Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 40
Gene UrduGeoR 40:1  Kuchh der ke bād yoṅ huā ki Misr ke bādshāh ke sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ne apne mālik kā gunāh kiyā.
Gene UrduGeoR 40:2  Firaun ko donoṅ afsaroṅ par ġhussā ā gayā.
Gene UrduGeoR 40:3  Us ne unheṅ us qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā jo shāhī muhāfizoṅ ke kaptān ke sapurd thā aur jis meṅ Yūsuf thā.
Gene UrduGeoR 40:4  Muhāfizoṅ ke kaptān ne unheṅ Yūsuf ke hawāle kiyā tāki wuh un kī ḳhidmat kare. Wahāṅ wuh kāfī der tak rahe.
Gene UrduGeoR 40:5  Ek rāt bādshāh ke sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ne ḳhāb dekhā. Donoṅ kā ḳhāb farq farq thā, aur un kā matlab bhī farq farq thā.
Gene UrduGeoR 40:6  Jab Yūsuf subah ke waqt un ke pās āyā to wuh dabe hue nazar āe.
Gene UrduGeoR 40:7  Us ne un se pūchhā, “Āj āp kyoṅ itne pareshān haiṅ?”
Gene UrduGeoR 40:8  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham donoṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur koī nahīṅ jo hameṅ un kā matlab batāe.” Yūsuf ne kahā, “Ḳhāboṅ kī tābīr to Allāh kā kām hai. Zarā mujhe apne ḳhāb to sunāeṅ.”
Gene UrduGeoR 40:9  Sardār sāqī ne shurū kiyā, “Maiṅ ne ḳhāb meṅ apne sāmne angūr kī bel dekhī.
Gene UrduGeoR 40:10  Us kī tīn shāḳheṅ thīṅ. Us ke patte lage, koṅpleṅ phūṭ niklīṅ aur angūr pak gae.
Gene UrduGeoR 40:11  Mere hāth meṅ bādshāh kā pyālā thā, aur maiṅ ne angūroṅ ko toṛ kar yoṅ bhīṅch diyā ki un kā ras bādshāh ke pyāle meṅ ā gayā. Phir maiṅ ne pyālā bādshāh ko pesh kiyā.”
Gene UrduGeoR 40:12  Yūsuf ne kahā, “Tīn shāḳhoṅ se murād tīn din haiṅ.
Gene UrduGeoR 40:13  Tīn din ke bād Firaun āp ko bahāl kar legā. Āp ko pahlī zimmedārī wāpas mil jāegī. Āp pahle kī tarah sardār sāqī kī haisiyat se bādshāh kā pyālā saṅbhāleṅge.
Gene UrduGeoR 40:14  Lekin jab āp bahāl ho jāeṅ to merā ḳhayāl kareṅ. Mehrbānī karke bādshāh ke sāmne merā zikr kareṅ tāki maiṅ yahāṅ se rihā ho jāūṅ.
Gene UrduGeoR 40:15  Kyoṅki mujhe Ibrāniyoṅ ke mulk se aġhwā karke yahāṅ lāyā gayā hai, aur yahāṅ bhī mujh se koī aisī ġhaltī nahīṅ huī ki mujhe is gaṛhe meṅ phaiṅkā jātā.”
Gene UrduGeoR 40:16  Jab shāhī bekarī ke inchārj ne dekhā ki sardār sāqī ke ḳhāb kā achchhā matlab niklā to us ne Yūsuf se kahā, “Merā ḳhāb bhī suneṅ. Maiṅ ne sar par tīn ṭokriyāṅ uṭhā rakhī thīṅ jo bekarī kī chīzoṅ se bharī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 40:17  Sab se ūpar wālī ṭokrī meṅ wuh tamām chīzeṅ thīṅ jo bādshāh kī mez ke lie banāī jātī haiṅ. Lekin parinde ā kar unheṅ khā rahe the.”
Gene UrduGeoR 40:18  Yūsuf ne kahā, “Tīn ṭokriyoṅ se murād tīn din haiṅ.
Gene UrduGeoR 40:19  Tīn din ke bād hī Firaun āp ko qaidḳhāne se nikāl kar daraḳht se laṭkā degā. Parinde āp kī lāsh ko khā jāeṅge.”
Gene UrduGeoR 40:20  Tīn din ke bād bādshāh kī sālgirah thī. Us ne apne tamām afsaroṅ kī ziyāfat kī. Is mauqe par us ne sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ko jel se nikāl kar apne huzūr lāne kā hukm diyā.
Gene UrduGeoR 40:21  Sardār sāqī ko pahle wālī zimmedārī sauṅp dī gaī,
Gene UrduGeoR 40:22  lekin bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyā gayā. Sab kuchh waisā hī huā jaisā Yūsuf ne kahā thā.
Gene UrduGeoR 40:23  Lekin sardār sāqī ne Yūsuf kā ḳhayāl na kiyā balki use bhūl hī gayā.