Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GENESIS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 12
Gene UrduGeoR 12:1  Rab ne Abrām se kahā, “Apne watan, apne rishtedāroṅ aur apne bāp ke ghar ko chhoṛ kar us mulk meṅ chalā jā jo maiṅ tujhe dikhāūṅgā.
Gene UrduGeoR 12:2  Maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā, tujhe barkat dūṅgā aur tere nām ko bahut baṛhāūṅgā. Tū dūsroṅ ke lie barkat kā bāis hogā.
Gene UrduGeoR 12:3  Jo tujhe barkat deṅge unheṅ maiṅ bhī barkat dūṅgā. Jo tujh par lānat karegā us par maiṅ bhī lānat karūṅga. Duniyā kī tamām qaumeṅ tujh se barkat pāeṅgī.”
Gene UrduGeoR 12:4  Abrām ne Rab kī sunī aur Hārān se rawānā huā. Lūt us ke sāth thā. Us waqt Abrām 75 sāl kā thā.
Gene UrduGeoR 12:5  Us ke sāth us kī bīwī Sāray aur us kā bhatījā Lūt the. Wuh apne naukar-chākaroṅ samet apnī pūrī milkiyat bhī sāth le gayā jo us ne Hārān meṅ hāsil kī thī. Chalte chalte wuh Kanān pahuṅche.
Gene UrduGeoR 12:6  Abrām us mulk meṅ se guzar kar Sikam ke maqām par ṭhahar gayā jahāṅ Morih ke balūt kā daraḳht thā. Us zamāne meṅ mulk meṅ Kanānī qaumeṅ ābād thīṅ.
Gene UrduGeoR 12:7  Wahāṅ Rab Abrām par zāhir huā aur us se kahā, “Maiṅ terī aulād ko yih mulk dūṅgā.” Is lie us ne wahāṅ Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī jahāṅ wuh us par zāhir huā thā.
Gene UrduGeoR 12:8  Wahāṅ se wuh us pahāṛī ilāqe kī taraf gayā jo Baitel ke mashriq meṅ hai. Wahāṅ us ne apnā ḳhaimā lagāyā. Maġhrib meṅ Baitel thā aur mashriq meṅ Aī. Is jagah par bhī us ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī.
Gene UrduGeoR 12:9  Phir Abrām dubārā rawānā ho kar junūb ke Dasht-e-Najab kī taraf chal paṛā.
Gene UrduGeoR 12:10  Un dinoṅ meṅ Mulk-e-Kanān meṅ kāl paṛā. Kāl itnā saḳht thā ki Abrām us se bachne kī ḳhātir kuchh der ke lie Misr meṅ jā basā, lekin pardesī kī haisiyat se.
Gene UrduGeoR 12:11  Jab wuh Misr kī sarhad ke qarīb āe to us ne apnī bīwī Sāray se kahā, “Maiṅ jāntā hūṅ ki tū kitnī ḳhūbsūrat hai.
Gene UrduGeoR 12:12  Misrī tujhe dekheṅge, phir kaheṅge, ‘Yih is kā shauhar hai.’ Natīje meṅ wuh mujhe mār ḍāleṅge aur tujhe zindā chhoṛeṅge.
Gene UrduGeoR 12:13  Is lie logoṅ se yih kahte rahnā ki maiṅ Abrām kī bahan hūṅ. Phir mere sāth achchhā sulūk kiyā jāegā aur merī jān tere sabab se bach jāegī.”
Gene UrduGeoR 12:14  Jab Abrām Misr pahuṅchā to wāqaī Misriyoṅ ne dekhā ki Sāray nihāyat hī ḳhūbsūrat hai.
Gene UrduGeoR 12:15  Aur jab Firaun ke afsarān ne use dekhā to unhoṅ ne Firaun ke sāmne Sāray kī tārīf kī. Āḳhirkār use mahal meṅ pahuṅchāyā gayā.
Gene UrduGeoR 12:16  Firaun ne Sāray kī ḳhātir Abrām par ehsān karke use bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe-gadhiyāṅ, naukar-chākar aur ūṅṭ die.
Gene UrduGeoR 12:17  Lekin Rab ne Sāray ke sabab se Firaun aur us ke gharāne meṅ saḳht qism ke amrāz phailāe.
Gene UrduGeoR 12:18  Āḳhirkār Firaun ne Abrām ko bulā kar kahā, “Tū ne mere sāth kyā kiyā? Tū ne mujhe kyoṅ nahīṅ batāyā ki Sāray terī bīwī hai?
Gene UrduGeoR 12:19  Tū ne kyoṅ kahā ki wuh merī bahan hai? Is dhoke kī binā par maiṅ ne use ghar meṅ rakh liyā tāki us se shādī karūṅ. Dekh, terī bīwī hāzir hai. Ise le kar yahāṅ se nikal jā!”
Gene UrduGeoR 12:20  Phir Firaun ne apne sipāhiyoṅ ko hukm diyā, aur unhoṅ ne Abrām, us kī bīwī aur pūrī milkiyat ko ruḳhsat karke mulk se rawānā kar diyā.