Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 45
Gene UrduGeoR 45:1  Yih sun kar Yūsuf apne āp par qābū na rakh sakā. Us ne ūṅchī āwāz se hukm diyā ki tamām mulāzim kamre se nikal jāeṅ. Koī aur shaḳhs kamre meṅ nahīṅ thā jab Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko batāyā ki wuh kaun hai.
Gene UrduGeoR 45:2  Wuh itne zor se ro paṛā ki Misriyoṅ ne us kī āwāz sunī aur Firaun ke gharāne ko patā chal gayā.
Gene UrduGeoR 45:3  Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ Yūsuf hūṅ. Kyā merā bāp ab tak zindā hai?” Lekin us ke bhāī yih sun kar itne ghabrā gae ki wuh jawāb na de sake.
Gene UrduGeoR 45:4  Phir Yūsuf ne kahā, “Mere qarīb āo.” Wuh qarīb āe to us ne kahā, “Maiṅ tumhārā bhāī Yūsuf hūṅ jise tum ne bech kar Misr bhijwāyā.
Gene UrduGeoR 45:5  Ab merī bāt suno. Na ghabrāo aur na apne āp ko ilzām do ki ham ne Yūsuf ko bech diyā. Asal meṅ Allāh ne ḳhud mujhe tumhāre āge yahāṅ bhej diyā tāki ham sab bache raheṅ.
Gene UrduGeoR 45:6  Yih kāl kā dūsrā sāl hai. Pāṅch aur sāl ke daurān na hal chalegā, na fasal kaṭegī.
Gene UrduGeoR 45:7  Allāh ne mujhe tumhāre āge bhejā tāki duniyā meṅ tumhārā ek bachā-khuchā hissā mahfūz rahe aur tumhārī jān ek baṛī maḳhlasī kī mārifat chhūṭ jāe
Gene UrduGeoR 45:8  chunāṅche tum ne mujhe yahāṅ nahīṅ bhejā balki Allāh ne. Us ne mujhe Firaun kā bāp, us ke pūre gharāne kā mālik aur Misr kā hākim banā diyā hai.
Gene UrduGeoR 45:9  Ab jaldī se mere bāp ke pās wāpas jā kar un se kaho, ‘Āp kā beṭā Yūsuf āp ko ittalā detā hai ki Allāh ne mujhe Misr kā mālik banā diyā hai. Mere pās ā jāeṅ, der na kareṅ.
Gene UrduGeoR 45:10  Āp Jushan ke ilāqe meṅ rah sakte haiṅ. Wahāṅ āp mere qarīb hoṅge, āp, āp kī āl-o-aulād, gāy-bail, bheṛ-bakriyāṅ aur jo kuchh bhī āp kā hai.
Gene UrduGeoR 45:11  Wahāṅ maiṅ āp kī zarūriyāt pūrī karūṅga, kyoṅki kāl ko abhī pāṅch sāl aur lageṅge. Warnā āp, āp ke ghar wāle aur jo bhī āp ke haiṅ bad-hāl ho jāeṅge.’
Gene UrduGeoR 45:12  Tum ḳhud aur merā bhāī Binyamīn dekh sakte ho ki maiṅ Yūsuf hī hūṅ jo tumhāre sāth bāt kar rahā hūṅ.
Gene UrduGeoR 45:13  Mere bāp ko Misr meṅ mere asar-o-rasūḳh ke bāre meṅ ittalā do. Unheṅ sab kuchh batāo jo tum ne dekhā hai. Phir jald hī mere bāp ko yahāṅ le āo.”
Gene UrduGeoR 45:14  Yih kah kar wuh apne bhāī Binyamīn ko gale lagā kar ro paṛā. Binyamīn bhī us ke gale lag kar rone lagā.
Gene UrduGeoR 45:15  Phir Yūsuf ne rote hue apne har ek bhāī ko bosā diyā. Is ke bād us ke bhāī us ke sāth bāteṅ karne lage.
Gene UrduGeoR 45:16  Jab yih ḳhabar bādshāh ke mahal tak pahuṅchī ki Yūsuf ke bhāī āe haiṅ to Firaun aur us ke tamām afsarān ḳhush hue.
Gene UrduGeoR 45:17  Us ne Yūsuf se kahā, “Apne bhāiyoṅ ko batā ki apne jānwaroṅ par ġhallā lād kar Mulk-e-Kanān wāpas chale jāo.
Gene UrduGeoR 45:18  Wahāṅ apne bāp aur ḳhāndānoṅ ko le kar mere pās ā jāo. Maiṅ tum ko Misr kī sab se achchhī zamīn de dūṅgā, aur tum is mulk kī behtarīn paidāwār khā sakoge.
Gene UrduGeoR 45:19  Unheṅ yih hidāyat bhī de ki apne bāl-bachchoṅ ke lie Misr se gāṛiyāṅ le jāo aur apne bāp ko bhī biṭhā kar yahāṅ le āo.
Gene UrduGeoR 45:20  Apne māl kī zyādā fikr na karo, kyoṅki tumheṅ Mulk-e-Misr kā behtarīn māl milegā.”
Gene UrduGeoR 45:21  Yūsuf ke bhāiyoṅ ne aisā hī kiyā. Yūsuf ne unheṅ bādshāh ke hukm ke mutābiq gāṛiyāṅ aur safr ke lie ḳhurāk dī.
Gene UrduGeoR 45:22  Us ne har ek bhāī ko kapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. Lekin Binyamīn ko us ne chāṅdī ke 300 sikke aur pāṅch joṛe die.
Gene UrduGeoR 45:23  Us ne apne bāp ko das gadhe bhijwā die jo Misr ke behtarīn māl se lade hue the aur das gadhiyāṅ jo anāj, roṭī aur bāp ke safr ke lie khāne se ladī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 45:24  Yoṅ us ne apne bhāiyoṅ ko ruḳhsat karke kahā, “Rāste meṅ jhagaṛā na karnā.”
Gene UrduGeoR 45:25  Wuh Misr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān meṅ apne bāp ke pās pahuṅche.
Gene UrduGeoR 45:26  Unhoṅ ne us se kahā, “Yūsuf zindā hai! Wuh pūre Misr kā hākim hai.” Lekin Yāqūb hakkā-bakkā rah gayā, kyoṅki use yaqīn na āyā.
Gene UrduGeoR 45:27  Tāham unhoṅ ne use sab kuchh batāyā jo Yūsuf ne un se kahā thā, aur us ne ḳhud wuh gāṛiyāṅ dekhīṅ jo Yūsuf ne use Misr le jāne ke lie bhijwā dī thīṅ. Phir Yāqūb kī jān meṅ jān ā gaī,
Gene UrduGeoR 45:28  aur us ne kahā, “Merā beṭā Yūsuf zindā hai! Yihī kāfī hai. Marne se pahle maiṅ jā kar us se milūṅgā.”