Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 20
Numb UrduGeoR 20:1  Pahle mahīne meṅ Isrāīl kī pūrī jamāt Dasht-e-Sīn meṅ pahuṅch kar Qādis meṅ rahne lagī. Wahāṅ Mariyam ne wafāt pāī aur wahīṅ use dafnāyā gayā.
Numb UrduGeoR 20:2  Qādis meṅ pānī dastyāb nahīṅ thā, is lie log Mūsā aur Hārūn ke muqābale meṅ jamā hue.
Numb UrduGeoR 20:3  Wuh Mūsā se yih kah kar jhagaṛne lage, “Kāsh ham apne bhāiyoṅ ke sāth Rab ke sāmne mar gae hote!
Numb UrduGeoR 20:4  Āp Rab kī jamāt ko kyoṅ is registān meṅ le āe? Kyā is lie ki ham yahāṅ apne maweshiyoṅ samet mar jāeṅ?
Numb UrduGeoR 20:5  Āp hameṅ Misr se nikāl kar us nāḳhushgawār jagah par kyoṅ le āe haiṅ? Yahāṅ na to anāj, na anjīr, angūr yā anār dastyāb haiṅ. Pānī bhī nahīṅ hai!”
Numb UrduGeoR 20:6  Mūsā aur Hārūn logoṅ ko chhoṛ kar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par gae aur muṅh ke bal gire. Tab Rab kā jalāl un par zāhir huā.
Numb UrduGeoR 20:8  “Ahd ke sandūq ke sāmne paṛī lāṭhī pakaṛ kar Hārūn ke sāth jamāt ko ikaṭṭhā kar. Un ke sāmne chaṭān se bāt karo to wuh apnā pānī degī. Yoṅ tū chaṭān meṅ se jamāt ke lie pānī nikāl kar unheṅ un ke maweshiyoṅ samet pānī pilāegā.”
Numb UrduGeoR 20:9  Mūsā ne aisā hī kiyā. Us ne ahd ke sandūq ke sāmne paṛī lāṭhī uṭhāī
Numb UrduGeoR 20:10  aur Hārūn ke sāth jamāt ko chaṭān ke sāmne ikaṭṭhā kiyā. Mūsā ne un se kahā, “Ai baġhāwat karne wālo, suno! Kyā ham is chaṭān meṅ se tumhāre lie pānī nikāleṅ?”
Numb UrduGeoR 20:11  Us ne lāṭhī ko uṭhā kar chaṭān ko do martabā mārā to bahut-sā pānī phūṭ niklā. Jamāt aur un ke maweshiyoṅ ne ḳhūb pānī piyā.
Numb UrduGeoR 20:12  Lekin Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Tumhārā mujh par itnā īmān nahīṅ thā ki merī quddūsiyat ko Isrāīliyoṅ ke sāmne qāym rakhte. Is lie tum us jamāt ko us mulk meṅ nahīṅ le jāoge jo maiṅ unheṅ dūṅgā.”
Numb UrduGeoR 20:13  Yih wāqiyā Marībā yānī ‘Jhagaṛnā’ ke pānī par huā. Wahāṅ Isrāīliyoṅ ne Rab se jhagaṛā kiyā, aur wahāṅ us ne un par zāhir kiyā ki wuh quddūs hai.
Numb UrduGeoR 20:14  Qādis se Mūsā ne Adom ke bādshāh ko ittalā bhejī, “Āp ke bhāī Isrāīl kī taraf se ek guzārish hai. Āp ko un tamām musībatoṅ ke bāre meṅ ilm hai jo ham par ān paṛī haiṅ.
Numb UrduGeoR 20:15  Hamāre bāpdādā Misr gae the aur wahāṅ ham bahut arse tak rahe. Misriyoṅ ne hamāre bāpdādā aur ham se burā sulūk kiyā.
Numb UrduGeoR 20:16  Lekin jab ham ne chillā kar Rab se minnat kī to us ne hamārī sunī aur farishtā bhej kar hameṅ Misr se nikāl lāyā. Ab ham yahāṅ Qādis Shahr meṅ haiṅ jo āp kī sarhad par hai.
Numb UrduGeoR 20:17  Mehrbānī karke hameṅ apne mulk meṅ se guzarne deṅ. Ham kisī khet yā angūr ke bāġh meṅ nahīṅ jāeṅge, na kisī kueṅ kā pānī pieṅge. Ham shāhrāh par hī raheṅge. Āp ke mulk meṅ se guzarte hue ham us se na dāīṅ aur na bāīṅ taraf haṭeṅge.”
Numb UrduGeoR 20:18  Lekin Adomiyoṅ ne jawāb diyā, “Yahāṅ se na guzarnā, warnā ham nikal kar āp se laṛeṅge.”
Numb UrduGeoR 20:19  Isrāīl ne dubārā ḳhabar bhejī, “Ham shāhrāh par rahte hue guzareṅge. Agar hameṅ yā hamāre jānwaroṅ ko pānī kī zarūrat huī to paise de kar ḳharīd leṅge. Ham paidal hī guzarnā chāhte haiṅ, aur kuchh nahīṅ chāhte.”
Numb UrduGeoR 20:20  Lekin Adomiyoṅ ne dubārā inkār kiyā. Sāth hī unhoṅ ne un ke sāth laṛne ke lie ek baṛī aur tāqatwar fauj bhejī.
Numb UrduGeoR 20:21  Chūṅki Adom ne unheṅ guzarne kī ijāzat na dī is lie Isrāīlī muṛ kar dūsre rāste se chale gae.
Numb UrduGeoR 20:22  Isrāīl kī pūrī jamāt Qādis se rawānā ho kar Hor Pahāṛ ke pās pahuṅchī.
Numb UrduGeoR 20:23  Yih pahāṛ Adom kī sarhad par wāqe thā. Wahāṅ Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā,
Numb UrduGeoR 20:24  “Hārūn ab kūch karke apne bāpdādā se jā milegā. Wuh us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā jo maiṅ Isrāīliyoṅ ko dūṅgā, kyoṅki tum donoṅ ne Marībā ke pānī par mere hukm kī ḳhilāfwarzī kī.
Numb UrduGeoR 20:25  Hārūn aur us ke beṭe Iliyazar ko le kar Hor Pahāṛ par chaṛh jā.
Numb UrduGeoR 20:26  Hārūn ke kapṛe utār kar us ke beṭe Iliyazar ko pahnā denā. Phir Hārūn kūch karke apne bāpdādā se jā milegā.”
Numb UrduGeoR 20:27  Mūsā ne aisā hī kiyā jaisā Rab ne kahā. Tīnoṅ pūrī jamāt ke deḳhte deḳhte Hor Pahāṛ par chaṛh gae.
Numb UrduGeoR 20:28  Mūsā ne Hārūn ke kapṛe utarwā kar us ke beṭe Iliyazar ko pahnā die. Phir Hārūn wahāṅ pahāṛ kī choṭī par faut huā, aur Mūsā aur Iliyazar nīche utar gae.
Numb UrduGeoR 20:29  Jab pūrī jamāt ko mālūm huā ki Hārūn intaqāl kar gayā hai to sab ne 30 din tak us ke lie mātam kiyā.