Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
II CORINTHIANS
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 11
II C UrduGeoR 11:1  Ḳhudā kare ki jab maiṅ apnī hamāqat kā kuchh izhār kartā hūṅ to āp mujhe bardāsht kareṅ. Hāṅ, zarūr mujhe bardāsht kareṅ,
II C UrduGeoR 11:2  kyoṅki maiṅ āp ke lie Allāh kī-sī ġhairat rakhtā hūṅ. Maiṅ ne āp kā rishtā ek hī mard ke sāth bāndhā, aur maiṅ āp ko pākdāman kuṅwārī kī haisiyat se us mard Masīh ke huzūr pesh karnā chāhtā thā.
II C UrduGeoR 11:3  Lekin afsos, mujhe ḍar hai ki āp Hawwā kī tarah gunāh meṅ gir jāeṅge, ki jis tarah sāṅp ne apnī chālākī se Hawwā ko dhokā diyā usī tarah āp kī soch bhī bigaṛ jāegī aur wuh ḳhulūsdilī aur pāk lagan ḳhatm ho jāegī jo āp Masīh ke lie mahsūs karte haiṅ.
II C UrduGeoR 11:4  Kyoṅki āp ḳhushī se har ek ko bardāsht karte haiṅ jo āp ke pās ā kar ek farq qism kā Īsā pesh kartā hai, ek aisā Īsā jo ham ne āp ko pesh nahīṅ kiyā thā. Aur āp ek aisī rūh aur aisī “Ḳhushḳhabrī” qabūl karte haiṅ jo us Rūh aur ḳhushḳhabrī se bilkul farq hai jo āp ko ham se milī thī.
II C UrduGeoR 11:5  Merā nahīṅ ḳhayāl ki maiṅ in nām-nihād ‘ḳhās’ rasūloṅ kī nisbat kam hūṅ.
II C UrduGeoR 11:6  Ho saktā hai ki maiṅ bolne meṅ māhir nahīṅ hūṅ, lekin yih mere ilm ke bāre meṅ nahīṅ kahā jā saktā. Yih ham ne āp ko sāf sāf aur har lihāz se dikhāyā hai.
II C UrduGeoR 11:7  Maiṅ ne Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāne ke lie āp se koī bhī muāwazā na liyā. Yoṅ maiṅ ne apne āp ko nīchā kar diyā tāki āp ko sarfarāz kar diyā jāe. Kyā is meṅ mujh se ġhaltī huī?
II C UrduGeoR 11:8  Jab maiṅ āp kī ḳhidmat kar rahā thā to mujhe Ḳhudā kī dīgar jamātoṅ se paise mil rahe the, yānī āp kī madad karne ke lie maiṅ unheṅ lūṭ rahā thā.
II C UrduGeoR 11:9  Aur jab maiṅ āp ke pās thā aur zarūratmand thā to maiṅ kisī par bojh na banā, kyoṅki jo bhāī Makiduniyā se āe unhoṅ ne merī zarūriyāt pūrī kīṅ. Māzī meṅ maiṅ āp par bojh na banā aur āindā bhī nahīṅ banūṅgā.
II C UrduGeoR 11:10  Masīh kī us sachchāī kī qasam jo mere andar hai, Aḳhayā ke pūre sūbe meṅ koī mujhe is par faḳhr karne se nahīṅ rokegā.
II C UrduGeoR 11:11  Maiṅ yih kyoṅ kah rahā hūṅ? Is lie ki maiṅ āp se muhabbat nahīṅ rakhtā? Ḳhudā hī jāntā hai ki maiṅ āp se muhabbat rakhtā hūṅ.
II C UrduGeoR 11:12  Aur jo kuchh maiṅ ab kar rahā hūṅ wuhī kartā rahūṅgā, tāki maiṅ nām-nihād rasūloṅ ko wuh mauqā na dūṅ jo wuh ḍhūnḍ rahe haiṅ. Kyoṅki yihī un kā maqsad hai ki wuh faḳhr karke yih kah sakeṅ ki wuh ham jaise haiṅ.
II C UrduGeoR 11:13  Aise log to jhūṭe rasūl haiṅ, dhokebāz mazdūr jinhoṅ ne Masīh ke rasūloṅ kā rūp dhār liyā hai.
II C UrduGeoR 11:14  Aur kyā ajab, kyoṅki Iblīs bhī nūr ke farishte kā rūp dhār kar ghūmtā-phirtā hai.
II C UrduGeoR 11:15  To phir yih baṛī bāt nahīṅ ki us ke chele rāstbāzī ke ḳhādim kā rūp dhār kar ghūmte-phirte haiṅ. Un kā anjām un ke āmāl ke mutābiq hī hogā.
II C UrduGeoR 11:16  Maiṅ dubārā kahtā hūṅ ki koī mujhe ahmaq na samjhe. Lekin agar āp yih socheṅ bhī to kam az kam mujhe ahmaq kī haisiyat se qabūl kareṅ tāki maiṅ bhī thoṛā-bahut apne āp par faḳhr karūṅ.
II C UrduGeoR 11:17  Asal meṅ jo kuchh maiṅ ab bayān kar rahā hūṅ wuh Ḳhudāwand ko pasand nahīṅ hai, balki maiṅ ahmaq kī tarah bāt kar rahā hūṅ.
II C UrduGeoR 11:18  Lekin chūṅki itne log jismānī taur par faḳhr kar rahe haiṅ is lie maiṅ bhī faḳhr karūṅga.
II C UrduGeoR 11:19  Beshak āp ḳhud itne dānishmand haiṅ ki āp ahmaqoṅ ko ḳhushī se bardāsht karte haiṅ.
II C UrduGeoR 11:20  Hāṅ, balki āp yih bhī bardāsht karte haiṅ jab log āp ko ġhulām banāte, āp ko lūṭte, āp se ġhalat fāydā uṭhāte, naḳhre karte aur āp ko thappaṛ mārte haiṅ.
II C UrduGeoR 11:21  Yih kah kar mujhe sharm ātī hai ki ham itne kamzor the ki ham aisā na kar sake. Lekin agar koī kisī bāt par faḳhr karne kī jurrat kare (maiṅ ahmaq kī-sī bāt kar rahā hūṅ) to maiṅ bhī utnī hī jurrat karūṅga.
II C UrduGeoR 11:22  Kyā wuh Ibrānī haiṅ? Maiṅ bhī hūṅ. Kyā wuh Isrāīlī haiṅ? Maiṅ bhī hūṅ. Kyā wuh Ibrāhīm kī aulād haiṅ? Maiṅ bhī hūṅ.
II C UrduGeoR 11:23  Kyā wuh Masīh ke ḳhādim haiṅ? (Ab to maiṅ goyā beḳhud ho gayā hūṅ ki is tarah kī bāteṅ kar rahā hūṅ!) Maiṅ un se zyādā Masīh kī ḳhidmat kartā hūṅ. Maiṅ ne un se kahīṅ zyādā mehnat-mashaqqat kī, zyādā dafā jel meṅ rahā, mere zyādā saḳhtī se koṛe lagāe gae aur maiṅ bār bār marne ke ḳhatroṅ meṅ rahā hūṅ.
II C UrduGeoR 11:24  Mujhe Yahūdiyoṅ se pāṅch dafā 39 koṛoṅ kī sazā milī hai.
II C UrduGeoR 11:25  Tīn dafā Romiyoṅ ne mujhe lāṭhī se mārā. Ek bār mujhe sangsār kiyā gayā. Jab maiṅ samundar meṅ safr kar rahā thā to tīn martabā merā jahāz tabāh huā. Hāṅ, ek dafā mujhe jahāz ke tabāh hone par ek pūrī rāt aur din samundar meṅ guzārnā paṛā.
II C UrduGeoR 11:26  Mere beshumār safroṅ ke daurān mujhe kaī tarah ke ḳhatroṅ kā sāmnā karnā paṛā, dariyāoṅ aur ḍākuoṅ kā ḳhatrā, apne hamwatanoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ ke hamloṅ kā ḳhatrā. Jahāṅ bhī maiṅ gayā hūṅ wahāṅ yih ḳhatre maujūd rahe, ḳhāh maiṅ shahr meṅ thā, ḳhāh ġhairābād ilāqe meṅ yā samundar meṅ. Jhūṭe bhāiyoṅ kī taraf se bhī ḳhatre rahe haiṅ.
II C UrduGeoR 11:27  Maiṅ ne jāṅfishānī se saḳht mehnat-mashaqqat kī hai aur kaī rāt jāgtā rahā hūṅ, maiṅ bhūkā aur pyāsā rahā hūṅ, maiṅ ne bahut roze rakhe haiṅ. Mujhe sardī aur nangepan kā tajrabā huā hai.
II C UrduGeoR 11:28  Aur yih un fikroṅ ke alāwā hai jo maiṅ Ḳhudā kī tamām jamātoṅ ke lie mahsūs kartā hūṅ aur jo mujhe dabātī rahtī haiṅ.
II C UrduGeoR 11:29  Jab koī kamzor hai to maiṅ apne āp ko bhī kamzor mahsūs kartā hūṅ. Jab kisī ko ġhalat rāh par lāyā jātā hai to maiṅ us ke lie shadīd ranjish mahsūs kartā hūṅ.
II C UrduGeoR 11:30  Agar mujhe faḳhr karnā paṛe to maiṅ un chīzoṅ par faḳhr karūṅga jo merī kamzor hālat zāhir kartī haiṅ.
II C UrduGeoR 11:31  Hamārā Ḳhudā aur Ḳhudāwand Īsā kā Bāp (us kī hamd-o-sanā abad tak ho) jāntā hai ki maiṅ jhūṭ nahīṅ bol rahā.
II C UrduGeoR 11:32  Jab maiṅ Damishq Shahr meṅ thā to bādshāh Aritās ke gawarnar ne shahr ke tamām darwāzoṅ par apne pahredār muqarrar kie tāki wuh mujhe giriftār kareṅ.
II C UrduGeoR 11:33  Lekin shahr kī fasīl meṅ ek darīchā thā, aur mujhe ek ṭokre meṅ rakh kar wahāṅ se utārā gayā. Yoṅ maiṅ us ke hāthoṅ se bach niklā.