GENESIS
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
Chapter 10
Gene | UrduGeoR | 10:1 | Yih Nūh ke beṭoṅ Sim, Hām aur Yāfat kā nasabnāmā hai. Un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue. | |
Gene | UrduGeoR | 10:5 | Wuh un qaumoṅ ke ābā-o-ajdād haiṅ jo sāhilī ilāqoṅ aur jazīroṅ meṅ phail gaīṅ. Yih Yāfat kī aulād haiṅ jo apne apne qabīle aur mulk meṅ rahte hue apnī apnī zabān bolte haiṅ. | |
Gene | UrduGeoR | 10:7 | Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the. | |
Gene | UrduGeoR | 10:9 | Rab ke nazdīk wuh zabardast shikārī thā. Is lie āj bhī kisī achchhe shikārī ke bāre meṅ kahā jātā hai, “Wuh Namrūd kī mānind hai jo Rab ke nazdīk zabardast shikārī thā.” | |
Gene | UrduGeoR | 10:10 | Us kī saltanat ke pahle markaz Mulk-e-Sinār meṅ Bābal, Arak, Akkād aur Kalnā ke shahr the. | |
Gene | UrduGeoR | 10:12 | aur Rasan ke shahr tāmīr kie. Baṛā shahr Rasan Nīnwā aur Kalah ke darmiyān wāqe hai. | |
Gene | UrduGeoR | 10:19 | ki un kī hudūd shimāl meṅ Saidā se junūb kī taraf Jirār se ho kar Ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriq kī taraf Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm se ho kar lasā tak thīṅ. | |
Gene | UrduGeoR | 10:20 | Yih sab Hām kī aulād haiṅ, jo un ke apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ. | |
Gene | UrduGeoR | 10:21 | Sim Yāfat kā baṛā bhāī thā. Us ke bhī beṭe paidā hue. Sim tamām banī Ibar kā bāp hai. | |
Gene | UrduGeoR | 10:25 | Ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā. | |
Gene | UrduGeoR | 10:31 | Yih sab Sim kī aulād haiṅ, jo apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ. | |