GENESIS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
Chapter 5
Gene | UrduGeoR | 5:1 | Zail meṅ Ādam kā nasabnāmā darj hai. Jab Allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā to us ne use apnī sūrat par banāyā. | |
Gene | UrduGeoR | 5:2 | Us ne unheṅ mard aur aurat paidā kiyā. Aur jis din us ne unheṅ ḳhalaq kiyā us ne unheṅ barkat de kar un kā nām Ādam yānī Insān rakhā. | |
Gene | UrduGeoR | 5:3 | Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. | |
Gene | UrduGeoR | 5:4 | Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. | |
Gene | UrduGeoR | 5:22 | Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. | |
Gene | UrduGeoR | 5:24 | Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā. | |
Gene | UrduGeoR | 5:29 | Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.” | |