzād.
Ephe UrduGeoR 6:9  Aur māliko, āp bhī apne ġhulāmoṅ se aisā hī sulūk kareṅ. Unheṅ dhamkiyāṅ na deṅ. Āp ko to mālūm hai ki āsmān par āp kā bhī mālik hai aur ki wuh jānibdār nahīṅ hotā.
Ephe UrduGeoR 6:10  Ek āḳhirī bāt, Ḳhudāwand aur us kī zabardast quwwat meṅ tāqatwar ban jāeṅ.
Ephe UrduGeoR 6:11  Allāh kā pūrā zirābaktar pahan leṅ tāki Iblīs kī chāloṅ kā sāmnā kar sakeṅ.
Ephe UrduGeoR 6:12  Kyoṅki hamārī jang insān ke sāth nahīṅ hai balki hukmrānoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ ke sāth, is tārīk duniyā ke hākimoṅ ke sāth aur āsmānī duniyā kī shaitānī kuwwatoṅ ke sāth hai.
Ephe UrduGeoR 6:13  Chunāṅche Allāh kā pūrā zirābaktar pahan leṅ tāki āp musībat ke din Iblīs ke hamloṅ kā sāmnā kar sakeṅ balki sab kuchh saranjām dene ke bād qāym rah sakeṅ.
Ephe UrduGeoR 6:14  Ab yoṅ khaṛe ho jāeṅ ki āp kī kamr meṅ sachchāī kā paṭkā bandhā huā ho, āp ke sīne par rāstbāzī kā sīnāband lagā ho
Ephe UrduGeoR 6:15  aur āp ke pāṅwoṅ meṅ aise jūte hoṅ jo sulah-salāmatī kī ḳhushḳhabrī sunāne ke lie taiyār raheṅ.
Ephe UrduGeoR 6:16  Is ke alāwā īmān kī ḍhāl bhī uṭhāe rakheṅ, kyoṅki is se āp Iblīs ke jalte hue tīr bujhā sakte haiṅ.
Ephe UrduGeoR 6:17  Apne sar par najāt kā ḳhod pahan kar hāth meṅ Rūh kī talwār jo Allāh kā kalām hai thāme rakheṅ.
Ephe UrduGeoR 6:18  Aur har mauqe par Rūh meṅ har tarah kī duā aur minnat karte raheṅ. Jāgte aur sābitqadmī se tamām muqaddasīn ke lie duā karte raheṅ.
Ephe UrduGeoR 6:19  Mere lie bhī duā kareṅ ki jab bhī maiṅ apnā muṅh kholūṅ Allāh mujhe aise alfāz atā kare ki pūrī dilerī se us kī ḳhushḳhabrī kā rāz sunā sakūṅ.
Ephe UrduGeoR 6:20  Kyoṅki maiṅ isī paiġhām kī ḳhātir qaidī, hāṅ zanjīroṅ meṅ jakaṛā huā Masīh kā elchī hūṅ. Duā kareṅ ki maiṅ Masīh meṅ utnī dilerī se yih paiġhām sunāūṅ jitnā mujhe karnā chāhie.
Ephe UrduGeoR 6:21  Āp mere hāl aur kām ke bāre meṅ bhī jānanā chāheṅge. Ḳhudāwand meṅ hamārā azīz bhāī aur wafādār ḳhādim Tuḳhikus āp ko yih sab kuchh batā degā.
Ephe UrduGeoR 6:22  Maiṅ ne use isī lie āp ke pās bhej diyā ki āp ko hamāre hāl kā patā chale aur āp ko tasallī mile.
Ephe UrduGeoR 6:23  Ḳhudā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp bhāiyoṅ ko salāmatī aur īmān ke sāth muhabbat atā kareṅ.
Ephe UrduGeoR 6:24  Allāh kā fazl un sab ke sāth ho jo anmiṭ muhabbat ke sāth hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ko pyār karte haiṅ.