Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 41
Gene UrduGeoR 41:1  Do sāl guzar gae ki ek rāt bādshāh ne ḳhāb dekhā. Wuh Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā.
Gene UrduGeoR 41:2  Achānak dariyā meṅ se sāt ḳhūbsūrat aur moṭī gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charne lagīṅ.
Gene UrduGeoR 41:3  Un ke bād sāt aur gāeṅ nikal āīṅ. Lekin wuh badsūrat aur dublī-patlī thīṅ. Wuh dariyā ke kināre dūsrī gāyoṅ ke pās khaṛī ho kar
Gene UrduGeoR 41:4  pahlī sāt ḳhūbsūrat aur moṭī moṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ. Is ke bād Misr kā bādshāh jāg uṭhā.
Gene UrduGeoR 41:5  Phir wuh dubārā so gayā. Is dafā us ne ek aur ḳhāb dekhā. Anāj ke ek paude par sāt moṭī moṭī aur achchhī achchhī bāleṅ lagī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:6  Phir sāt aur bāleṅ phūṭ niklīṅ jo dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:7  Anāj kī sāt dublī-patlī bāloṅ ne sāt moṭī aur ḳhūbsūrat bāloṅ ko nigal liyā. Phir Firaun jāg uṭhā to mālūm huā ki maiṅ ne ḳhāb hī dekhā hai.
Gene UrduGeoR 41:8  Subah huī to wuh pareshān thā, is lie us ne Misr ke tamām jādūgaroṅ aur ālimoṅ ko bulāyā. Us ne unheṅ apne ḳhāb sunāe, lekin koī bhī un kī tābīr na kar sakā.
Gene UrduGeoR 41:9  Phir sardār sāqī ne Firaun se kahā, “Āj mujhe apnī ḳhatāeṅ yād ātī haiṅ.
Gene UrduGeoR 41:10  Ek din Firaun apne ḳhādimoṅ se nārāz hue. Huzūr ne mujhe aur bekarī ke inchārj ko qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā jis par shāhī muhāfizoṅ kā kaptān muqarrar thā.
Gene UrduGeoR 41:11  Ek hī rāt meṅ ham donoṅ ne muḳhtalif ḳhāb dekhe jin kā matlab farq farq thā.
Gene UrduGeoR 41:12  Wahāṅ jel meṅ ek Ibrānī naujawān thā. Wuh muhāfizoṅ ke kaptān kā ġhulām thā. Ham ne use apne ḳhāb sunāe to us ne hameṅ un kā matlab batā diyā.
Gene UrduGeoR 41:13  Aur jo kuchh bhī us ne batāyā sab kuchh waisā hī huā. Mujhe apnī zimmedārī wāpas mil gaī jabki bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyā gayā.”
Gene UrduGeoR 41:14  Yih sun kar Firaun ne Yūsuf ko bulāyā, aur use jaldī se qaidḳhāne se lāyā gayā. Us ne shew karwā kar apne kapṛe badle aur sīdhe bādshāh ke huzūr pahuṅchā.
Gene UrduGeoR 41:15  Bādshāh ne kahā, “Maiṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur yahāṅ koī nahīṅ jo us kī tābīr kar sake. Lekin sunā hai ki tū ḳhāb ko sun kar us kā matlab batā saktā hai.”
Gene UrduGeoR 41:16  Yūsuf ne jawāb diyā, “Yih mere iḳhtiyār meṅ nahīṅ hai. Lekin Allāh hī bādshāh ko salāmatī kā paiġhām degā.”
Gene UrduGeoR 41:17  Firaun ne Yūsuf ko apne ḳhāb sunāe, “Maiṅ ḳhāb meṅ Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā.
Gene UrduGeoR 41:18  Achānak dariyā meṅ se sāt moṭī moṭī aur ḳhūbsūrat gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charne lagīṅ.
Gene UrduGeoR 41:19  Is ke bād sāt aur gāeṅ niklīṅ. Wuh nihāyat badsūrat aur dublī-patlī thīṅ. Maiṅ ne itnī badsūrat gāeṅ Misr meṅ kahīṅ bhī nahīṅ dekhīṅ.
Gene UrduGeoR 41:20  Dublī aur badsūrat gāeṅ pahlī moṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ.
Gene UrduGeoR 41:21  Aur nigalne ke bād bhī mālūm nahīṅ hotā thā ki unhoṅ ne moṭī gāyoṅ ko khāyā hai. Wuh pahle kī tarah badsūrat hī thīṅ. Is ke bād maiṅ jāg uṭhā.
Gene UrduGeoR 41:22  Phir maiṅ ne ek aur ḳhāb dekhā. Sāt moṭī aur achchhī bāleṅ ek hī paude par lagī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:23  Is ke bād sāt aur bāleṅ niklīṅ jo ḳharāb, dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:24  Sāt dublī-patlī bāleṅ sāt achchhī bāloṅ ko nigal gaīṅ. Maiṅ ne yih sab kuchh apne jādūgaroṅ ko batāyā, lekin wuh is kī tābīr na kar sake.”
Gene UrduGeoR 41:25  Yūsuf ne bādshāh se kahā, “Donoṅ ḳhāboṅ kā ek hī matlab hai. In se Allāh ne huzūr par zāhir kiyā hai ki wuh kyā kuchh karne ko hai.
Gene UrduGeoR 41:26  Sāt achchhī gāyoṅ se murād sāt sāl haiṅ. Isī tarah sāt achchhī bāloṅ se murād bhī sāt sāl haiṅ. Donoṅ ḳhāb ek hī bāt bayān karte haiṅ.
Gene UrduGeoR 41:27  Jo sāt dublī aur badsūrat gāeṅ bād meṅ nikleṅ un se murād sāt aur sāl haiṅ. Yihī sāt dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī bāloṅ kā matlab bhī hai. Wuh ek hī bāt bayān kartī haiṅ ki sāt sāl tak kāl paṛegā.
Gene UrduGeoR 41:28  Yih wuhī bāt hai jo maiṅ ne huzūr se kahī ki Allāh ne huzūr par zāhir kiyā hai ki wuh kyā karegā.
Gene UrduGeoR 41:29  Sāt sāl āeṅge jin ke daurān Misr ke pūre mulk meṅ kasrat se paidāwār hogī.
Gene UrduGeoR 41:30  Us ke bād sāt sāl kāl paṛegā. Kāl itnā shadīd hogā ki log bhūl jāeṅge ki pahle itnī kasrat thī. Kyoṅki kāl mulk ko tabāh kar degā.
Gene UrduGeoR 41:31  Kāl kī shiddat ke bāis achchhe sāloṅ kī kasrat yād hī nahīṅ rahegī.
Gene UrduGeoR 41:32  Huzūr ko is lie ek hī paiġhām do muḳhtalif ḳhāboṅ kī sūrat meṅ milā ki Allāh is kā pakkā irādā rakhtā hai, aur wuh jald hī is par amal karegā.
Gene UrduGeoR 41:33  Ab bādshāh kisī samajhdār aur dānishmand ādmī ko Mulk-e-Misr kā intazām sauṅpeṅ.
Gene UrduGeoR 41:34  Is ke alāwā wuh aise ādmī muqarrar kareṅ jo sāt achchhe sāloṅ ke daurān har fasal kā pāṅchwāṅ hissā leṅ.
Gene UrduGeoR 41:35  Wuh un achchhe sāloṅ ke daurān ḳhurāk jamā kareṅ. Bādshāh unheṅ iḳhtiyār deṅ ki wuh shahroṅ meṅ godām banā kar anāj ko mahfūz kar leṅ.
Gene UrduGeoR 41:36  Yih ḳhurāk kāl ke un sāt sāloṅ ke lie maḳhsūs kī jāe jo Misr meṅ āne wāle haiṅ. Yoṅ mulk tabāh nahīṅ hogā.”
Gene UrduGeoR 41:37  Yih mansūbā bādshāh aur us ke afsarān ko achchhā lagā.
Gene UrduGeoR 41:38  Us ne un se kahā, “Hameṅ is kām ke lie Yūsuf se zyādā lāyq ādmī nahīṅ milegā. Us meṅ Allāh kī rūh hai.”
Gene UrduGeoR 41:39  Bādshāh ne Yūsuf se kahā, “Allāh ne yih sab kuchh tujh par zāhir kiyā hai, is lie koī bhī tujh se zyādā samajhdār aur dānishmand nahīṅ hai.
Gene UrduGeoR 41:40  Maiṅ tujhe apne mahal par muqarrar kartā hūṅ. Merī tamām riāyā tere tābe rahegī. Terā iḳhtiyār sirf mere iḳhtiyār se kam hogā.
Gene UrduGeoR 41:41  Ab maiṅ tujhe pūre Mulk-e-Misr par hākim muqarrar kartā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 41:42  Bādshāh ne apnī unglī se wuh angūṭhī utārī jis se muhr lagātā thā aur use Yūsuf kī unglī meṅ pahnā diyā. Us ne use katān kā bārīk libās pahnāyā aur us ke gale meṅ sone kā gulūband pahnā diyā.
Gene UrduGeoR 41:43  Phir us ne use apne dūsre rath meṅ sawār kiyā aur log us ke āge āge pukārte rahe, “Ghuṭne ṭeko! Ghuṭne ṭeko!” Yoṅ Yūsuf pūre Misr kā hākim banā.
Gene UrduGeoR 41:44  Firaun ne us se kahā, “Maiṅ to bādshāh hūṅ, lekin terī ijāzat ke baġhair pūre mulk meṅ koī bhī apnā hāth yā pāṅw nahīṅ hilāegā.”
Gene UrduGeoR 41:45  Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā.
Gene UrduGeoR 41:46  Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā.
Gene UrduGeoR 41:47  Sāt achchhe sāloṅ ke daurān mulk meṅ nihāyat achchhī fasleṅ ugīṅ.
Gene UrduGeoR 41:48  Yūsuf ne tamām ḳhurāk jamā karke shahroṅ meṅ mahfūz kar lī. Har shahr meṅ us ne irdgird ke khetoṅ kī paidāwār mahfūz rakhī.
Gene UrduGeoR 41:49  Jamāshudā anāj samundar kī ret kī mānind bakasrat thā. Itnā anāj thā ki Yūsuf ne āḳhirkār us kī paimāish karnā chhoṛ diyā.
Gene UrduGeoR 41:50  Kāl se pahle Yūsuf aur Āsanat ke do beṭe paidā hue.
Gene UrduGeoR 41:51  Us ne pahle kā nām Manassī yānī ‘Jo Bhulā Detā Hai’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne merī musībat aur mere bāp kā gharānā merī yāddāsht se nikāl diyā hai.”
Gene UrduGeoR 41:52  Dūsre kā nām us ne Ifrāīm yānī ‘Dugnā Phaldār’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne mujhe merī musībat ke mulk meṅ phalne-phūlne diyā hai.”
Gene UrduGeoR 41:53  Sāt achchhe sāl jin meṅ kasrat kī fasleṅ ugīṅ guzar gae.
Gene UrduGeoR 41:54  Phir kāl ke sāt sāl shurū hue jis tarah Yūsuf ne kahā thā. Tamām dīgar mamālik meṅ bhī kāl paṛ gayā, lekin Misr meṅ wāfir ḳhurāk pāī jātī thī.
Gene UrduGeoR 41:55  Jab kāl ne tamām Misr meṅ zor pakaṛā to log chīḳh kar khāne ke lie bādshāh se minnat karne lage. Tab Firaun ne un se kahā, “Yūsuf ke pās jāo. Jo kuchh wuh tumheṅ batāegā wuhī karo.”
Gene UrduGeoR 41:56  Jab kāl pūrī duniyā meṅ phail gayā to Yūsuf ne anāj ke godām khol kar Misriyoṅ ko anāj bech diyā. Kyoṅki kāl ke bāis mulk ke hālāt bahut ḳharāb ho gae the.
Gene UrduGeoR 41:57  Tamām mamālik se bhī log anāj ḳharīdne ke lie Yūsuf ke pās āe, kyoṅki pūrī duniyā saḳht kāl kī girift meṅ thī.