Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LAMENTATIONS
1 2 3 4 5
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 5
Lame UrduGeoR 5:1  Ai Rab, yād kar ki hamāre sāth kyā kuchh huā! Ġhaur kar ki hamārī kaisī ruswāī huī hai.
Lame UrduGeoR 5:2  Hamārī maurūsī milkiyat pardesiyoṅ ke hawāle kī gaī, hamāre ghar ajnabiyoṅ ke hāth meṅ ā gae haiṅ.
Lame UrduGeoR 5:3  Ham wālidoṅ se mahrūm ho kar yatīm ho gae haiṅ, hamārī māeṅ bewāoṅ kī tarah ġhairmahfūz haiṅ.
Lame UrduGeoR 5:4  Ḳhāh pīne kā pānī ho yā lakaṛī, har chīz kī pūrī qīmat adā karnī paṛtī hai, hālāṅki yih hamārī apnī hī chīzeṅ thīṅ.
Lame UrduGeoR 5:5  Hamārā tāqqub karne wāle hamāre sar par chaṛh āe haiṅ, aur ham thak gae haiṅ. Kahīṅ bhī sukūn nahīṅ miltā.
Lame UrduGeoR 5:6  Ham ne apne āp ko Misr aur Asūr ke hawāle kar diyā tāki roṭī mil jāe aur bhūke na mareṅ.
Lame UrduGeoR 5:7  Hamāre bāpdādā ne gunāh kiyā, lekin wuh kūch kar gae haiṅ. Ab ham hī un kī sazā bhugat rahe haiṅ.
Lame UrduGeoR 5:8  Ġhulām ham par hukūmat karte haiṅ, aur koī nahīṅ hai jo hameṅ un ke hāth se bachāe.
Lame UrduGeoR 5:9  Ham apnī jān ko ḳhatre meṅ ḍāl kar rozī kamāte haiṅ, kyoṅki bayābān meṅ talwār hamārī tāk meṅ baiṭhī rahtī hai.
Lame UrduGeoR 5:10  Bhūk ke māre hamārī jild tanūr jaisī garm ho kar churmur ho gaī hai.
Lame UrduGeoR 5:11  Siyyūn meṅ auratoṅ kī ismatdarī, Yahūdāh ke shahroṅ meṅ kuṅwāriyoṅ kī behurmatī huī hai.
Lame UrduGeoR 5:12  Dushman ne ra'īsoṅ ko phāṅsī de kar buzurgoṅ kī be'izzatī kī hai.
Lame UrduGeoR 5:13  Naujawānoṅ ko chakkī kā pāṭ uṭhāe phirnā hai, laṛke lakaṛī ke bojh tale ḍagmagā kar gir jāte haiṅ.
Lame UrduGeoR 5:14  Ab buzurg shahr ke darwāze se aur jawān apne sāzoṅ se bāz rahte haiṅ.
Lame UrduGeoR 5:15  Ḳhushī hamāre diloṅ se jātī rahī hai, hamārā loknāch āh-o-zārī meṅ badal gayā hai.
Lame UrduGeoR 5:16  Tāj hamāre sar par se gir gayā hai. Ham par afsos, ham se gunāh sarzad huā hai.
Lame UrduGeoR 5:17  Isī lie hamārā dil niḍhāl ho gayā, hamārī nazar dhundlā gaī hai.
Lame UrduGeoR 5:18  Kyoṅki Koh-e-Siyyūn tabāh huā hai, lomṛiyāṅ us kī galiyoṅ meṅ phirtī haiṅ.
Lame UrduGeoR 5:19  Ai Rab, terā rāj abadī hai, terā taḳht pusht-dar-pusht qāym rahtā hai.
Lame UrduGeoR 5:20  Tū hameṅ hameshā tak kyoṅ bhūlnā chāhtā hai? Tū ne hameṅ itnī der tak kyoṅ tark kie rakhā hai?
Lame UrduGeoR 5:21  Ai Rab, hameṅ apne pās wāpas lā tāki ham wāpas ā sakeṅ. Hameṅ bahāl kar tāki hamārā hāl pahle kī tarah ho.
Lame UrduGeoR 5:22  Yā kyā tū ne hameṅ hatmī taur par mustarad kar diyā hai? Kyā terā ham par ġhussā had se zyādā baṛh gayā hai?.