MATTHEW
Chapter 17
Matt | UrduGeoR | 17:1 | Chhih din ke bād Īsā sirf Patras, Yāqūb aur Yūhannā ko apne sāth le kar ūṅche pahāṛ par chaṛh gayā. | |
Matt | UrduGeoR | 17:2 | Wahāṅ us kī shakl-o-sūrat un ke sāmne badal gaī. Us kā chehrā sūraj kī tarah chamakne lagā, aur us ke kapṛe nūr kī mānind safed ho gae. | |
Matt | UrduGeoR | 17:4 | Patras bol uṭhā, “Ḳhudāwand, kitnī achchhī bāt hai ki ham yahāṅ haiṅ. Agar āp chāheṅ to maiṅ tīn jhoṅpṛiyāṅ banāūṅgā, ek āp ke lie, ek Mūsā ke lie aur ek Iliyās ke lie.” | |
Matt | UrduGeoR | 17:5 | Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki ek chamakdār bādal ā kar un par chhā gayā aur bādal meṅ se ek āwāz sunāī dī, “Yih merā pyārā Farzand hai, jis se maiṅ ḳhush hūṅ. Is kī suno.” | |
Matt | UrduGeoR | 17:9 | Wuh pahāṛ se utarne lage to Īsā ne unheṅ hukm diyā, “Jo kuchh tum ne dekhā hai use us waqt tak kisī ko na batānā jab tak ki Ibn-e-Ādam murdoṅ meṅ se jī na uṭhe.” | |
Matt | UrduGeoR | 17:10 | Shāgirdoṅ ne us se pūchhā, “Sharīat ke ulamā kyoṅ kahte haiṅ ki Masīh kī āmad se pahle Iliyās kā ānā zarūrī hai?” | |
Matt | UrduGeoR | 17:12 | Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki Iliyās to ā chukā hai aur unhoṅ ne use nahīṅ pahchānā balki us ke sāth jo chāhā kiyā. Isī tarah Ibn-e-Ādam bhī un ke hāthoṅ dukh uṭhāegā.” | |
Matt | UrduGeoR | 17:13 | Phir shāgirdoṅ ko samajh āī ki wuh un ke sāth Yahyā baptismā dene wāle kī bāt kar rahā thā. | |
Matt | UrduGeoR | 17:14 | Jab wuh nīche hujūm ke pās pahuṅche to ek ādmī ne Īsā ke sāmne ā kar ghuṭne ṭeke | |
Matt | UrduGeoR | 17:15 | aur kahā, “Ḳhudāwand, mere beṭe par rahm kareṅ, use mirgī ke daure paṛte haiṅ aur use shadīd taklīf uṭhānī paṛtī hai. Kaī bār wuh āg yā pānī meṅ gir jātā hai. | |
Matt | UrduGeoR | 17:17 | Īsā ne jawāb diyā, “Īmān se ḳhālī aur ṭeṛhī nasl! Maiṅ kab tak tumhāre sāth rahūṅ, kab tak tumheṅ bardāsht karūṅ? Laṛke ko mere pās le āo.” | |
Matt | UrduGeoR | 17:18 | Īsā ne badrūh ko ḍānṭā, to wuh laṛke meṅ se nikal gaī. Usī lamhe use shifā mil gaī. | |
Matt | UrduGeoR | 17:19 | Bād meṅ shāgirdoṅ ne alahdagī meṅ Īsā ke pās ā kar pūchhā, “Ham badrūh ko kyoṅ na nikāl sake?” | |
Matt | UrduGeoR | 17:20 | Us ne jawāb diyā, “Apne īmān kī kamī ke sabab se. Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, agar tumhārā īmān rāī ke dāne ke barābar bhī ho to phir tum is pahāṛ ko kah sakoge, ‘Idhar se udhar khisak jā,’ to wuh khisak jāegā. Aur tumhāre lie kuchh bhī nāmumkin nahīṅ hogā. | |
Matt | UrduGeoR | 17:22 | Jab wuh Galīl meṅ jamā hue to Īsā ne unheṅ batāyā, “Ibn-e-Ādam ko ādmiyoṅ ke hawāle kar diyā jāegā. | |
Matt | UrduGeoR | 17:23 | Wuh use qatl kareṅge, lekin tīn din ke bād wuh jī uṭhegā.” Yih sun kar shāgird nihāyat ġhamgīn hue. | |
Matt | UrduGeoR | 17:24 | Wuh Kafarnahūm pahuṅche to Baitul-muqaddas kā ṭaiks jamā karne wāle Patras ke pās ā kar pūchhne lage, “Kyā āp kā ustād Baitul-muqaddas kā ṭaiks adā nahīṅ kartā?” | |
Matt | UrduGeoR | 17:25 | “Jī, wuh kartā hai,” Patras ne jawāb diyā. Wuh ghar meṅ āyā to Īsā pahle hī bolne lagā, “Kyā ḳhayāl hai Shamāūn, duniyā ke bādshāh kin se ḍyūṭī aur ṭaiks lete haiṅ, apne farzandoṅ se yā ajnabiyoṅ se?” | |
Matt | UrduGeoR | 17:26 | Patras ne jawāb diyā, “Ajnabiyoṅ se.” Īsā bolā “To phir un ke farzand ṭaiks dene se barī hue. | |