Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LUKE
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 16
Luke UrduGeoR 16:1  Īsā ne shāgirdoṅ se kahā, “Kisī amīr ādmī ne ek mulāzim rakhā thā jo us kī jāydād kī dekh-bhāl kartā thā. Aisā huā ki ek din us par ilzām lagāyā gayā ki wuh apne mālik kī daulat zāe kar rahā hai.
Luke UrduGeoR 16:2  Mālik ne use bulā kar kahā, ‘Yih kyā hai jo maiṅ tere bāre meṅ suntā hūṅ? Apnī tamām zimmedāriyoṅ kā hisāb de, kyoṅki maiṅ tujhe barḳhāst kar dūṅgā.’
Luke UrduGeoR 16:3  Mulāzim ne dil meṅ kahā, ‘Ab maiṅ kyā karūṅ jabki merā mālik yih zimmedārī mujh se chhīn legā? Khudāī jaisā saḳht kām mujh se nahīṅ hotā aur bhīk māṅgne se sharm ātī hai.
Luke UrduGeoR 16:4  Hāṅ, maiṅ jāntā hūṅ ki kyā karūṅ tāki log mujhe barḳhāst kie jāne ke bād apne gharoṅ meṅ ḳhushāmdīd kaheṅ.’
Luke UrduGeoR 16:5  Yih kah kar us ne apne mālik ke tamām qarzdāroṅ ko bulāyā. Pahle se us ne pūchhā, ‘Tumhārā qarzā kitnā hai?’
Luke UrduGeoR 16:6  Us ne jawāb diyā, ‘Mujhe mālik ko zaitūn ke tel ke sau kanastar wāpas karne haiṅ.’ Mulāzim ne kahā, ‘Apnā bil le lo aur baiṭh kar jaldī se sau kanastar pachās meṅ badal lo.’
Luke UrduGeoR 16:7  Dūsre se us ne pūchhā, ‘Tumhārā kitnā qarzā hai?’ Us ne jawāb diyā, ‘Mujhe gandum kī hazār boriyāṅ wāpas karnī haiṅ.’ Mulāzim ne kahā, ‘Apnā bil le lo aur hazār ke badle āṭh sau likh lo.’
Luke UrduGeoR 16:8  Yih dekh kar mālik ne be'īmān mulāzim kī tārīf kī ki us ne aql se kām liyā hai. Kyoṅki is duniyā ke farzand apnī nasl ke logoṅ se nipaṭne meṅ nūr ke farzandoṅ se zyādā hoshyār hote haiṅ.
Luke UrduGeoR 16:9  Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki duniyā kī nārāst daulat se apne lie dost banā lo tāki jab yih ḳhatm ho jāe to log tum ko abadī rihāishgāhoṅ meṅ ḳhushāmdīd kaheṅ.
Luke UrduGeoR 16:10  Jo thoṛe meṅ wafādār hai wuh zyādā meṅ bhī wafādār hogā. Aur jo thoṛe meṅ be'īmān hai wuh zyādā meṅ bhī be'īmānī karegā.
Luke UrduGeoR 16:11  Agar tum duniyā kī nārāst daulat ko saṅbhālne meṅ wafādār na rahe to phir kaun haqīqī daulat tumhāre sapurd karegā?
Luke UrduGeoR 16:12  Aur agar tum ne dūsroṅ kī daulat saṅbhālne meṅ be'īmānī dikhāī hai to phir kaun tum ko tumhāre zātī istemāl ke lie kuchh degā?
Luke UrduGeoR 16:13  Koī bhī ġhulām do mālikoṅ kī ḳhidmat nahīṅ kar saktā. Yā to wuh ek se nafrat karke dūsre se muhabbat rakhegā, yā ek se lipaṭ kar dūsre ko haqīr jānegā. Tum ek hī waqt meṅ Allāh aur daulat kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte.”
Luke UrduGeoR 16:14  Farīsiyoṅ ne yih sab kuchh sunā to wuh us kā mazāq uṛāne lage, kyoṅki wuh lālchī the.
Luke UrduGeoR 16:15  Us ne un se kahā, “Tum hī wuh ho jo apne āp ko logoṅ ke sāmne rāstbāz qarār dete ho, lekin Allāh tumhāre diloṅ se wāqif hai. Kyoṅki log jis chīz kī bahut qadar karte haiṅ wuh Allāh ke nazdīk makrūh hai.
Luke UrduGeoR 16:16  Yahyā ke āne tak tumhāre rāhnumā Mūsā kī sharīat aur nabiyoṅ ke paiġhāmāt the. Lekin ab Allāh kī bādshāhī kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jā rahā hai aur tamām log zabardastī is meṅ dāḳhil ho rahe haiṅ.
Luke UrduGeoR 16:17  Lekin is kā yih matlab nahīṅ ki sharīat mansūḳh ho gaī hai balki āsmān-o-zamīn jāte raheṅge, lekin sharīat kī zer zabar tak koī bhī bāt nahīṅ badlegī.
Luke UrduGeoR 16:18  Chunāṅche jo ādmī apnī bīwī ko talāq de kar kisī aur se shādī kare wuh zinā kartā hai. Isī tarah jo kisī talāqshudā aurat se shādī kare wuh bhī zinā kartā hai.
Luke UrduGeoR 16:19  Ek amīr ādmī kā zikr hai jo arġhawānī rang ke kapṛe aur nafīs katān pahantā aur har roz aish-o-ishrat meṅ guzārtā thā.
Luke UrduGeoR 16:20  Amīr ke geṭ par ek ġharīb ādmī paṛā thā jis ke pūre jism par nāsūr the. Us kā nām Lāzar thā
Luke UrduGeoR 16:21  aur us kī bas ek hī ḳhāhish thī ki wuh amīr kī mez se gire hue ṭukṛe khā kar ser ho jāe. Kutte us ke pās ā kar us ke nāsūr chāṭte the.
Luke UrduGeoR 16:22  Phir aisā huā ki ġharīb ādmī mar gayā. Farishtoṅ ne use uṭhā kar Ibrāhīm kī god meṅ biṭhā diyā. Amīr ādmī bhī faut huā aur dafnāyā gayā.
Luke UrduGeoR 16:23  Wuh jahannum meṅ pahuṅchā. Azāb kī hālat meṅ us ne apnī nazar uṭhāī to dūr se Ibrāhīm aur us kī god meṅ Lāzar ko dekhā.
Luke UrduGeoR 16:24  Wuh pukār uṭhā, ‘Ai mere bāp Ibrāhīm, mujh par rahm kareṅ. Mehrbānī karke Lāzar ko mere pās bhej deṅ tāki wuh apnī unglī ko pānī meṅ ḍubo kar merī zabān ko ṭhanḍā kare, kyoṅki maiṅ is āg meṅ taṛaptā hūṅ.’
Luke UrduGeoR 16:25  Lekin Ibrāhīm ne jawāb diyā, ‘Beṭā, yād rakh ki tujhe apnī zindagī meṅ behtarīn chīzeṅ mil chukī haiṅ jabki Lāzar ko badtarīn chīzeṅ. Lekin ab use ārām aur tasallī mil gaī hai jabki tujhe aziyat.
Luke UrduGeoR 16:26  Nīz, hamāre aur tumhāre darmiyān ek wasī ḳhalīj qāym hai. Agar koī chāhe bhī to use pār karke yahāṅ se tumhāre pās nahīṅ jā saktā, na wahāṅ se koī yahāṅ ā saktā hai.’
Luke UrduGeoR 16:27  Amīr ādmī ne kahā, ‘Mere bāp, phir merī ek aur guzārish hai, mehrbānī karke Lāzar ko mere wālid ke ghar bhej deṅ.
Luke UrduGeoR 16:28  Mere pāṅch bhāī haiṅ. Wuh wahāṅ jā kar unheṅ āgāh kare, aisā na ho ki un kā anjām bhī yih aziyatnāk maqām ho.’
Luke UrduGeoR 16:29  Lekin Ibrāhīm ne jawāb diyā, ‘Un ke pās Mūsā kī Tauret aur nabiyoṅ ke sahīfe to haiṅ. Wuh un kī suneṅ.’
Luke UrduGeoR 16:30  Amīr ne arz kī, ‘Nahīṅ, mere bāp Ibrāhīm, agar koī murdoṅ meṅ se un ke pās jāe to phir wuh zarūr taubā kareṅge.’
Luke UrduGeoR 16:31  Ibrāhīm ne kahā, ‘Agar wuh Mūsā aur nabiyoṅ kī nahīṅ sunte to wuh us waqt bhī qāyl nahīṅ hoṅge jab koī murdoṅ meṅ se jī uṭh kar un ke pās jāegā.’”