Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MATTHEW
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 7
Matt UrduGeoR 7:1  Dūsroṅ kī adālat mat karnā, warnā tumhārī adālat bhī kī jāegī.
Matt UrduGeoR 7:2  Kyoṅki jitnī saḳhtī se tum dūsroṅ kā faislā karte ho utnī saḳhtī se tumhārā bhī faislā kiyā jāegā. Aur jis paimāne se tum nāpte ho usī paimāne se tum bhī nāpe jāoge.
Matt UrduGeoR 7:3  Tū kyoṅ ġhaur se apne bhāī kī āṅkh meṅ paṛe tinke par nazar kartā hai jabki tujhe wuh shahtīr nazar nahīṅ ātā jo terī apnī āṅkh meṅ hai?
Matt UrduGeoR 7:4  Tū kyoṅkar apne bhāī se kah saktā hai, ‘Ṭhahro, mujhe tumhārī āṅkh meṅ paṛā tinkā nikālne do,’ jabki terī apnī āṅkh meṅ shahtīr hai.
Matt UrduGeoR 7:5  Riyākār! Pahle apnī āṅkh ke shahtīr ko nikāl. Tab hī tujhe bhāī kā tinkā sāf nazar āegā aur tū use achchhī tarah se dekh kar nikāl sakegā.
Matt UrduGeoR 7:6  Kuttoṅ ko muqaddas ḳhurāk mat khilānā aur suaroṅ ke āge apne motī na phaiṅknā. Aisā na ho ki wuh unheṅ pāṅwoṅ tale raundeṅ aur muṛ kar tum ko phāṛ ḍāleṅ.
Matt UrduGeoR 7:7  Māṅgte raho to tum ko diyā jāegā. Ḍhūṅḍte raho to tum ko mil jāegā. Khaṭkhaṭāte raho to tumhāre lie darwāzā khol diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 7:8  Kyoṅki jo bhī māṅgtā hai wuh pātā hai, jo ḍhūṅḍtā hai use miltā hai, aur jo khaṭkhaṭātā hai us ke lie darwāzā khol diyā jātā hai.
Matt UrduGeoR 7:9  Tum meṅ se kaun apne beṭe ko patthar degā agar wuh roṭī māṅge?
Matt UrduGeoR 7:10  Yā kaun use sāṅp degā agar wuh machhlī māṅge? Koī nahīṅ!
Matt UrduGeoR 7:11  Jab tum bure hone ke bāwujūd itne samajhdār ho ki apne bachchoṅ ko achchhī chīzeṅ de sakte ho to phir kitnī zyādā yaqīnī bāt hai ki tumhārā āsmānī Bāp māṅgne wāloṅ ko achchhī chīzeṅ degā.
Matt UrduGeoR 7:12  Har bāt meṅ dūsroṅ ke sāth wuhī sulūk karo jo tum chāhte ho ki wuh tumhāre sāth kareṅ. Kyoṅki yihī sharīat aur nabiyoṅ kī tālīmāt kā lubb-e-lubāb hai.
Matt UrduGeoR 7:13  Tang darwāze se dāḳhil ho, kyoṅki halākat kī taraf le jāne wālā rāstā kushādā aur us kā darwāzā chauṛā hai. Bahut-se log us meṅ dāḳhil ho jāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:14  Lekin zindagī kī taraf le jāne wālā rāstā tang hai aur us kā darwāzā chhoṭā. Kam hī log use pāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:15  Jhūṭe nabiyoṅ se ḳhabardār raho! Go wuh bheṛoṅ kā bhes badal kar tumhāre pās āte haiṅ, lekin andar se wuh ġhāratgar bheṛie hote haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:16  Un kā phal dekh kar tum unheṅ pahchān loge. Kyā ḳhārdār jhāṛiyoṅ se angūr toṛe jāte haiṅ yā ūṅṭkaṭāroṅ se anjīr? Hargiz nahīṅ.
Matt UrduGeoR 7:17  Isī tarah achchhā daraḳht achchhā phal lātā hai aur ḳharāb daraḳht ḳharāb phal.
Matt UrduGeoR 7:18  Na achchhā daraḳht ḳharāb phal lā saktā hai, na ḳharāb daraḳht achchhā phal.
Matt UrduGeoR 7:19  Jo bhī daraḳht achchhā phal nahīṅ lātā use kāṭ kar āg meṅ jhoṅkā jātā hai.
Matt UrduGeoR 7:20  Yoṅ tum un kā phal dekh kar unheṅ pahchān loge.
Matt UrduGeoR 7:21  Jo mujhe ‘Ḳhudāwand, Ḳhudāwand’ kahte haiṅ un meṅ se sab āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil na hoṅge balki sirf wuh jo mere āsmānī Bāp kī marzī par aml karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:22  Adālat ke din bahut-se log mujh se kaheṅge, ‘Ai Ḳhudāwand, Ḳhudāwand! Kyā ham ne tere hī nām meṅ nabuwwat nahīṅ kī, tere hī nām se badrūheṅ nahīṅ nikālīṅ, tere hī nām se mojize nahīṅ kie?’
Matt UrduGeoR 7:23  Us waqt maiṅ un se sāf sāf kah dūṅgā, ‘Merī kabhī tum se jān pahchān na thī. Ai badkāro! Mere sāmne se chale jāo.’
Matt UrduGeoR 7:24  Lihāzā jo bhī merī yih bāteṅ sun kar un par amal kartā hai wuh us samajhdār ādmī kī mānind hai jis ne apne makān kī buniyād chaṭān par rakhī.
Matt UrduGeoR 7:25  Bārish hone lagī, sailāb āyā aur āṅdhī makān ko jhanjhoṛne lagī. Lekin wuh na girā, kyoṅki us kī buniyād chaṭān par rakhī gaī thī.
Matt UrduGeoR 7:26  Lekin jo bhī merī yih bāteṅ sun kar un par amal nahīṅ kartā wuh us ahmaq kī mānind hai jis ne apnā makān sahīh buniyād ḍāle baġhair ret par tāmīr kiyā.
Matt UrduGeoR 7:27  Jab bārish hone lagī, sailāb āyā aur āṅdhī makān ko jhanjhoṛne lagī to yih makān dhaṛām se gir gayā.”
Matt UrduGeoR 7:28  Jab Īsā ne yih bāteṅ ḳhatm kar līṅ to log us kī tālīm sun kar hakkā-bakkā rah gae.
Matt UrduGeoR 7:29  Kyoṅki wuh un ke ulamā kī tarah nahīṅ balki iḳhtiyār ke sāth sikhātā thā.