Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 39
Gene UrduGeoR 39:1  Ismāīliyoṅ ne Yūsuf ko Misr le jā kar bech diyā thā. Misr ke bādshāh ke ek ālā afsar banām Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Wuh shāhī muhāfizoṅ kā kaptān thā.
Gene UrduGeoR 39:2  Rab Yūsuf ke sāth thā. Jo bhī kām wuh kartā us meṅ kāmyāb rahtā. Wuh apne Misrī mālik ke ghar meṅ rahtā thā
Gene UrduGeoR 39:3  jis ne dekhā ki Rab Yūsuf ke sāth hai aur use har kām meṅ kāmyābī detā hai.
Gene UrduGeoR 39:4  Chunāṅche Yūsuf ko mālik kī ḳhās mehrbānī hāsil huī, aur Fūtīfār ne use apnā zātī naukar banā liyā. Us ne use apne gharāne ke intazām par muqarrar kiyā aur apnī pūrī milkiyat us ke sapurd kar dī.
Gene UrduGeoR 39:5  Jis waqt se Fūtīfār ne apne gharāne kā intazām aur pūrī milkiyat Yūsuf ke sapurd kī us waqt se Rab ne Fūtīfār ko Yūsuf ke sabab se barkat dī. Us kī barkat Fūtīfār kī har chīz par thī, ḳhāh ghar meṅ thī yā khet meṅ.
Gene UrduGeoR 39:6  Fūtīfār ne apnī har chīz Yūsuf ke hāth meṅ chhoṛ dī. Aur chūṅki Yūsuf sab kuchh achchhī tarah chalātā thā is lie Fūtīfār ko khānā khāne ke siwā kisī bhī muāmale kī fikr nahīṅ thī. Yūsuf nihāyat ḳhūbsūrat ādmī thā.
Gene UrduGeoR 39:7  Kuchh der ke bād us ke mālik kī bīwī kī āṅkh us par lagī. Us ne us se kahā, “Mere sāth hambistar ho!”
Gene UrduGeoR 39:8  Yūsuf inkār karke kahne lagā, “Mere mālik ko mere sabab se kisī muāmale kī fikr nahīṅ hai. Unhoṅ ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai.
Gene UrduGeoR 39:9  Ghar ke intazām par un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār se zyādā nahīṅ hai. Āp ke siwā unhoṅ ne koī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī. To phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kām karūṅ? Maiṅ kis tarah Allāh kā gunāh karūṅ?”
Gene UrduGeoR 39:10  Mālik kī bīwī roz baroz Yūsuf ke pīchhe paṛī rahī ki mere sāth hambistar ho. Lekin wuh hameshā inkār kartā rahā.
Gene UrduGeoR 39:11  Ek din wuh kām karne ke lie ghar meṅ gayā. Ghar meṅ aur koī naukar nahīṅ thā.
Gene UrduGeoR 39:12  Fūtīfār kī bīwī ne Yūsuf kā libās pakaṛ kar kahā, “Mere sāth hambistar ho!” Yūsuf bhāg kar bāhar chalā gayā lekin us kā libās pīchhe aurat ke hāth meṅ hī rah gayā.
Gene UrduGeoR 39:13  Jab mālik kī bīwī ne dekhā ki wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā hai
Gene UrduGeoR 39:14  to us ne ghar ke naukaroṅ ko bulā kar kahā, “Yih dekho! Mere mālik is Ibrānī ko hamāre pās le āe haiṅ tāki wuh hameṅ zalīl kare. Wuh merī ismatdarī karne ke lie mere kamre meṅ ā gayā, lekin maiṅ ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī.
Gene UrduGeoR 39:15  Jab maiṅ madad ke lie ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
Gene UrduGeoR 39:16  Us ne mālik ke āne tak Yūsuf kā libās apne pās rakhā.
Gene UrduGeoR 39:17  Jab wuh ghar wāpas āyā to us ne use yihī kahānī sunāī, “Yih Ibrānī ġhulām jo āp le āe haiṅ merī tazlīl ke lie mere pās āyā.
Gene UrduGeoR 39:18  Lekin jab maiṅ madad ke lie chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
Gene UrduGeoR 39:19  Yih sun kar Fūtīfār baṛe ġhusse meṅ ā gayā.
Gene UrduGeoR 39:20  Us ne Yūsuf ko giriftār karke us jel meṅ ḍāl diyā jahāṅ bādshāh ke qaidī rakhe jāte the. Wahīṅ wuh rahā.
Gene UrduGeoR 39:21  Lekin Rab Yūsuf ke sāth thā. Us ne us par mehrbānī kī aur use qaidḳhāne ke dāroġhe kī nazar meṅ maqbūl kiyā.
Gene UrduGeoR 39:22  Yūsuf yahāṅ tak maqbūl huā ki dāroġhe ne tamām qaidiyoṅ ko us ke sapurd karke use pūrā intazām chalāne kī zimmedārī dī.
Gene UrduGeoR 39:23  Dāroġhe ko kisī bhī muāmale kī jise us ne Yūsuf ke sapurd kiyā thā fikr na rahī, kyoṅki Rab Yūsuf ke sāth thā aur use har kām meṅ kāmyābī baḳhshī.