Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 31
Gene UrduGeoR 31:1  Ek din Yāqūb ko patā chalā ki Lāban ke beṭe mere bāre meṅ kah rahe haiṅ, “Yāqūb ne hamāre abbū se sab kuchh chhīn liyā hai. Us ne yih tamām daulat hamāre bāp kī milkiyat se hāsil kī hai.”
Gene UrduGeoR 31:2  Yāqūb ne yih bhī dekhā ki Lāban kā mere sāth rawaiyā pahle kī nisbat bigaṛ gayā hai.
Gene UrduGeoR 31:3  Phir Rab ne us se kahā, “Apne bāp ke mulk aur apne rishtedāroṅ ke pās wāpas chalā jā. Maiṅ tere sāth hūṅgā.”
Gene UrduGeoR 31:4  Us waqt Yāqūb khule maidān meṅ apne rewaṛoṅ ke pās thā. Us ne wahāṅ se Rāḳhil aur Liyāh ko bulā kar
Gene UrduGeoR 31:5  un se kahā, “Maiṅ ne dekh liyā hai ki āp ke bāp kā mere sāth rawaiyā pahle kī nisbat bigaṛ gayā hai. Lekin mere bāp kā Ḳhudā mere sāth rahā hai.
Gene UrduGeoR 31:6  Āp donoṅ jāntī haiṅ ki maiṅ ne āp ke abbū ke lie kitnī jāṅfishānī se kām kiyā hai.
Gene UrduGeoR 31:7  Lekin wuh mujhe fareb detā rahā aur merī ujrat das bār badlī. Tāham Allāh ne use mujhe nuqsān pahuṅchāne na diyā.
Gene UrduGeoR 31:8  Jab māmūṅ Lāban kahte the, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhabbe hoṅ wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhabbe hī the. Jab unhoṅ ne kahā, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhāriyāṅ hoṅgī wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhāriyāṅ hī thīṅ.
Gene UrduGeoR 31:9  Yoṅ Allāh ne āp ke abbū ke maweshī chhīn kar mujhe de die haiṅ.
Gene UrduGeoR 31:10  Ab aisā huā ki haiwānoṅ kī mastī ke mausam meṅ maiṅ ne ek ḳhāb dekhā. Us meṅ jo menḍhe aur bakre bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe the un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ thīṅ.
Gene UrduGeoR 31:11  Us ḳhāb meṅ Allāh ke farishte ne mujh se bāt kī, ‘Yāqūb!’ Maiṅ ne kahā, ‘Jī, maiṅ hāzir hūṅ.’
Gene UrduGeoR 31:12  Farishte ne kahā, ‘Apnī nazar uṭhā kar us par ġhaur kar jo ho rahā hai. Wuh tamām menḍhe aur bakre jo bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe haiṅ un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ haiṅ. Maiṅ yih ḳhud karwā rahā hūṅ, kyoṅki maiṅ ne wuh sab kuchh dekh liyā hai jo Lāban ne tere sāth kiyā hai.
Gene UrduGeoR 31:13  Maiṅ wuh Ḳhudā hūṅ jo Baitel meṅ tujh par zāhir huā thā, us jagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍel kar use mere lie maḳhsūs kiyā aur mere huzūr qasam khāī thī. Ab uṭh aur rawānā ho kar apne watan wāpas chalā jā.’”
Gene UrduGeoR 31:14  Rāḳhil aur Liyāh ne jawāb meṅ Yāqūb se kahā, “Ab hameṅ apne bāp kī mīrās se kuchh milne kī ummīd nahīṅ rahī.
Gene UrduGeoR 31:15  Us kā hamāre sāth ajnabī kā-sā sulūk hai. Pahle us ne hameṅ bech diyā, aur ab us ne wuh sāre paise khā bhī lie haiṅ.
Gene UrduGeoR 31:16  Chunāṅche jo bhī daulat Allāh ne hamāre bāp se chhīn lī hai wuh hamārī aur hamāre bachchoṅ kī hī hai. Ab jo kuchh bhī Allāh ne āp ko batāyā hai wuh kareṅ.”
Gene UrduGeoR 31:17  Tab Yāqūb ne uṭh kar apne bāl-bachchoṅ ko ūṅṭoṅ par biṭhāyā
Gene UrduGeoR 31:18  aur apne tamām maweshī aur Masoputāmiyā se hāsil kiyā huā tamām sāmān le kar Mulk-e-Kanān meṅ apne bāp ke hāṅ jāne ke lie rawānā huā.
Gene UrduGeoR 31:19  Us waqt Lāban apnī bheṛ-bakriyoṅ kī pashm katarne ko gayā huā thā. Us kī ġhairmaujūdagī meṅ Rāḳhil ne apne bāp ke but churā lie.
Gene UrduGeoR 31:20  Yāqūb ne Lāban ko fareb de kar use ittalā na dī ki maiṅ jā rahā hūṅ
Gene UrduGeoR 31:21  balki apnī sārī milkiyat sameṭ kar farār huā. Dariyā-e-Furāt ko pār karke wuh Jiliyād ke pahāṛī ilāqe kī taraf safr karne lagā.
Gene UrduGeoR 31:22  Tīn din guzar gae. Phir Lāban ko batāyā gayā ki Yāqūb bhāg gayā hai.
Gene UrduGeoR 31:23  Apne rishtedāroṅ ko sāth le kar us ne us kā tāqqub kiyā. Sāt din chalte chalte us ne Yāqūb ko ā liyā jab wuh Jiliyād ke pahāṛī ilāqe meṅ pahuṅch gayā thā.
Gene UrduGeoR 31:24  Lekin us rāt Allāh ne ḳhāb meṅ Lāban ke pās ā kar us se kahā, “Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.”
Gene UrduGeoR 31:25  Jab Lāban us ke pās pahuṅchā to Yāqūb ne Jiliyād ke pahāṛī ilāqe meṅ apne ḳhaime lagāe hue the. Lāban ne bhī apne rishtedāroṅ ke sāth wahīṅ apne ḳhaime lagāe.
Gene UrduGeoR 31:26  Us ne Yāqūb se kahā, “Yih āp ne kyā kiyā hai? Āp mujhe dhokā de kar merī beṭiyoṅ ko kyoṅ jangī qaidiyoṅ kī tarah hāṅk lāe haiṅ?
Gene UrduGeoR 31:27  Āp kyoṅ mujhe fareb de kar ḳhāmoshī se bhāg āe haiṅ? Agar āp mujhe ittalā dete to maiṅ āp ko ḳhushī ḳhushī daf aur sarod ke sāth gāte bajāte ruḳhsat kartā.
Gene UrduGeoR 31:28  Āp ne mujhe apne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅ ko bosā dene kā mauqā bhī na diyā. Āp kī yih harkat baṛī ahmaqānā thī.
Gene UrduGeoR 31:29  Maiṅ āp ko bahut nuqsān pahuṅchā saktā hūṅ. Lekin pichhlī rāt āp ke abbū ke Ḳhudā ne mujh se kahā, ‘Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.’
Gene UrduGeoR 31:30  Ṭhīk hai, āp is lie chale gae ki apne bāp ke ghar wāpas jāne ke baṛe ārzūmand the. Lekin yih āp ne kyā kiyā hai ki mere but churā lāe haiṅ?”
Gene UrduGeoR 31:31  Yāqūb ne jawāb diyā, “Mujhe ḍar thā ki āp apnī beṭiyoṅ ko mujh se chhīn leṅge.
Gene UrduGeoR 31:32  Lekin agar āp ko yahāṅ kisī ke pās apne but mil jāeṅ to use sazā-e-maut dī jāe hamāre rishtedāroṅ kī maujūdagī meṅ mālūm kareṅ ki mere pās āp kī koī chīz hai ki nahīṅ. Agar hai to use le leṅ.” Yāqūb ko mālūm nahīṅ thā ki Rāḳhil ne butoṅ ko churāyā hai.
Gene UrduGeoR 31:33  Lāban Yāqūb ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā aur ḍhūṅḍne lagā. Wahāṅ se nikal kar wuh Liyāh ke ḳhaime meṅ aur donoṅ launḍiyoṅ ke ḳhaime meṅ gayā. Lekin us ke but kahīṅ nazar na āe. Āḳhir meṅ wuh Rāḳhil ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā.
Gene UrduGeoR 31:34  Rāḳhil butoṅ ko ūṅṭoṅ kī ek kāṭhī ke nīche chhupā kar us par baiṭh gaī thī. Lāban ṭaṭol ṭaṭol kar pūre ḳhaime meṅ se guzarā lekin but na mile.
Gene UrduGeoR 31:35  Rāḳhil ne apne bāp se kahā, “Abbū, mujh se nārāz na honā ki maiṅ āp ke sāmne khaṛī nahīṅ ho saktī. Maiṅ aiyām-e-māhwārī ke sabab se uṭh nahīṅ saktī.” Lāban use chhoṛ kar ḍhūṅḍtā rahā, lekin kuchh na milā.
Gene UrduGeoR 31:36  Phir Yāqūb ko ġhussā āyā aur wuh Lāban se jhagaṛne lagā. Us ne pūchhā, “Mujh se kyā jurm sarzad huā hai? Maiṅ ne kyā gunāh kiyā hai ki āp itnī tundī se mere tāqqub ke lie nikle haiṅ?
Gene UrduGeoR 31:37  Āp ne ṭaṭol ṭaṭol kar mere sāre sāmān kī talāshī lī hai. To āp kā kyā niklā hai? Use yahāṅ apne aur mere rishtedāroṅ ke sāmne rakheṅ. Phir wuh faislā kareṅ ki ham meṅ se kaun haq par hai.
Gene UrduGeoR 31:38  Maiṅ bīs sāl tak āp ke sāth rahā hūṅ. Us daurān āp kī bheṛ-bakriyāṅ bachchoṅ se mahrūm nahīṅ rahīṅ balki maiṅ ne āp kā ek menḍhā bhī nahīṅ khāyā.
Gene UrduGeoR 31:39  Jab bhī koī bheṛ yā bakrī kisī janglī jānwar ne phāṛ ḍālī to maiṅ use āp ke pās na lāyā balki mujhe ḳhud us kā nuqsān bharnā paṛā. Āp kā taqāzā thā ki maiṅ ḳhud chorī hue māl kā ewazānā dūṅ, ḳhāh wuh din ke waqt chorī huā yā rāt ko.
Gene UrduGeoR 31:40  Maiṅ din kī shadīd garmī ke bāis pighal gayā aur rāt kī shadīd sardī ke bāis jam gayā. Kām itnā saḳht thā ki maiṅ nīnd se mahrūm rahā.
Gene UrduGeoR 31:41  Pūre bīs sāl isī hālat meṅ guzar gae. Chaudah sāl maiṅ ne āp kī beṭiyoṅ ke ewaz kām kiyā aur chhih sāl āp kī bheṛ-bakriyoṅ ke lie. Us daurān āp ne das bār merī tanḳhāh badal dī.
Gene UrduGeoR 31:42  Agar mere bāp Is'hāq kā Ḳhudā aur mere dādā Ibrāhīm kā mābūd mere sāth na hotā to āp mujhe zarūr ḳhālī hāth ruḳhsat karte. Lekin Allāh ne merī musībat aur merī saḳht mehnat-mashaqqat dekhī hai, is lie us ne kal rāt ko mere haq meṅ faislā diyā.”
Gene UrduGeoR 31:43  Tab Lāban ne Yāqūb se kahā, “Yih beṭiyāṅ to merī beṭiyāṅ haiṅ, aur in ke bachche mere bachche haiṅ. Yih bheṛ-bakriyāṅ bhī merī hī haiṅ. Lekin ab maiṅ apnī beṭiyoṅ aur un ke bachchoṅ ke lie kuchh nahīṅ kar saktā.
Gene UrduGeoR 31:44  Is lie āo, ham ek dūsre ke sāth ahd bāndheṅ. Is ke lie ham yahāṅ pattharoṅ kā ḍher lagāeṅ jo ahd kī gawāhī detā rahe.”
Gene UrduGeoR 31:45  Chunāṅche Yāqūb ne ek patthar le kar use satūn ke taur par khaṛā kiyā.
Gene UrduGeoR 31:46  Us ne apne rishtedāroṅ se kahā, “Kuchh patthar jamā kareṅ.” Unhoṅ ne patthar jamā karke ḍher lagā diyā. Phir unhoṅ ne us ḍher ke pās baiṭh kar khānā khāyā.
Gene UrduGeoR 31:47  Lāban ne us kā nām Yajr-shāhdūthā rakhā jabki Yāqūb ne Jal-ed rakhā. Donoṅ nāmoṅ kā matlab ‘Gawāhī kā Ḍher’ hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detā hai.
Gene UrduGeoR 31:48  Lāban ne kahā, “Āj ham donoṅ ke darmiyān yih ḍher ahd kī gawāhī detā hai.” Is lie us kā nām Jal-ed rakhā gayā.
Gene UrduGeoR 31:49  Us kā ek aur nām Misfāh yānī ‘Pahredāroṅ kā Mīnār’ bhī rakhā gayā. Kyoṅki Lāban ne kahā, “Rab ham par pahrā de jab ham ek dūsre se alag ho jāeṅge.
Gene UrduGeoR 31:50  Merī beṭiyoṅ se burā sulūk na karnā, na un ke alāwā kisī aur se shādī karnā. Agar mujhe patā bhī na chale lekin zarūr yād rakheṅ ki Allāh mere aur āp ke sāmne gawāh hai.
Gene UrduGeoR 31:51  Yahāṅ yih ḍher hai jo maiṅ ne lagā diyā hai aur yahāṅ yih satūn bhī hai.
Gene UrduGeoR 31:52  Yih ḍher aur satūn donoṅ is ke gawāh haiṅ ki na maiṅ yahāṅ se guzar kar āp ko nuqsān pahuṅchāūṅgā aur na āp yahāṅ se guzar kar mujhe nuqsān pahuṅchāeṅge.
Gene UrduGeoR 31:53  Ibrāhīm, Nahūr aur un ke bāp kā Ḳhudā ham donoṅ ke darmiyān faislā kare agar aisā koī muāmalā ho.” Jawāb meṅ Yāqūb ne Is'hāq ke mābūd kī qasam khāī ki maiṅ yih ahd kabhī nahīṅ toṛūṅgā.
Gene UrduGeoR 31:54  Us ne pahāṛ par ek jānwar qurbānī ke taur par chaṛhāyā aur apne rishtedāroṅ ko khānā khāne kī dāwat dī. Unhoṅ ne khānā khā kar wahīṅ pahāṛ par rāt guzārī.
Gene UrduGeoR 31:55  Agle din subah-sawere Lāban ne apne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅ ko bosā de kar unheṅ barkat dī. Phir wuh apne ghar wāpas chalā gayā.