Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 46
Gene UrduGeoR 46:1  Yāqūb sab kuchh le kar rawānā huā aur Bair-sabā pahuṅchā. Wahāṅ us ne apne bāp Is'hāq ke Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ.
Gene UrduGeoR 46:2  Rāt ko Allāh royā meṅ us se hamkalām huā. Us ne kahā, “Yāqūb, Yāqūb!” Yāqūb ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Gene UrduGeoR 46:3  Allāh ne kahā, “Maiṅ Allāh hūṅ, tere bāp Is'hāq kā Ḳhudā. Misr jāne se mat ḍar, kyoṅki wahāṅ maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā.
Gene UrduGeoR 46:4  Maiṅ tere sāth Misr jāūṅgā aur tujhe is mulk meṅ wāpas bhī le āūṅgā. Jab tū maregā to Yūsuf ḳhud terī āṅkheṅ band karegā.”
Gene UrduGeoR 46:5  Is ke bād Yāqūb Bair-sabā se rawānā huā. Us ke beṭoṅ ne use aur apne bāl-bachchoṅ ko un gāṛiyoṅ meṅ biṭhā diyā jo Misr ke bādshāh ne bhijwāī thīṅ.
Gene UrduGeoR 46:6  Yoṅ Yāqūb aur us kī tamām aulād apne maweshī aur Kanān meṅ hāsil kiyā huā māl le kar Misr chale gae.
Gene UrduGeoR 46:7  Yāqūb ke beṭe-beṭiyāṅ, pote-potiyāṅ aur bāqī aulād sab sāth gae.
Gene UrduGeoR 46:8  Isrāīl kī aulād ke nām jo Misr chalī gaī yih haiṅ: Yāqūb ke pahlauṭhe Rūbin
Gene UrduGeoR 46:10  Shamāūn ke beṭe āshruel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.)
Gene UrduGeoR 46:11  Lāwī ke beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the.
Gene UrduGeoR 46:12  Yahūdāh ke beṭe Er, Onān, Selā, Fāras aur Zārah the. (Er aur Onān Kanān meṅ mar chuke the.) Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the.
Gene UrduGeoR 46:13  Ishkār ke beṭe Tolā, Fuwwā, Yob aur Simron the.
Gene UrduGeoR 46:14  Zabūlūn ke beṭe sard, Ailon aur Yahliyel the.
Gene UrduGeoR 46:15  In beṭoṅ kī māṅ Liyāh thī, aur wuh Masoputāmiyā meṅ paidā hue. In ke alāwā Dīnā us kī beṭī thī. Kul 33 mard Liyāh kī aulād the.
Gene UrduGeoR 46:16  Jad ke beṭe Sifyān, Hajjī, Sūnī, Isbūn, Erī, Arūdī aur Arelī the.
Gene UrduGeoR 46:17  Āshar ke beṭe Yimnā, Iswāh, Iswī aur Bariyā the. Āshar kī beṭī Sirah thī, aur Bariyā ke do beṭe the, Hibar aur Malkiyel.
Gene UrduGeoR 46:18  Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā.
Gene UrduGeoR 46:20  Yūsuf ke do beṭe Manassī aur Ifrāīm Misr meṅ paidā hue. Un kī māṅ On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat thī.
Gene UrduGeoR 46:21  Binyamīn ke beṭe Bālā, Bakar, Ashbel, Jīrā, Nāmān, Iḳhī, Ros, Muffīm, Huffīm aur Ard the.
Gene UrduGeoR 46:24  Naftālī ke beṭe Yahsiyel, Jūnī, Yisar aur Sillīm the.
Gene UrduGeoR 46:25  Kul 7 mard Bilhāh kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil ko diyā thā.
Gene UrduGeoR 46:26  Yāqūb kī aulād ke 66 afrād us ke sāth Misr chale gae. Is tādād meṅ beṭoṅ kī bīwiyāṅ shāmil nahīṅ thīṅ.
Gene UrduGeoR 46:27  Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae.
Gene UrduGeoR 46:28  Yāqūb ne Yahūdāh ko apne āge Yūsuf ke pās bhejā tāki wuh Jushan meṅ un se mile. Jab wuh wahāṅ pahuṅche
Gene UrduGeoR 46:29  to Yūsuf apne rath par sawār ho kar apne bāp se milne ke lie Jushan gayā. Use dekh kar wuh us ke gale lag kar kāfī der rotā rahā.
Gene UrduGeoR 46:30  Yāqūb ne Yūsuf se kahā, “Ab maiṅ marne ke lie taiyār hūṅ, kyoṅki maiṅ ne ḳhud dekhā hai ki tū zindā hai.”
Gene UrduGeoR 46:31  Phir Yūsuf ne apne bhāiyoṅ aur apne bāp ke ḳhāndān ke bāqī afrād se kahā, “Zarūrī hai ki maiṅ jā kar bādshāh ko ittalā dūṅ ki mere bhāī aur mere bāp kā pūrā ḳhāndān jo Kanān ke rahne wāle haiṅ mere pās ā gae haiṅ.
Gene UrduGeoR 46:32  Maiṅ us se kahūṅgā, ‘Yih ādmī bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Wuh maweshī pālte haiṅ, is lie apnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur bāqī sārā māl apne sāth le āe haiṅ.’
Gene UrduGeoR 46:33  Bādshāh tumheṅ bulā kar pūchhegā ki tum kyā kām karte ho?
Gene UrduGeoR 46:34  Phir tum ko jawāb denā hai, ‘Āp ke ḳhādim bachpan se maweshī pālte āe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.’ Agar tum yih kaho to tumheṅ Jushan meṅ rahne kī ijāzat milegī. Kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe Misriyoṅ kī nazar meṅ qābil-e-nafrat haiṅ.”