Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ROMANS
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 14
Roma UrduGeoR 14:1  Jis kā īmān kamzor hai use qabūl kareṅ, aur us ke sāth bahs-mubāhasā na kareṅ.
Roma UrduGeoR 14:2  Ek kā īmān to use har chīz khāne kī ijāzat detā hai jabki kamzor īmān rakhne wālā sirf sabziyāṅ khātā hai.
Roma UrduGeoR 14:3  Jo sab kuchh khātā hai wuh use haqīr na jāne jo yih nahīṅ kar saktā. Aur jo yih nahīṅ kar saktā wuh use mujrim na ṭhahrāe jo sab kuchh khātā hai, kyoṅki Allāh ne use qabūl kiyā hai.
Roma UrduGeoR 14:4  Āp kaun haiṅ ki kisī aur ke ġhulām kā faislā kareṅ? Us kā apnā mālik faislā karegā ki wuh khaṛā rahe yā gir jāe. Aur wuh zarūr khaṛā rahegā, kyoṅki Ḳhudāwand use qāym rakhne par qādir hai.
Roma UrduGeoR 14:5  Kuchh log ek din ko dūsre dinoṅ kī nisbat zyādā aham qarār dete haiṅ jabki dūsre tamām dinoṅ kī ahmiyat barābar samajhte haiṅ. Āp jo bhī ḳhayāl rakheṅ, har ek use pūre yaqīn ke sāth rakhe.
Roma UrduGeoR 14:6  Jo ek din ko ḳhās qarār detā hai wuh is se Ḳhudāwand kī tāzīm karnā chāhtā hai. Isī tarah jo sab kuchh khātā hai wuh is se Ḳhudāwand ko jalāl denā chāhtā hai. Yih is se zāhir hotā hai ki wuh is ke lie Ḳhudā kā shukr kartā hai. Lekin jo kuchh khānoṅ se parhez kartā hai wuh bhī Ḳhudā kā shukr karke is se us kī tāzīm karnā chāhtā hai.
Roma UrduGeoR 14:7  Bāt yih hai ki ham meṅ se koī nahīṅ jo sirf apne wāste zindagī guzārtā hai aur koī nahīṅ jo sirf apne wāste martā hai.
Roma UrduGeoR 14:8  Agar ham zindā haiṅ to is lie ki Ḳhudāwand ko jalāl deṅ, aur agar ham mareṅ to is lie ki ham Ḳhudāwand ko jalāl deṅ. Ġharz ham Ḳhudāwand hī ke haiṅ, ḳhāh zindā hoṅ yā murdā.
Roma UrduGeoR 14:9  Kyoṅki Masīh isī maqsad ke lie muā aur jī uṭhā ki wuh murdoṅ aur zindoṅ donoṅ kā mālik ho.
Roma UrduGeoR 14:10  To phir āp jo sirf sabzī khāte haiṅ apne bhāī ko mujrim kyoṅ ṭhahrāte haiṅ? Aur āp jo sab kuchh khāte haiṅ apne bhāī ko haqīr kyoṅ jānte haiṅ? Yād rakheṅ ki ek din ham sab Allāh ke taḳht-e-adālat ke sāmne khaṛe hoṅge.
Roma UrduGeoR 14:11  Kalām-e-muqaddas meṅ yihī likhā hai, Rab farmātā hai, “Merī hayāt kī qasam, har ghuṭnā mere sāmne jhukegā aur har zabān Allāh kī tamjīd karegī.”
Roma UrduGeoR 14:12  Hāṅ, ham meṅ se har ek ko Allāh ke sāmne apnī zindagī kā jawāb denā paṛegā.
Roma UrduGeoR 14:13  Chunāṅche āeṅ, ham ek dūsre ko mujrim na ṭhahrāeṅ. Pūre azm ke sāth is kā ḳhayāl rakheṅ ki āp apne bhāī ke lie ṭhokar khāne yā gunāh meṅ girne kā bāis na baneṅ.
Roma UrduGeoR 14:14  Mujhe Ḳhudāwand Masīh meṅ ilm aur yaqīn hai ki koī bhī khānā bazāt-e-ḳhud nāpāk nahīṅ hai. Lekin jo kisī khāne ko nāpāk samajhtā hai us ke lie wuh khānā nāpāk hī hai.
Roma UrduGeoR 14:15  Agar āp apne bhāī ko apne kisī khāne ke bāis pareshān kar rahe haiṅ to āp muhabbat kī rūh meṅ zindagī nahīṅ guzār rahe. Apne bhāī ko apne khāne se halāk na kareṅ. Yād rakheṅ ki Masīh ne us ke lie apnī jān dī hai.
Roma UrduGeoR 14:16  Aisā na ho ki log us achchhī chīz par kufr bakeṅ jo āp ko mil gaī hai.
Roma UrduGeoR 14:17  Kyoṅki Allāh kī bādshāhī khāne-pīne kī chīzoṅ par qāym nahīṅ hai balki rāstbāzī, sulah-salāmatī aur Rūhul-quds meṅ ḳhushī par.
Roma UrduGeoR 14:18  Jo yoṅ Masīh kī ḳhidmat kartā hai wuh Allāh ko pasand aur insānoṅ ko manzūr hai.
Roma UrduGeoR 14:19  Chunāṅche āeṅ, ham pūrī jidd-o-jahd ke sāth wuh kuchh karne kī koshish kareṅ jo sulah-salāmatī aur ek dūsre kī ruhānī tāmīr-o-taraqqī kā bāis hai.
Roma UrduGeoR 14:20  Allāh kā kām kisī khāne kī ḳhātir barbād na kareṅ. Har khānā pāk hai, lekin agar āp kuchh khāte haiṅ jis se dūsre ko ṭhes lage to yih ġhalat hai.
Roma UrduGeoR 14:21  Behtar yih hai ki na āp gosht khāeṅ, na mai pieṅ aur na koī aur qadam uṭhāeṅ jis se āp kā bhāī ṭhokar khāe.
Roma UrduGeoR 14:22  Jo bhī īmān āp is nāte se rakhte haiṅ wuh āp aur Allāh tak mahdūd rahe. Mubārak hai wuh jo kisī chīz ko jāyz qarār de kar apne āp ko mujrim nahīṅ ṭhahrātā.
Roma UrduGeoR 14:23  Lekin jo shak karte hue koī khānā khātā hai use mujrim ṭhahrāyā jātā hai, kyoṅki us kā yih amal īmān par mabnī nahīṅ hai. Aur jo bhī amal īmān par mabnī nahīṅ hotā wuh gunāh hai.