Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 14
Gene UrduGeoR 14:1  Kanān meṅ jang huī. Bairūn-e-mulk ke chār bādshāhoṅ ne Kanān ke pāṅch bādshāhoṅ se jang kī. Bairūn-e-mulk ke bādshāh yih the: Sinār se Amrāfil, Illāsar se Aryūk, Ailām se Kidarlāumar aur Joyim se Tidāl.
Gene UrduGeoR 14:2  Kanān ke bādshāh yih the: Sadūm se Birā, Amūrā se Birshā, Admā se Siniyāb, Zaboīm se Shimebar aur Bālā yānī Zuġhar kā bādshāh.
Gene UrduGeoR 14:3  Kanān ke in pāṅch bādshāhoṅ kā ittahād huā thā aur wuh Wādī-e-Siddīm meṅ jamā hue the. (Ab Siddīm nahīṅ hai, kyoṅki us kī jagah Bahīrā-e-Murdār ā gayā hai.)
Gene UrduGeoR 14:4  Kidarlāumar ne bārah sāl tak un par hukūmat kī thī, lekin terhweṅ sāl wuh bāġhī ho gae the.
Gene UrduGeoR 14:5  Ab ek sāl ke bād Kidarlāumar aur us ke ittahādī apnī faujoṅ ke sāth āe. Pahle unhoṅ ne Astārāt-qarnaim meṅ Rafāiyoṅ ko, Hām meṅ Zūziyoṅ ko, Sawī-qiriyatāym meṅ Aimiyoṅ ko
Gene UrduGeoR 14:6  aur Horiyoṅ ko un ke pahāṛī ilāqe Saīr meṅ shikast dī. Yoṅ wuh El-fārān tak pahuṅch gae jo registān ke kināre par hai.
Gene UrduGeoR 14:7  Phir wuh wāpas āe aur Ain-misfāt yānī Qādis pahuṅche. Unhoṅ ne Amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāh kar diyā aur Hassūn-tamr meṅ ābād Amoriyoṅ ko bhī shikast dī.
Gene UrduGeoR 14:8  Us waqt Sadūm, Amūrā, Admā, Zaboīm aur Bālā yānī Zuġhar ke bādshāh un se laṛne ke lie Siddīm kī Wādī meṅ jamā hue.
Gene UrduGeoR 14:9  In pāṅch bādshāhoṅ ne Ailām ke bādshāh Kidarlāumar, Joyim ke bādshāh Tidāl, Sinār ke bādshāh Amrāfil aur Illāsar ke bādshāh Aryūk kā muqābalā kiyā.
Gene UrduGeoR 14:10  Is wādī meṅ tārkol ke muta'addid gaṛhe the. Jab bāġhī bādshāh shikast khā kar bhāgne lage to Sadūm aur Amūrā ke bādshāh in gaṛhoṅ meṅ gir gae jabki bāqī tīn bādshāh bach kar pahāṛī ilāqe meṅ farār hue.
Gene UrduGeoR 14:11  Fathmand bādshāh Sadūm aur Amūrā kā tamām māl tamām khāne wālī chīzoṅ samet lūṭ kar wāpas chal die.
Gene UrduGeoR 14:12  Abrām kā bhatījā Lūt Sadūm meṅ rahtā thā, is lie wuh use bhī us kī milkiyat samet chhīn kar sāth le gae.
Gene UrduGeoR 14:13  Lekin ek ādmī ne jo bach niklā thā Ibrānī mard Abrām ke pās ā kar use sab kuchh batā diyā. Us waqt wuh Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās ābād thā. Mamre Amorī thā. Wuh aur us ke bhāī Iskāl aur Āner Abrām ke ittahādī the.
Gene UrduGeoR 14:14  Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the.
Gene UrduGeoR 14:15  Wahāṅ us ne apne bandoṅ ko gurohoṅ meṅ taqsīm karke rāt ke waqt dushman par hamlā kiyā. Dushman shikast khā kar bhāg gayā aur Abrām ne Damishq ke shimāl meṅ wāqe Ḳhūbā tak us kā tāqqub kiyā.
Gene UrduGeoR 14:16  Wuh un se lūṭā huā tamām māl wāpas le āyā. Lūt, us kī jāydād, aurateṅ aur bāqī qaidī bhī dushman ke qabze se bach nikle.
Gene UrduGeoR 14:17  Jab Abrām Kidarlāumar aur us ke ittahādiyoṅ par fatah pāne ke bād wāpas pahuṅchā to Sadūm kā bādshāh us se milne ke lie Wādī-e-Sawī meṅ āyā. (Ise ājkal Bādshāh kī Wādī kahā jātā hai.)
Gene UrduGeoR 14:18  Sālim kā bādshāh Malik-e-sidq bhī wahāṅ pahuṅchā. Wuh apne sāth roṭī aur mai le āyā. Malik-e-sidq Allāh T'ālā kā imām thā.
Gene UrduGeoR 14:19  Us ne Abrām ko barkat de kar kahā, “Abrām par Allāh T'ālā kī barkat ho, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.
Gene UrduGeoR 14:20  Allāh T'ālā mubārak ho jis ne tere dushmanoṅ ko tere hāth meṅ kar diyā hai.” Abrām ne use tamām māl kā daswāṅ hissā diyā.
Gene UrduGeoR 14:21  Sadūm ke bādshāh ne Abrām se kahā, “Mujhe mere log wāpas kar deṅ aur bāqī chīzeṅ apne pās rakh leṅ.”
Gene UrduGeoR 14:22  Lekin Abrām ne us se kahā, “Maiṅ ne Rab se qasam khāī hai, Allāh T'ālā se jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai
Gene UrduGeoR 14:23  ki maiṅ us meṅ se kuchh nahīṅ lūṅgā jo āp kā hai, chāhe wuh dhāgā yā jūtī kā tasmā hī kyoṅ na ho. Aisā na ho ki āp kaheṅ, ‘Maiṅ ne Abrām ko daulatmand banā diyā hai.’
Gene UrduGeoR 14:24  Siwāe us khāne ke jo mere ādmiyoṅ ne rāste meṅ khāyā hai maiṅ kuchh qabūl nahīṅ karūṅga. Lekin mere ittahādī Āner, Iskāl aur Mamre zarūr apnā apnā hissā leṅ.”