LAMENTATIONS
Chapter 3
Lame | UrduGeoR | 3:1 | Hāy, mujhe kitnā dukh uṭhānā paṛā! Aur yih sab kuchh is lie ho rahā hai ki Rab kā ġhazab mujh par nāzil huā hai, usī kī lāṭhī mujhe tarbiyat de rahī hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:2 | Us ne mujhe hāṅk hāṅk kar tārīkī meṅ chalne diyā, kahīṅ bhī raushnī nazar nahīṅ āī. | |
Lame | UrduGeoR | 3:6 | Us ne mujhe tārīkī meṅ basāyā. Ab maiṅ un kī mānind hūṅ jo baṛī der se qabr meṅ paṛe haiṅ. | |
Lame | UrduGeoR | 3:7 | Us ne mujhe pītal kī bhārī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar mere irdgird aisī dīwāreṅ khaṛī kīṅ jin se maiṅ nikal nahīṅ saktā. | |
Lame | UrduGeoR | 3:8 | Ḳhāh maiṅ madad ke lie kitnī chīḳheṅ kyoṅ na mārūṅ wuh merī iltijāeṅ apne huzūr pahuṅchne nahīṅ detā. | |
Lame | UrduGeoR | 3:9 | Jahāṅ bhī maiṅ chalnā chāhūṅ wahāṅ us ne tarāshe pattharoṅ kī mazbūt dīwār se mujhe rok liyā. Mere tamām rāste bhūlbhulayyāṅ ban gae haiṅ. | |
Lame | UrduGeoR | 3:10 | Allāh rīchh kī tarah merī ghāt meṅ baiṭh gayā, sherbabar kī tarah merī tāk lagāe chhup gayā. | |
Lame | UrduGeoR | 3:14 | Maiṅ apnī pūrī qaum ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ. Wuh pūre din apne gītoṅ meṅ mujhe lān-tān karte haiṅ. | |
Lame | UrduGeoR | 3:20 | To bhī merī jān ko us kī yād ātī rahtī hai, sochte sochte wuh mere andar dab jātī hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:22 | Rab kī mehrbānī hai ki ham nest-o-nābūd nahīṅ hue. Kyoṅki us kī shafqat kabhī ḳhatm nahīṅ hotī | |
Lame | UrduGeoR | 3:23 | balki har subah az sar-e-nau ham par chamak uṭhtī hai. Ai mere āqā, terī wafādārī azīm hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:24 | Merī jān kahtī hai, “Rab merā maurūsī hissā hai, is lie maiṅ us ke intazār meṅ rahūṅgī.” | |
Lame | UrduGeoR | 3:30 | Wuh mārne wāle ko apnā gāl pesh kare, chupke se har tarah kī ruswāī bardāsht kare. | |
Lame | UrduGeoR | 3:32 | Us kī shafqat itnī azīm hai ki go wuh kabhī insān ko dukh pahuṅchāe to bhī wuh āḳhirkār us par dubārā rahm kartā hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:36 | adālat meṅ logoṅ kā haq mārā jā rahā hai. Lekin Rab ko yih sab kuchh nazar ātā hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:40 | Āo, ham apne chāl-chalan kā jāyzā leṅ, use achchhī tarah jāṅch kar Rab ke pās wāpas āeṅ. | |
Lame | UrduGeoR | 3:42 | Ham iqrār kareṅ, “Ham bewafā ho kar sarkash ho gae haiṅ, aur tū ne hameṅ muāf nahīṅ kiyā. | |
Lame | UrduGeoR | 3:43 | Tū apne qahr ke parde ke pīchhe chhup kar hamārā tāqqub karne lagā, berahmī se hameṅ mārtā gayā. | |
Lame | UrduGeoR | 3:47 | Dahshat aur gaṛhe hamāre nasīb meṅ haiṅ, ham dhaṛām se gir kar tabāh ho gae haiṅ.” | |
Lame | UrduGeoR | 3:48 | Āṅsū merī āṅkhoṅ se ṭapak ṭapak kar nadiyāṅ ban gae haiṅ, maiṅ is lie ro rahā hūṅ ki merī qaum tabāh ho gaī hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:53 | Unhoṅ ne mujhe jān se mārne ke lie gaṛhe meṅ ḍāl kar mujh par patthar phaiṅk die. | |
Lame | UrduGeoR | 3:54 | Sailāb mujh par āyā, aur merā sar pānī meṅ ḍūb gayā. Maiṅ bolā, “Merī zindagī kā dhāgā kaṭ gayā hai.” | |
Lame | UrduGeoR | 3:56 | Maiṅ ne iltijā kī, “Apnā kān band na rakh balki merī āheṅ aur chīḳheṅ sun!” Aur tū ne merī sunī. | |
Lame | UrduGeoR | 3:58 | Ai Rab, tū adālat meṅ mere haq meṅ muqaddamā laṛā, balki tū ne merī jān kā ewazānā bhī diyā. | |
Lame | UrduGeoR | 3:60 | Tū ne un kī tamām kīnāparwarī par tawajjuh dī hai. Jitnī bhī sāzisheṅ unhoṅ ne mere ḳhilāf kī haiṅ un se tū wāqif hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:61 | Ai Rab, un kī lān-tān, un ke mere ḳhilāf tamām mansūbe tere kān tak pahuṅch gae haiṅ. | |
Lame | UrduGeoR | 3:62 | Jo kuchh mere muḳhālif pūrā din mere ḳhilāf phusphusāte aur buṛbuṛāte haiṅ us se tū ḳhūb āshnā hai. | |
Lame | UrduGeoR | 3:63 | Dekh ki yih kyā karte haiṅ! Ḳhāh baiṭhe yā khaṛe hoṅ, har waqt wuh apne gītoṅ meṅ mujhe apne mazāq kā nishānā banāte haiṅ. | |