Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LUKE
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 19
Luke UrduGeoR 19:1  Phir Īsā Yarīhū meṅ dāḳhil huā aur us meṅ se guzarne lagā.
Luke UrduGeoR 19:2  Us shahr meṅ ek amīr ādmī banām Zakkāī rahtā thā jo ṭaiks lene wāloṅ kā afsar thā.
Luke UrduGeoR 19:3  Wuh jānanā chāhtā thā ki yih Īsā kaun hai, lekin pūrī koshish karne ke bāwujūd use dekh na sakā, kyoṅki Īsā ke irdgird baṛā hujūm thā aur Zakkāī kā qad chhoṭā thā.
Luke UrduGeoR 19:4  Is lie wuh dauṛ kar āge niklā aur use deḳhne ke lie anjīr-tūt ke daraḳht par chaṛh gayā jo rāste meṅ thā.
Luke UrduGeoR 19:5  Jab Īsā wahāṅ pahuṅchā to us ne nazar uṭhā kar kahā, “Zakkāī, jaldī se utar ā, kyoṅki āj mujhe tere ghar meṅ ṭhaharnā hai.”
Luke UrduGeoR 19:6  Zakkāī fauran utar āyā aur ḳhushī se us kī mehmān-nawāzī kī.
Luke UrduGeoR 19:7  Yih dekh kar bāqī tamām log buṛbuṛāne lage, “Is ke ghar meṅ jā kar wuh ek gunāhgār ke mehmān ban gae haiṅ.”
Luke UrduGeoR 19:8  Lekin Zakkāī ne Ḳhudāwand ke sāmne khaṛe ho kar kahā, “Ḳhudāwand, maiṅ apne māl kā ādhā hissā ġharīboṅ ko de detā hūṅ. Aur jis se maiṅ ne nājāyz taur se kuchh liyā hai use chār gunā wāpas kartā hūṅ.”
Luke UrduGeoR 19:9  Īsā ne us se kahā, “Āj is gharāne ko najāt mil gaī hai, is lie ki yih bhī Ibrāhīm kā beṭā hai.
Luke UrduGeoR 19:10  Kyoṅki Ibn-e-Ādam gumshudā ko ḍhūṅḍne aur najāt dene ke lie āyā hai.”
Luke UrduGeoR 19:11  Ab Īsā Yarūshalam ke qarīb ā chukā thā, is lie log andāzā lagāne lage ki Allāh kī bādshāhī zāhir hone wālī hai. Is ke pesh-e-nazar Īsā ne apnī yih bāteṅ sunane wāloṅ ko ek tamsīl sunāī.
Luke UrduGeoR 19:12  Us ne kahā, “Ek nawāb kisī dūr-darāz mulk ko chalā gayā tāki use bādshāh muqarrar kiyā jāe. Phir use wāpas ānā thā.
Luke UrduGeoR 19:13  Rawānā hone se pahle us ne apne naukaroṅ meṅ se das ko bulā kar unheṅ sone kā ek ek sikkā diyā. Sāth sāth us ne kahā, ‘Yih paise le kar us waqt tak kārobār meṅ lagāo jab tak maiṅ wāpas na āūṅ.’
Luke UrduGeoR 19:14  Lekin us kī riāyā us se nafrat rakhtī thī, is lie us ne us ke pīchhe wafd bhej kar ittalā dī, ‘Ham nahīṅ chāhte ki yih ādmī hamārā bādshāh bane.’
Luke UrduGeoR 19:15  To bhī use bādshāh muqarrar kiyā gayā. Is ke bād jab wāpas āyā to us ne un naukaroṅ ko bulāyā jinheṅ us ne paise die the tāki mālūm kare ki unhoṅ ne yih paise kārobār meṅ lagā kar kitnā izāfā kiyā hai.
Luke UrduGeoR 19:16  Pahlā naukar āyā. Us ne kahā, ‘Janāb, āp ke ek sikke se das ho gae haiṅ.’
Luke UrduGeoR 19:17  Mālik ne kahā, ‘Shābāsh, achchhe naukar. Tū thoṛe meṅ wafādār rahā, is lie ab tujhe das shahroṅ par iḳhtiyār milegā.’
Luke UrduGeoR 19:18  Phir dūsrā naukar āyā. Us ne kahā, ‘Janāb, āp ke ek sikke se pāṅch ho gae haiṅ.’
Luke UrduGeoR 19:19  Mālik ne us se kahā, ‘Tujhe pāṅch shahroṅ par iḳhtiyār milegā.’
Luke UrduGeoR 19:20  Phir ek aur naukar ā kar kahne lagā, ‘Janāb, yih āp kā sikkā hai. Maiṅ ne ise kapṛe meṅ lapeṭ kar mahfūz rakhā,
Luke UrduGeoR 19:21  kyoṅki maiṅ āp se ḍartā thā, is lie ki āp saḳht ādmī haiṅ. Jo paise āp ne nahīṅ lagāe unheṅ le lete haiṅ aur jo bīj āp ne nahīṅ boyā us kī fasal kāṭte haiṅ.’
Luke UrduGeoR 19:22  Mālik ne kahā, ‘Sharīr naukar! Maiṅ tere apne alfāz ke mutābiq terī adālat karūṅga. Jab tū jāntā thā ki maiṅ saḳht ādmī hūṅ, ki wuh paise le letā hūṅ jo ḳhud nahīṅ lagāe aur wuh fasal kāṭtā hūṅ jis kā bīj nahīṅ boyā,
Luke UrduGeoR 19:23  to phir tū ne mere paise baink meṅ kyoṅ na jamā karāe? Agar tū aisā kartā to wāpasī par mujhe kam az kam wuh paise sūd samet mil jāte.’
Luke UrduGeoR 19:24  Yih kah kar wuh hāzirīn se muḳhātib huā, ‘Yih sikkā is se le kar us naukar ko de do jis ke pās das sikke haiṅ.’
Luke UrduGeoR 19:25  Unhoṅ ne etarāz kiyā, ‘Janāb, us ke pās to pahle hī das sikke haiṅ.’
Luke UrduGeoR 19:26  Us ne jawāb diyā, ‘Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki har shaḳhs jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā, lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai.
Luke UrduGeoR 19:27  Ab un dushmanoṅ ko le āo jo nahīṅ chāhte the ki maiṅ un kā bādshāh banūṅ. Unheṅ mere sāmne phāṅsī de do.’”
Luke UrduGeoR 19:28  In bātoṅ ke bād Īsā dūsroṅ ke āge āge Yarūshalam kī taraf baṛhne lagā.
Luke UrduGeoR 19:29  Jab wuh Bait-fage aur Bait-aniyāh ke qarīb pahuṅchā jo Zaitūn ke pahāṛ par the to us ne do shāgirdoṅ ko apne āge bhej kar
Luke UrduGeoR 19:30  kahā, “Sāmne wāle gāṅw meṅ jāo. Wahāṅ tum ek jawān gadhā dekhoge. Wuh bandhā huā hogā aur ab tak koī bhī us par sawār nahīṅ huā hai. Use khol kar le āo.
Luke UrduGeoR 19:31  Agar koī pūchhe ki gadhe ko kyoṅ khol rahe ho to use batā denā ki Ḳhudāwand ko is kī zarūrat hai.”
Luke UrduGeoR 19:32  Donoṅ shāgird gae to dekhā ki sab kuchh waisā hī hai jaisā Īsā ne unheṅ batāyā thā.
Luke UrduGeoR 19:33  Jab wuh jawān gadhe ko kholne lage to us ke mālikoṅ ne pūchhā, “Tum gadhe ko kyoṅ khol rahe ho?”
Luke UrduGeoR 19:34  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand ko is kī zarūrat hai.”
Luke UrduGeoR 19:35  Wuh use Īsā ke pās le āe, aur apne kapṛe gadhe par rakh kar us ko us par sawār kiyā.
Luke UrduGeoR 19:36  Jab wuh chal paṛā to logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die.
Luke UrduGeoR 19:37  Chalte chalte wuh us jagah ke qarīb pahuṅchā jahāṅ rāstā Zaitūn ke pahāṛ par se utarne lagtā hai. Is par shāgirdoṅ kā pūrā hujūm ḳhushī ke māre ūṅchī āwāz se un mojizoṅ ke lie Allāh kī tamjīd karne lagā jo unhoṅ ne dekhe the,
Luke UrduGeoR 19:38  “Mubārak hai wuh Bādshāh jo Rab ke nām se ātā hai. Āsmān par salāmatī ho aur bulandiyoṅ par izzat-o-jalāl.”
Luke UrduGeoR 19:39  Kuchh Farīsī bhīṛ meṅ the. Unhoṅ ne Īsā se kahā, “Ustād, apne shāgirdoṅ ko samjhāeṅ.”
Luke UrduGeoR 19:40  Us ne jawāb diyā, “Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, agar yih chup ho jāeṅ to patthar pukār uṭheṅge.”
Luke UrduGeoR 19:41  Jab wuh Yarūshalam ke qarīb pahuṅchā to shahr ko dekh kar ro paṛā
Luke UrduGeoR 19:42  aur kahā, “Kāsh tū bhī is din jān letī ki terī salāmatī kis meṅ hai. Lekin ab yih bāt terī āṅkhoṅ se chhupī huī hai.
Luke UrduGeoR 19:43  Kyoṅki tujh par aisā waqt āegā ki tere dushman tere irdgird band bāndh kar terā muhāsarā kareṅge aur yoṅ tujhe chāroṅ taraf se gher kar tang kareṅge.
Luke UrduGeoR 19:44  Wuh tujhe tere bachchoṅ samet zamīn par paṭkeṅge aur tere andar ek bhī patthar dūsre par nahīṅ chhoṛeṅge. Aur wajah yihī hogī ki tū ne wuh waqt nahīṅ pahchānā jab Allāh ne terī najāt ke lie tujh par nazar kī.”
Luke UrduGeoR 19:45  Phir Īsā Baitul-muqaddas meṅ jā kar unheṅ nikālne lagā jo wahāṅ qurbāniyoṅ ke lie darkār chīzeṅ bech rahe the. Us ne kahā,
Luke UrduGeoR 19:46  “Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Merā ghar duā kā ghar hogā’ jabki tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.”
Luke UrduGeoR 19:47  Aur wuh rozānā Baitul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā. Lekin Baitul-muqaddas ke rāhnumā imām, sharīat ke ālim aur awāmī rāhnumā use qatl karne ke lie koshāṅ rahe,
Luke UrduGeoR 19:48  albattā unheṅ koī mauqā na milā, kyoṅki tamām log Īsā kī har bāt sun sun kar us se lipṭe rahte the.