Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MATTHEW
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 12
Matt UrduGeoR 12:1  Un dinoṅ meṅ Īsā anāj ke khetoṅ meṅ se guzar rahā thā. Sabat kā din thā. Chalte chalte us ke shāgirdoṅ ko bhūk lagī aur wuh anāj kī bāleṅ toṛ toṛ kar khāne lage.
Matt UrduGeoR 12:2  Yih dekh kar Farīsiyoṅ ne Īsā se shikāyat kī, “Dekho, āp ke shāgird aisā kām kar rahe haiṅ jo Sabat ke din manā hai.”
Matt UrduGeoR 12:3  Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne nahīṅ paṛhā ki Dāūd ne kyā kiyā jab use aur us ke sāthiyoṅ ko bhūk lagī?
Matt UrduGeoR 12:4  Wuh Allāh ke ghar meṅ dāḳhil huā aur apne sāthiyoṅ samet Rab ke lie maḳhsūsshudā roṭiyāṅ khāīṅ, agarche unheṅ is kī ijāzat nahīṅ thī balki sirf imāmoṅ ko?
Matt UrduGeoR 12:5  Yā kyā tum ne Tauret meṅ nahīṅ paṛhā ki go imām Sabat ke din Baitul-muqaddas meṅ ḳhidmat karte hue ārām karne kā hukm toṛte haiṅ to bhī wuh be'ilzām ṭhaharte haiṅ?
Matt UrduGeoR 12:6  Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki yahāṅ wuh hai jo Baitul-muqaddas se afzal hai.
Matt UrduGeoR 12:7  Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Maiṅ qurbānī nahīṅ balki rahm pasand kartā hūṅ.’ Agar tum is kā matlab samajhte to bequsūroṅ ko mujrim na ṭhahrāte.
Matt UrduGeoR 12:9  Wahāṅ se chalte chalte wuh un ke ibādatḳhāne meṅ dāḳhil huā.
Matt UrduGeoR 12:10  Us meṅ ek ādmī thā jis kā hāth sūkhā huā thā. Log Īsā par ilzām lagāne kā koī bahānā talāsh kar rahe the, is lie unhoṅ ne us se pūchhā, “Kyā sharīat Sabat ke din shifā dene kī ijāzat detī hai?”
Matt UrduGeoR 12:11  Īsā ne jawāb diyā, “Agar tum meṅ se kisī kī bheṛ Sabat ke din gaṛhe meṅ gir jāe to kyā use nahīṅ nikāloge?
Matt UrduGeoR 12:12  Aur bheṛ kī nisbat insān kī kitnī zyādā qadar-o-qīmat hai! Ġharz sharīat nek kām karne kī ijāzat detī hai.”
Matt UrduGeoR 12:13  Phir us ne us ādmī se jis kā hāth sūkhā huā thā kahā, “Apnā hāth āge baṛhā.” Us ne aisā kiyā to us kā hāth dūsre hāth kī mānind tandurust ho gayā.
Matt UrduGeoR 12:14  Is par Farīsī nikal kar āpas meṅ Īsā ko qatl karne kī sāzisheṅ karne lage.
Matt UrduGeoR 12:15  Jab Īsā ne yih jān liyā to wuh wahāṅ se chalā gayā. Bahut-se log us ke pīchhe chal rahe the. Us ne un ke tamām marīzoṅ ko shifā de kar
Matt UrduGeoR 12:16  unheṅ tākīd kī, “Kisī ko mere bāre meṅ na batāo.”
Matt UrduGeoR 12:17  Yoṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī,
Matt UrduGeoR 12:18  ‘Dekho, merā ḳhādim jise maiṅ ne chun liyā hai, merā pyārā jo mujhe pasand hai. Maiṅ apne Rūh ko us par ḍālūṅgā, aur wuh aqwām meṅ insāf kā elān karegā.
Matt UrduGeoR 12:19  Wuh na to jhagaṛegā, na chillāegā. Galiyoṅ meṅ us kī āwāz sunāī nahīṅ degī.
Matt UrduGeoR 12:20  Na wuh kuchle hue sarkanḍe ko toṛegā, na bujhtī huī battī ko bujhāegā jab tak wuh insāf ko ġhalbā na baḳhshe.
Matt UrduGeoR 12:22  Phir ek ādmī ko Īsā ke pās lāyā gayā jo badrūh kī girift meṅ thā. Wuh andhā aur gūṅgā thā. Īsā ne use shifā dī to gūṅgā bolne aur deḳhne lagā.
Matt UrduGeoR 12:23  Hujūm ke tamām log hakkā-bakkā rah gae aur pūchhne lage, “Kyā yih Ibn-e-Dāūd nahīṅ?”
Matt UrduGeoR 12:24  Lekin jab Farīsiyoṅ ne yih sunā to unhoṅ ne kahā, “Yih sirf badrūhoṅ ke sardār Bāl-zabūl kī mārifat badrūhoṅ ko nikāltā hai.”
Matt UrduGeoR 12:25  Un ke yih ḳhayālāt jān kar Īsā ne un se kahā, “Jis bādshāhī meṅ phūṭ paṛ jāe wuh tabāh ho jāegī. Aur jis shahr yā gharāne kī aisī hālat ho wuh bhī qāym nahīṅ rah saktā.
Matt UrduGeoR 12:26  Isī tarah agar Iblīs apne āp ko nikāle to phir us meṅ phūṭ paṛ gaī hai. Is sūrat meṅ us kī bādshāhī kis tarah qāym rah saktī hai?
Matt UrduGeoR 12:27  Aur agar maiṅ badrūhoṅ ko Bāl-zabūl kī madad se nikāltā hūṅ to tumhāre beṭe unheṅ kis ke zariye nikālte haiṅ? Chunāṅche wuhī is bāt meṅ tumhāre munsif hoṅge.
Matt UrduGeoR 12:28  Lekin agar maiṅ Allāh ke Rūh kī mārifat badrūhoṅ ko nikāl detā hūṅ to phir Allāh kī bādshāhī tumhāre pās pahuṅch chukī hai.
Matt UrduGeoR 12:29  Kisī zorāwar ādmī ke ghar meṅ ghus kar us kā māl-o-asbāb lūṭnā kis tarah mumkin hai jab tak ki use bāndhā na jāe? Phir hī use lūṭā jā saktā hai.
Matt UrduGeoR 12:30  Jo mere sāth nahīṅ wuh mere ḳhilāf hai aur jo mere sāth jamā nahīṅ kartā wuh bikhertā hai.
Matt UrduGeoR 12:31  Ġharz maiṅ tum ko batātā hūṅ ki insān kā har gunāh aur kufr muāf kiyā jā sakegā siwāe Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bakne ke. Ise muāf nahīṅ kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 12:32  Jo Ibn-e-Ādam ke ḳhilāf bāt kare use muāf kiyā jā sakegā, lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf bāt kare use na is jahān meṅ aur na āne wāle jahān meṅ muāf kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 12:33  Achchhe phal ke lie achchhe daraḳht kī zarūrat hotī hai. Ḳharāb daraḳht se ḳharāb phal miltā hai. Daraḳht us ke phal se hī pahchānā jātā hai.
Matt UrduGeoR 12:34  Ai sāṅp ke bachcho! Tum jo bure ho kis tarah achchhī bāteṅ kar sakte ho? Kyoṅki jis chīz se dil labrez hotā hai wuh chhalak kar zabān par ā jātī hai.
Matt UrduGeoR 12:35  Achchhā shaḳhs apne dil ke achchhe ḳhazāne se achchhī chīzeṅ nikāltā hai jabki burā shaḳhs apne bure ḳhazāne se burī chīzeṅ.
Matt UrduGeoR 12:36  Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki qiyāmat ke din logoṅ ko beparwāī se kī gaī har bāt kā hisāb denā paṛegā.
Matt UrduGeoR 12:37  Tumhārī apnī bātoṅ kī binā par tum ko rāst yā nārāst ṭhahrāyā jāegā.”
Matt UrduGeoR 12:38  Phir sharīat ke kuchh ulamā aur Farīsiyoṅ ne Īsā se bāt kī, “Ustād, ham āp kī taraf se ilāhī nishān deḳhnā chāhte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 12:39  Us ne jawāb diyā, “Sirf sharīr aur zinākār nasl ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. Lekin use koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā siwāe Yūnus nabī ke nishān ke.
Matt UrduGeoR 12:40  Kyoṅki jis tarah Yūnus tīn din aur tīn rāt machhlī ke peṭ meṅ rahā usī tarah Ibn-e-Ādam bhī tīn din aur tīn rāt zamīn kī god meṅ paṛā rahegā.
Matt UrduGeoR 12:41  Qiyāmat ke din Nīnwā ke bāshinde is nasl ke sāth khaṛe ho kar ise mujrim ṭhahrāeṅge. Kyoṅki Yūnus ke elān par unhoṅ ne taubā kī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Yūnus se bhī baṛā hai.
Matt UrduGeoR 12:42  Us din junūbī mulk Sabā kī malikā bhī is nasl ke sāth khaṛī ho kar ise mujrim qarār degī. Kyoṅki wuh dūr-darāz mulk se Sulemān kī hikmat sunane ke lie āī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Sulemān se bhī baṛā hai.
Matt UrduGeoR 12:43  Jab koī badrūh kisī shaḳhs se nikaltī hai to wuh wīrān ilāqoṅ meṅ se guzartī huī ārām kī jagah talāsh kartī hai. Lekin jab use koī aisā maqām nahīṅ miltā
Matt UrduGeoR 12:44  to wuh kahtī hai, ‘Maiṅ apne us ghar meṅ wāpas chalī jāūṅgī jis meṅ se niklī thī.’ Wuh wāpas ā kar deḳhtī hai ki ghar ḳhālī hai aur kisī ne jhāṛū de kar sab kuchh salīqe se rakh diyā hai.
Matt UrduGeoR 12:45  Phir wuh jā kar sāt aur badrūheṅ ḍhūnḍ lātī hai jo us se badtar hotī haiṅ, aur wuh sab us shaḳhs meṅ ghus kar rahne lagtī haiṅ. Chunāṅche ab us ādmī kī hālat pahle kī nisbat zyādā burī ho jātī hai. Is sharīr nasl kā bhī yihī hāl hogā.”
Matt UrduGeoR 12:46  Īsā abhī hujūm se bāt kar hī rahā thā ki us kī māṅ aur bhāī bāhar khaṛe us se bāt karne kī koshish karne lage.
Matt UrduGeoR 12:47  Kisī ne Īsā se kahā, “Āp kī māṅ aur bhāī bāhar khaṛe haiṅ aur āp se bāt karnā chāhte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 12:48  Īsā ne pūchhā, “Kaun hai merī māṅ aur kaun haiṅ mere bhāī?”
Matt UrduGeoR 12:49  Phir apne hāth se shāgirdoṅ kī taraf ishārā karke us ne kahā, “Dekho, yih merī māṅ aur mere bhāī haiṅ.
Matt UrduGeoR 12:50  Kyoṅki jo bhī mere āsmānī Bāp kī marzī pūrī kartā hai wuh merā bhāī, merī bahan aur merī māṅ hai.”