Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MATTHEW
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 26
Matt UrduGeoR 26:1  Yih bāteṅ ḳhatm karne par Īsā shāgirdoṅ se muḳhātib huā,
Matt UrduGeoR 26:2  “Tum jānte ho ki do din ke bād Fasah kī Īd shurū hogī. Us waqt Ibn-e-Ādam ko dushman ke hawāle kiyā jāegā tāki use maslūb kiyā jāe.”
Matt UrduGeoR 26:3  Phir rāhnumā imām aur qaum ke buzurg Kāyfā nāmī imām-e-āzam ke mahal meṅ jamā hue
Matt UrduGeoR 26:4  aur Īsā ko kisī chālākī se giriftār karke qatl karne kī sāzisheṅ karne lage.
Matt UrduGeoR 26:5  Unhoṅ ne kahā, “Lekin yih īd ke daurān nahīṅ honā chāhie, aisā na ho ki awām meṅ halchal mach jāe.”
Matt UrduGeoR 26:6  Itne meṅ Īsā Bait-aniyāh ā kar ek ādmī ke ghar meṅ dāḳhil huā jo kisī waqt koṛh kā marīz thā. Us kā nām Shamāūn thā.
Matt UrduGeoR 26:7  Īsā khānā khāne ke lie baiṭh gayā to ek aurat āī jis ke pās nihāyat qīmtī itr kā itrdān thā. Us ne use Īsā ke sar par unḍel diyā.
Matt UrduGeoR 26:8  Shāgird yih dekh kar nārāz hue. Unhoṅ ne kahā, “Itnā qīmtī itr zāe karne kī kyā zarūrat thī?
Matt UrduGeoR 26:9  Yih bahut mahangī chīz hai. Agar ise bechā jātā to is ke paise ġharīboṅ ko die jā sakte the.”
Matt UrduGeoR 26:10  Lekin un ke ḳhayāl pahchān kar Īsā ne un se kahā, “Tum ise kyoṅ tang kar rahe ho? Is ne to mere lie ek nek kām kiyā hai.
Matt UrduGeoR 26:11  Ġharīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, lekin maiṅ hameshā tak tumhāre pās nahīṅ rahūṅgā.
Matt UrduGeoR 26:12  Mujh par itr unḍelne se us ne mere badan ko dafn hone ke lie taiyār kiyā hai.
Matt UrduGeoR 26:13  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tamām duniyā meṅ jahāṅ bhī Allāh kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jāegā wahāṅ log is ḳhātūn ko yād karke wuh kuchh sunāeṅge jo is ne kiyā hai.”
Matt UrduGeoR 26:14  Phir Yahūdāh Iskariyotī jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā rāhnumā imāmoṅ ke pās gayā.
Matt UrduGeoR 26:15  Us ne pūchhā, “Āp mujhe Īsā ko āp ke hawāle karne ke ewaz kitne paise dene ke lie taiyār haiṅ?” Unhoṅ ne us ke lie chāṅdī ke 30 sikke muta'ayyin kie.
Matt UrduGeoR 26:16  Us waqt se Yahūdāh Īsā ko un ke hawāle karne kā mauqā ḍhūṅḍne lagā.
Matt UrduGeoR 26:17  Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī. Pahle din Īsā ke shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “Ham kahāṅ āp ke lie Fasah kā khānā taiyār kareṅ?”
Matt UrduGeoR 26:18  Us ne jawāb diyā, “Yarūshalam Shahr meṅ fulāṅ ādmī ke pās jāo aur use batāo, ‘Ustād ne kahā hai ki merā muqarrarā waqt qarīb ā gayā hai. Maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kī Īd kā khānā āp ke ghar meṅ khāūṅgā.’”
Matt UrduGeoR 26:19  Shāgirdoṅ ne wuh kuchh kiyā jo Īsā ne unheṅ batāyā thā aur Fasah kī Īd kā khānā taiyār kiyā.
Matt UrduGeoR 26:20  Shām ke waqt Īsā bārah shāgirdoṅ ke sāth khānā khāne ke lie baiṭh gayā.
Matt UrduGeoR 26:21  Jab wuh khānā khā rahe the to us ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke hawāle kar degā.”
Matt UrduGeoR 26:22  Shāgird yih sun kar nihāyat ġhamgīn hue. Bārī bārī wuh us se pūchhne lage, “Ḳhudāwand, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”
Matt UrduGeoR 26:23  Īsā ne jawāb diyā, “Jis ne mere sāth apnā hāth sālan ke bartan meṅ ḍālā hai wuhī mujhe dushman ke hawāle karegā.
Matt UrduGeoR 26:24  Ibn-e-Ādam to kūch kar jāegā jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā. Us ke lie behtar yih hotā ki wuh kabhī paidā hī na hotā.”
Matt UrduGeoR 26:25  Phir Yahūdāh ne jo use dushman ke hawāle karne ko thā pūchhā, “Ustād, maiṅ to nahīṅ hūṅ?” Īsā ne jawāb diyā, “Jī, tum ne ḳhud kahā hai.”
Matt UrduGeoR 26:26  Khāne ke daurān Īsā ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke shāgirdoṅ ko de diyā. Us ne kahā, “Yih lo aur khāo. Yih merā badan hai.”
Matt UrduGeoR 26:27  Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur use unheṅ de kar kahā, “Tum sab is meṅ se piyo.
Matt UrduGeoR 26:28  Yih merā ḳhūn hai, nae ahd kā wuh ḳhūn jo bahutoṅ ke lie bahāyā jātā hai tāki un ke gunāhoṅ ko muāf kar diyā jāe.
Matt UrduGeoR 26:29  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā yih ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise tumhāre sāth apne Bāp kī bādshāhī meṅ hī piyūṅgā.”
Matt UrduGeoR 26:30  Phir ek zabūr gā kar wuh nikle aur Zaitūn ke pahāṛ ke pās pahuṅche.
Matt UrduGeoR 26:31  Īsā ne unheṅ batāyā, “Āj rāt tum sab merī bābat bargashtā ho jāoge, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ Allāh farmātā hai, ‘Maiṅ charwāhe ko mār ḍālūṅgā aur rewaṛ kī bheṛeṅ titar-bitar ho jāeṅgī.’
Matt UrduGeoR 26:32  Lekin apne jī uṭhne ke bād maiṅ tumhāre āge āge Galīl pahuṅchūṅgā.”
Matt UrduGeoR 26:33  Patras ne etarāz kiyā, “Dūsre beshak sab āp kī bābat bargashtā ho jāeṅ, lekin maiṅ kabhī nahīṅ hūṅgā.”
Matt UrduGeoR 26:34  Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, isī rāt murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.”
Matt UrduGeoR 26:35  Patras ne kahā, “Hargiz nahīṅ! Maiṅ āp ko jānane se kabhī inkār nahīṅ karūṅga, chāhe mujhe āp ke sāth marnā bhī paṛe.” Dūsroṅ ne bhī yihī kuchh kahā.
Matt UrduGeoR 26:36  Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth ek bāġh meṅ pahuṅchā jis kā nām gatsamanī thā. Us ne un se kahā, “Yahāṅ baiṭh kar merā intazār karo. Maiṅ duā karne ke lie āge jātā hūṅ.”
Matt UrduGeoR 26:37  Us ne Patras aur Zabdī ke do beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā ko sāth liyā. Wahāṅ wuh ġhamgīn aur beqarār hone lagā.
Matt UrduGeoR 26:38  Us ne un se kahā, “Maiṅ dukh se itnā dabā huā hūṅ ki marne ko hūṅ. Yahāṅ ṭhahar kar mere sāth jāgte raho.”
Matt UrduGeoR 26:39  Kuchh āge jā kar wuh aundhe muṅh zamīn par gir kar yoṅ duā karne lagā, “Ai mere Bāp, agar mumkin ho to dukh kā yih pyālā mujh se haṭ jāe. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.”
Matt UrduGeoR 26:40  Wuh apne shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh so rahe haiṅ. Us ne Patras se pūchhā, “Kyā tum log ek ghanṭā bhī mere sāth nahīṅ jāg sake?
Matt UrduGeoR 26:41  Jāgte aur duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo. Kyoṅki rūh to taiyār hai lekin jism kamzor.”
Matt UrduGeoR 26:42  Ek bār phir us ne jā kar duā kī, “Mere Bāp, agar yih pyālā mere pie baġhair haṭ nahīṅ saktā to phir terī marzī pūrī ho.”
Matt UrduGeoR 26:43  Jab wuh wāpas āyā to dubārā dekhā ki wuh so rahe haiṅ, kyoṅki nīnd kī badaulat un kī āṅkheṅ bojhal thīṅ.
Matt UrduGeoR 26:44  Chunāṅche wuh unheṅ dubārā chhoṛ kar chalā gayā aur tīsrī bār yihī duā karne lagā.
Matt UrduGeoR 26:45  Phir Īsā shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā aur un se kahā, “Abhī tak so aur ārām kar rahe ho? Dekho, waqt ā gayā hai ki Ibn-e-Ādam gunāhgāroṅ ke hawāle kiyā jāe.
Matt UrduGeoR 26:46  Uṭho! Āo, chaleṅ. Dekho, mujhe dushman ke hawāle karne wālā qarīb ā chukā hai.”
Matt UrduGeoR 26:47  Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki Yahūdāh pahuṅch gayā, jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā. Us ke sāth talwāroṅ aur lāṭhiyoṅ se lais ādmiyoṅ kā baṛā hujūm thā. Unheṅ rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne bhejā thā.
Matt UrduGeoR 26:48  Is ġhaddār Yahūdāh ne unheṅ ek imtiyāzī nishān diyā thā ki jis ko maiṅ bosā dūṅ wuhī Īsā hai. Use giriftār kar lenā.
Matt UrduGeoR 26:49  Jyoṅ hī wuh pahuṅche Yahūdāh Īsā ke pās gayā aur “Ustād, assalāmu alaikum!” Kah kar use bosā diyā.
Matt UrduGeoR 26:50  Īsā ne kahā, “Dost, kyā tū isī maqsad se āyā hai?” Phir unhoṅ ne use pakaṛ kar giriftār kar liyā.
Matt UrduGeoR 26:51  Is par Īsā ke ek sāthī ne apnī talwār miyān se nikālī aur imām-e-āzam ke ġhulām ko mār kar us kā kān uṛā diyā.
Matt UrduGeoR 26:52  Lekin Īsā ne kahā, “Apnī talwār ko miyān meṅ rakh, kyoṅki jo bhī talwār chalātā hai use talwār se mārā jāegā.
Matt UrduGeoR 26:53  Yā kyā tū nahīṅ samajhtā ki merā Bāp mujhe hazāroṅ farishte fauran bhej degā agar maiṅ unheṅ talab karūṅ?
Matt UrduGeoR 26:54  Lekin agar maiṅ aisā kartā to phir kalām-e-muqaddas kī peshgoiyāṅ kis tarah pūrī hotīṅ jin ke mutābiq yih aisā hī honā hai?”
Matt UrduGeoR 26:55  Us waqt Īsā ne hujūm se kahā, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mujhe giriftār karne nikle ho? Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ baiṭh kar tālīm detā rahā, magar tum ne mujhe giriftār nahīṅ kiyā.
Matt UrduGeoR 26:56  Lekin yih sab kuchh is lie ho rahā hai tāki nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ darj peshgoiyāṅ pūrī ho jāeṅ.” Phir tamām shāgird use chhoṛ kar bhāg gae.
Matt UrduGeoR 26:57  Jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā thā wuh use Kāyfā Imām-e-Āzam ke ghar le gae jahāṅ sharīat ke tamām ulamā aur qaum ke buzurg jamā the.
Matt UrduGeoR 26:58  Itne meṅ Patras kuchh fāsile par Īsā ke pīchhe pīchhe imām-e-āzam ke sahan tak pahuṅch gayā. Us meṅ dāḳhil ho kar wuh mulāzimoṅ ke sāth āg ke pās baiṭh gayā tāki is silsile kā anjām dekh sake.
Matt UrduGeoR 26:59  Makān ke andar rāhnumā imām aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām afrād Īsā ke ḳhilāf jhūṭī gawāhiyāṅ ḍhūnḍ rahe the tāki use sazā-e-maut dilwā sakeṅ.
Matt UrduGeoR 26:60  Bahut-se jhūṭe gawāh sāmne āe, lekin koī aisī gawāhī na milī. Āḳhirkār do ādmiyoṅ ne sāmne ā kar
Matt UrduGeoR 26:61  yih bāt pesh kī, “Is ne kahā hai ki maiṅ Allāh ke Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar saktā hūṅ.”
Matt UrduGeoR 26:62  Phir imām-e-āzam ne khaṛe ho kar Īsā se kahā, “Kyā tū koī jawāb nahīṅ degā? Yih kyā gawāhiyāṅ haiṅ jo yih log tere ḳhilāf de rahe haiṅ?”
Matt UrduGeoR 26:63  Lekin Īsā ḳhāmosh rahā. Imām-e-āzam ne us se ek aur sawāl kiyā, “Maiṅ tujhe zindā Ḳhudā kī qasam de kar pūchhtā hūṅ ki kyā tū Allāh kā Farzand Masīh hai?”
Matt UrduGeoR 26:64  Īsā ne kahā, “Jī, tū ne ḳhud kah diyā hai. Aur maiṅ tum sab ko batātā hūṅ ki āindā tum Ibn-e-Ādam ko Qādir-e-mutlaq ke dahne hāth baiṭhe aur āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekhoge.”
Matt UrduGeoR 26:65  Imām-e-āzam ne ranjish kā izhār karke apne kapṛe phāṛ lie aur kahā, “Is ne kufr bakā hai! Hameṅ mazīd gawāhoṅ kī kyā zarūrat rahī! Āp ne ḳhud sun liyā hai ki is ne kufr bakā hai.
Matt UrduGeoR 26:66  Āp kā kyā faislā hai?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yih sazā-e-maut ke lāyq hai.”
Matt UrduGeoR 26:67  Phir wuh us par thūkne aur us ke mukke mārne lage. Bāz ne us ke thappaṛ mār mār kar
Matt UrduGeoR 26:68  kahā, “Ai Masīh, nabuwwat karke hameṅ batā ki tujhe kis ne mārā.”
Matt UrduGeoR 26:69  Is daurān Patras bāhar sahan meṅ baiṭhā thā. Ek naukarānī us ke pās āī. Us ne kahā, “Tum bhī Galīl ke us ādmī Īsā ke sāth the.”
Matt UrduGeoR 26:70  Lekin Patras ne un sab ke sāmne inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ jāntā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” Yih kah kar
Matt UrduGeoR 26:71  wuh bāhar geṭ tak gayā. Wahāṅ ek aur naukarānī ne use dekhā aur pās khaṛe logoṅ se kahā, “Yih ādmī Īsā Nāsarī ke sāth thā.”
Matt UrduGeoR 26:72  Dubārā Patras ne inkār kiyā. Is dafā us ne qasam khā kar kahā, “Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā.”
Matt UrduGeoR 26:73  Thoṛī der ke bād wahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne Patras ke pās ā kar kahā, “Tum zarūr un meṅ se ho kyoṅki tumhārī bolī se sāf patā chaltā hai.”
Matt UrduGeoR 26:74  Is par Patras ne qasam khā kar kahā, “Mujh par lānat agar maiṅ jhūṭ bol rahā hūṅ. Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā!” Fauran murġh kī bāṅg sunāī dī.
Matt UrduGeoR 26:75  Phir Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne kahī thī, “Murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” Is par wuh bāhar niklā aur ṭūṭe dil se ḳhūb royā.