Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 8
Numb UrduGeoR 8:2  “Hārūn ko batānā, ‘Tujhe sāt charāġhoṅ ko shamādān par yoṅ rakhnā hai ki wuh shamādān kā sāmne wālā hissā raushan kareṅ.’”
Numb UrduGeoR 8:3  Hārūn ne aisā hī kiyā. Jis tarah Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā usī tarah us ne charāġhoṅ ko rakh diyā tāki wuh sāmne wālā hissā raushan kareṅ.
Numb UrduGeoR 8:4  Shamādān pāe se le kar ūpar kī kaliyoṅ tak sone ke ek ghaṛe hue ṭukṛe kā banā huā thā. Mūsā ne use us namūne ke ain mutābiq banwāyā jo Rab ne use dikhāyā thā.
Numb UrduGeoR 8:6  “Lāwiyoṅ ko dīgar Isrāīliyoṅ se alag karke pāk-sāf karnā.
Numb UrduGeoR 8:7  Is ke lie gunāh se pāk karne wālā pānī un par chhiṛak kar unheṅ hukm denā ki apne jism ke pūre bāl munḍwāo aur apne kapṛe dho'o. Yoṅ wuh pāk-sāf ho jāeṅge.
Numb UrduGeoR 8:8  Phir wuh ek jawān bail chuneṅ aur sāth kī ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā leṅ. Tū ḳhud bhī ek jawān bail chun. Wuh gunāh kī qurbānī ke lie hogā.
Numb UrduGeoR 8:9  Is ke bād Lāwiyoṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne khaṛā karke Isrāīl kī pūrī jamāt ko wahāṅ jamā karnā.
Numb UrduGeoR 8:10  Jab Lāwī Rab ke sāmne khaṛe hoṅ to bāqī Isrāīlī un ke saroṅ par apne hāth rakheṅ.
Numb UrduGeoR 8:11  Phir Hārūn Lāwiyoṅ ko Rab ke sāmne pesh kare. Unheṅ Isrāīliyoṅ kī taraf se hilāī huī qurbānī kī haisiyat se pesh kiyā jāe tāki wuh Rab kī ḳhidmat kar sakeṅ.
Numb UrduGeoR 8:12  Phir Lāwī apne hāth donoṅ bailoṅ ke saroṅ par rakheṅ. Ek bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhāo tāki Lāwiyoṅ kā kaffārā diyā jāe.
Numb UrduGeoR 8:13  Lāwiyoṅ ko is tarīqe se Hārūn aur us ke beṭoṅ ke sāmne khaṛā karke Rab ko hilāī huī qurbānī ke taur par pesh karnā hai.
Numb UrduGeoR 8:14  Unheṅ bāqī Isrāīliyoṅ se alag karne se wuh merā hissā baneṅge.
Numb UrduGeoR 8:15  Is ke bād hī wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ ā kar ḳhidmat kareṅ, kyoṅki ab wuh ḳhidmat karne ke lāyq haiṅ. Unheṅ pāk-sāf karke hilāī huī qurbānī ke taur par pesh karne kā sabab yih hai
Numb UrduGeoR 8:16  ki Lāwī Isrāīliyoṅ meṅ se wuh haiṅ jo mujhe pūre taur par die gae haiṅ. Maiṅ ne unheṅ Isrāīliyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ kī jagah le liyā hai.
Numb UrduGeoR 8:17  Kyoṅki Isrāīl meṅ har pahlauṭhā merā hai, ḳhāh wuh insān kā ho yā haiwān kā. Us din jab maiṅ ne Misriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko mār diyā maiṅ ne Isrāīl ke pahlauṭhoṅ ko apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.
Numb UrduGeoR 8:18  Is silsile meṅ maiṅ ne Lāwiyoṅ ko Isrāīliyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ kī jagah le kar
Numb UrduGeoR 8:19  unheṅ Hārūn aur us ke beṭoṅ ko diyā hai. Wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ Isrāīliyoṅ kī ḳhidmat kareṅ aur un ke lie kaffārā kā intazām qāym rakheṅ tāki jab Isrāīlī maqdis ke qarīb āeṅ to un ko wabā se mārā na jāe.”
Numb UrduGeoR 8:20  Mūsā, Hārūn aur Isrāīliyoṅ kī pūrī jamāt ne ehtiyāt se Rab kī Lāwiyoṅ ke bāre meṅ hidāyāt par amal kiyā.
Numb UrduGeoR 8:21  Lāwiyoṅ ne apne āp ko gunāhoṅ se pāk-sāf karke apne kapṛoṅ ko dhoyā. Phir Hārūn ne unheṅ Rab ke sāmne hilāī huī qurbānī ke taur par pesh kiyā aur un kā kaffārā diyā tāki wuh pāk ho jāeṅ.
Numb UrduGeoR 8:22  Is ke bād Lāwī mulāqāt ke ḳhaime meṅ āe tāki Hārūn aur us ke beṭoṅ ke taht ḳhidmat kareṅ. Yoṅ sab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
Numb UrduGeoR 8:24  “Lāwī 25 sāl kī umr meṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ apnī ḳhidmat shurū kareṅ
Numb UrduGeoR 8:26  Is ke bād wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ apne bhāiyoṅ kī madad kar sakte haiṅ, lekin ḳhud ḳhidmat nahīṅ kar sakte. Tujhe Lāwiyoṅ ko in hidāyāt ke mutābiq un kī apnī apnī zimmedāriyāṅ denī haiṅ.”