Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 18
Gene UrduGeoR 18:1  Ek din Rab Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās Ibrāhīm par zāhir huā. Ibrāhīm apne ḳhaime ke darwāze par baiṭhā thā. Din kī garmī urūj par thī.
Gene UrduGeoR 18:2  Achānak us ne dekhā ki tīn mard mere sāmne khaṛe haiṅ. Unheṅ deḳhte hī wuh ḳhaime se un se milne ke lie dauṛā aur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā.
Gene UrduGeoR 18:3  Us ne kahā, “Mere āqā, agar mujh par āp ke karm kī nazar hai to āge na baṛheṅ balki kuchh der apne bande ke ghar ṭhahreṅ.
Gene UrduGeoR 18:4  Agar ijāzat ho to maiṅ kuchh pānī le āūṅ tāki āp apne pāṅw dho kar daraḳht ke sāy meṅ ārām kar sakeṅ.
Gene UrduGeoR 18:5  Sāth sāth maiṅ āp ke lie thoṛā-bahut khānā bhī le āūṅ tāki āp taqwiyat pā kar āge baṛh sakeṅ. Mujhe yih karne deṅ, kyoṅki āp apne ḳhādim ke ghar ā gae haiṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Ṭhīk hai. Jo kuchh tū ne kahā hai wuh kar.”
Gene UrduGeoR 18:6  Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.”
Gene UrduGeoR 18:7  Phir wuh bhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. Un meṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛā chun liyā jis kā gosht narm thā aur use apne naukar ko diyā jis ne jaldī se use taiyār kiyā.
Gene UrduGeoR 18:8  Jab khānā taiyār thā to Ibrāhīm ne use le kar lassī aur dūdh ke sāth apne mehmānoṅ ke āge rakh diyā. Wuh khāne lage aur Ibrāhīm un ke sāmne daraḳht ke sāy meṅ khaṛā rahā.
Gene UrduGeoR 18:9  Unhoṅ ne pūchhā, “Terī bīwī Sārā kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhaime meṅ.”
Gene UrduGeoR 18:10  Rab ne kahā, “Ain ek sāl ke bād maiṅ wāpas āūṅgā to terī bīwī Sārā ke beṭā hogā.” Sārā yih bāteṅ sun rahī thī, kyoṅki wuh us ke pīchhe ḳhaime ke darwāze ke pās thī.
Gene UrduGeoR 18:11  Donoṅ miyāṅ-bīwī būṛhe ho chuke the aur Sārā us umr se guzar chukī thī jis meṅ auratoṅ ke bachche paidā hote haiṅ.
Gene UrduGeoR 18:12  Is lie Sārā andar hī andar haṅs paṛī aur sochā, “Yih kaise ho saktā hai? Kyā jab maiṅ buṛhāpe ke bāis ghise-phaṭe libās kī mānind hūṅ to jawānī ke joban kā lutf uṭhāūṅ? Aur merā shauhar bhī būṛhā hai.”
Gene UrduGeoR 18:13  Rab ne Ibrāhīm se pūchhā, “Sārā kyoṅ haṅs rahī hai? Wuh kyoṅ kah rahī hai, ‘Kyā wāqaī mere hāṅ bachchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’
Gene UrduGeoR 18:14  Kyā Rab ke lie koī kām nāmumkin hai? Ek sāl ke bād muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.”
Gene UrduGeoR 18:15  Sārā ḍar gaī. Us ne jhūṭ bol kar inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ haṅs rahī thī.” Rab ne kahā, “Nahīṅ, tū zarūr haṅs rahī thī.”
Gene UrduGeoR 18:16  Phir mehmān uṭh kar rawānā hue aur nīche wādī meṅ Sadūm kī taraf deḳhne lage. Ibrāhīm unheṅ ruḳhsat karne ke lie sāth sāth chal rahā thā.
Gene UrduGeoR 18:17  Rab ne dil meṅ kahā, “Maiṅ Ibrāhīm se wuh kām kyoṅ chhupāe rakhūṅ jo maiṅ karne ke lie jā rahā hūṅ?
Gene UrduGeoR 18:18  Isī se to ek baṛī aur tāqatwar qaum niklegī aur isī se maiṅ duniyā kī tamām qaumoṅ ko barkat dūṅgā.
Gene UrduGeoR 18:19  Usī ko maiṅ ne chun liyā hai tāki wuh apnī aulād aur apne bād ke gharāne ko hukm de ki wuh Rab kī rāh par chal kar rāst aur munsifānā kām kareṅ. Kyoṅki agar wuh aisā kareṅ to Rab Ibrāhīm ke sāth apnā wādā pūrā karegā.”
Gene UrduGeoR 18:20  Phir Rab ne kahā, “Sadūm aur Amūrā kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho rahī haiṅ, kyoṅki un se bahut sangīn gunāh sarzad ho rahe haiṅ.
Gene UrduGeoR 18:21  Maiṅ utar kar un ke pās jā rahā hūṅ tāki dekhūṅ ki yih ilzām wāqaī sach haiṅ jo mujh tak pahuṅche haiṅ. Agar aisā nahīṅ hai to maiṅ yih jānanā chāhtā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 18:22  Dūsre do ādmī Sadūm kī taraf āge nikle jabki Rab kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahrā rahā aur Ibrāhīm us ke sāmne khaṛā rahā.
Gene UrduGeoR 18:23  Phir us ne qarīb ā kar us se bāt kī, “Kyā tū rāstbāzoṅ ko bhī sharīroṅ ke sāth tabāh kar degā?
Gene UrduGeoR 18:24  Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā?
Gene UrduGeoR 18:25  Yih kaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ ko sharīroṅ ke sāth halāk kar de? Yih to nāmumkin hai ki tū nek aur sharīr logoṅ se ek jaisā sulūk kare. Kyā lāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsif insāf kare?”
Gene UrduGeoR 18:26  Rab ne jawāb diyā, “Agar mujhe shahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:27  Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai agarche maiṅ ḳhāk aur rākh hī hūṅ.
Gene UrduGeoR 18:28  Lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. Kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahr ko tabāh karegā?” Us ne kahā, “Agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅga.”
Gene UrduGeoR 18:29  Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:30  Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:31  Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:32  Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.”
Gene UrduGeoR 18:33  In bātoṅ ke bād Rab chalā gayā aur Ibrāhīm apne ghar ko lauṭ āyā.