Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LUKE
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 18
Luke UrduGeoR 18:1  Phir Īsā ne unheṅ ek tamsīl sunāī jo musalsal duā karne aur himmat na hārne kī zarūrat ko zāhir kartī hai.
Luke UrduGeoR 18:2  Us ne kahā, “Kisī shahr meṅ ek jaj rahtā thā jo na Ḳhudā kā ḳhauf māntā, na kisī insān kā lihāz kartā thā.
Luke UrduGeoR 18:3  Ab us shahr meṅ ek bewā bhī thī jo yih kah kar us ke pās ātī rahī ki ‘Mere muḳhālif ko jītne na deṅ balki merā insāf kareṅ.’
Luke UrduGeoR 18:4  Kuchh der ke lie jaj ne inkār kiyā. Lekin phir wuh dil meṅ kahne lagā, ‘Beshak maiṅ Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ māntā, na logoṅ kī parwā kartā hūṅ,
Luke UrduGeoR 18:5  lekin yih bewā mujhe bār bār tang kar rahī hai. Is lie maiṅ us kā insāf karūṅga. Aisā na ho ki āḳhirkār wuh ā kar mere muṅh par thappaṛ māre.’”
Luke UrduGeoR 18:6  Ḳhudāwand ne bāt jārī rakhī. “Is par dhyān do jo be'insāf jaj ne kahā.
Luke UrduGeoR 18:7  Agar us ne āḳhirkār insāf kiyā to kyā Allāh apne chune hue logoṅ kā insāf nahīṅ karegā jo din rāt use madad ke lie pukārte haiṅ? Kyā wuh un kī bāt multawī kartā rahegā?
Luke UrduGeoR 18:8  Hargiz nahīṅ! Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh jaldī se un kā insāf karegā. Lekin kyā Ibn-e-Ādam jab duniyā meṅ āegā to īmān dekh pāegā?”
Luke UrduGeoR 18:9  Bāz log maujūd the jo apnī rāstbāzī par bharosā rakhte aur dūsroṅ ko haqīr jānte the. Unheṅ Īsā ne yih tamsīl sunāī,
Luke UrduGeoR 18:10  “Do ādmī Baitul-muqaddas meṅ duā karne āe. Ek Farīsī thā aur dūsrā ṭaiks lene wālā.
Luke UrduGeoR 18:11  Farīsī khaṛā ho kar yih duā karne lagā, ‘Ai Ḳhudā, maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki maiṅ bāqī logoṅ kī tarah nahīṅ hūṅ. Na maiṅ ḍākū hūṅ, na be'insāf, na zinākār. Maiṅ is ṭaiks lene wāle kī mānind bhī nahīṅ hūṅ.
Luke UrduGeoR 18:12  Maiṅ hafte meṅ do martabā rozā rakhtā hūṅ aur tamām āmdanī kā daswāṅ hissā tere lie maḳhsūs kartā hūṅ.’
Luke UrduGeoR 18:13  Lekin ṭaiks lene wālā dūr hī khaṛā rahā. Us ne apnī āṅkheṅ āsmān kī taraf uṭhāne tak kī jurrat na kī balki apnī chhātī pīṭ pīṭ kar kahne lagā, ‘Ai Ḳhudā, mujh gunāhgār par rahm kar!’
Luke UrduGeoR 18:14  Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jab donoṅ apne apne ghar lauṭe to Farīsī nahīṅ balki yih ādmī Allāh ke nazdīk rāstbāz ṭhahrā. Kyoṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz kare use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past kare use sarfarāz kiyā jāegā.”
Luke UrduGeoR 18:15  Ek din log apne chhoṭe bachchoṅ ko bhī Īsā ke pās lāe tāki wuh unheṅ chhue. Yih dekh kar shāgirdoṅ ne un ko malāmat kī.
Luke UrduGeoR 18:16  Lekin Īsā ne unheṅ apne pās bulā kar kahā, “Bachchoṅ ko mere pās āne do aur unheṅ na roko, kyoṅki Allāh kī bādshāhī in jaise logoṅ ko hāsil hai.
Luke UrduGeoR 18:17  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jo Allāh kī bādshāhī ko bachche kī tarah qabūl na kare wuh us meṅ dāḳhil nahīṅ hogā.”
Luke UrduGeoR 18:18  Kisī rāhnumā ne us se pūchhā, “Nek ustād, maiṅ kyā karūṅ tāki mīrās meṅ abadī zindagī pāūṅ?”
Luke UrduGeoR 18:19  Īsā ne jawāb diyā, “Tū mujhe nek kyoṅ kahtā hai? Koī nek nahīṅ siwāe ek ke aur wuh hai Allāh.
Luke UrduGeoR 18:20  Tū sharīat ke ahkām se to wāqif hai ki zinā na karnā, qatl na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gawāhī na denā, apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā.”
Luke UrduGeoR 18:21  Ādmī ne jawāb diyā, “Maiṅ ne jawānī se āj tak in tamām ahkām kī pairawī kī hai.”
Luke UrduGeoR 18:22  Yih sun kar Īsā ne kahā, “Ek kām ab tak rah gayā hai. Apnī pūrī jāydād faroḳht karke paise ġharīboṅ meṅ taqsīm kar de. Phir tere lie āsmān par ḳhazānā jamā ho jāegā. Is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.”
Luke UrduGeoR 18:23  Yih sun kar ādmī ko bahut dukh huā, kyoṅki wuh nihāyat daulatmand thā.
Luke UrduGeoR 18:24  Yih dekh kar Īsā ne kahā, “Daulatmandoṅ ke lie Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil honā kitnā mushkil hai!
Luke UrduGeoR 18:25  Amīr ke Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī nisbat yih zyādā āsān hai ki ūṅṭ sūī ke nāke meṅ se guzar jāe.”
Luke UrduGeoR 18:26  Yih bāt sun kar sunane wāloṅ ne pūchhā, “Phir kis ko najāt mil saktī hai?”
Luke UrduGeoR 18:27  Īsā ne jawāb diyā, “Jo insān ke lie nāmumkin hai wuh Allāh ke lie mumkin hai.”
Luke UrduGeoR 18:28  Patras ne us se kahā, “Ham to apnā sab kuchh chhoṛ kar āp ke pīchhe ho lie haiṅ.”
Luke UrduGeoR 18:29  Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jis ne bhī Allāh kī bādshāhī kī ḳhātir apne ghar, bīwī, bhāiyoṅ, wālidain yā bachchoṅ ko chhoṛ diyā hai
Luke UrduGeoR 18:30  use is zamāne meṅ kaī gunā zyādā aur āne wāle zamāne meṅ abadī zindagī milegī.”
Luke UrduGeoR 18:31  Īsā shāgirdoṅ ko ek taraf le jā kar un se kahne lagā, “Suno, ham Yarūshalam kī taraf baṛh rahe haiṅ. Wahāṅ sab kuchh pūrā ho jāegā jo nabiyoṅ kī mārifat Ibn-e-Ādam ke bāre meṅ likhā gayā hai.
Luke UrduGeoR 18:32  Use Ġhairyahūdiyoṅ ke hawāle kar diyā jāegā jo us kā mazāq uṛāeṅge, us kī be'izzatī kareṅge, us par thūkeṅge,
Luke UrduGeoR 18:33  us ko koṛe māreṅge aur use qatl kareṅge. Lekin tīsre din wuh jī uṭhegā.”
Luke UrduGeoR 18:34  Lekin shāgirdoṅ kī samajh meṅ kuchh na āyā. Is bāt kā matlab un se chhupā rahā aur wuh na samjhe ki wuh kyā kah rahā hai.
Luke UrduGeoR 18:35  Īsā Yarīhū ke qarīb pahuṅchā. Wahāṅ rāste ke kināre ek andhā baiṭhā bhīk māṅg rahā thā.
Luke UrduGeoR 18:36  Bahut-se log us ke sāmne se guzarne lage to us ne yih sun kar pūchhā ki kyā ho rahā hai.
Luke UrduGeoR 18:37  Unhoṅ ne kahā, “Īsā Nāsarī yahāṅ se guzar rahā hai.”
Luke UrduGeoR 18:38  Andhā chillāne lagā, “Ai Īsā Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.”
Luke UrduGeoR 18:39  Āge chalne wāloṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh mazīd ūṅchī āwāz se pukārtā rahā, “Ai Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ.”
Luke UrduGeoR 18:40  Īsā ruk gayā aur hukm diyā, “Use mere pās lāo.” Jab wuh qarīb āyā to Īsā ne us se pūchhā,
Luke UrduGeoR 18:41  “Tū kyā chāhtā hai ki maiṅ tere lie karūṅ?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, yih ki maiṅ dekh sakūṅ.”
Luke UrduGeoR 18:42  Īsā ne us se kahā, “To phir deḳh! Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.”
Luke UrduGeoR 18:43  Jyoṅ hī us ne yih kahā andhe kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur wuh Allāh kī tamjīd karte hue us ke pīchhe ho liyā. Yih dekh kar pūre hujūm ne Allāh ko jalāl diyā.