Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 34
Numb UrduGeoR 34:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ mīrās meṅ dūṅgā to us kī sarhaddeṅ yih hoṅgī:
Numb UrduGeoR 34:3  Us kī junūbī sarhad Dasht-e-Sīn meṅ Adom kī sarhad ke sāth sāth chalegī. Mashriq meṅ wuh Bahīrā-e-Murdār ke junūbī sāhil se shurū hogī, phir in jaghoṅ se ho kar maġhrib kī taraf guzaregī:
Numb UrduGeoR 34:4  Darrā-e-Aqrabbīm ke junūb meṅ se, Dasht-e-Sīn meṅ se, Qādis-barnīa ke junūb meṅ se Hasar-addār aur Azmūn meṅ se.
Numb UrduGeoR 34:5  Wahāṅ se wuh muṛ kar Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr ke sāth sāth Bahīrā-e-Rūm tak pahuṅchegī.
Numb UrduGeoR 34:6  Us kī maġhribī sarhad Bahīrā-e-Rūm kā sāhil hogā.
Numb UrduGeoR 34:7  Us kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se le kar in jaghoṅ se ho kar mashriq kī taraf guzaregī: Hor Pahāṛ,
Numb UrduGeoR 34:9  Zifrūn aur Hasar-enān. Hasar-enān shimālī sarhad kā sab se mashriqī maqām hogā.
Numb UrduGeoR 34:10  Us kī mashriqī sarhad shimāl meṅ Hasar-enān se shurū hogī. Phir wuh in jaghoṅ se ho kar junūb kī taraf guzaregī: Sifām,
Numb UrduGeoR 34:11  Riblā jo Ain ke mashriq meṅ hai aur Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl ke mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqā.
Numb UrduGeoR 34:12  Is ke bād wuh Dariyā-e-Yardan ke kināre kināre guzartī huī Bahīrā-e-Murdār tak pahuṅchegī. Yih tumhāre mulk kī sarhaddeṅ hoṅgī.”
Numb UrduGeoR 34:13  Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Yih wuhī mulk hai jise tumheṅ qurā ḍāl kar taqsīm karnā hai. Rab ne hukm diyā hai ki use bāqī sāṛhe nau qabīloṅ ko denā hai.
Numb UrduGeoR 34:14  Kyoṅki aṛhāī qabīloṅ ke ḳhāndānoṅ ko un kī mīrās mil chukī hai yānī Rūbin aur Jad ke pūre qabīle aur Manassī ke ādhe qabīle ko.
Numb UrduGeoR 34:15  Unheṅ yahāṅ, Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke sāmne zamīn mil chukī hai.”
Numb UrduGeoR 34:17  “Iliyazar Imām aur Yashua bin Nūn logoṅ ke lie mulk taqsīm kareṅ.
Numb UrduGeoR 34:18  Har qabīle ke ek ek rāhnumā ko bhī chunanā tāki wuh taqsīm karne meṅ madad kare. Jin ko tumheṅ chunanā hai un ke nām yih haiṅ:
Numb UrduGeoR 34:28  Naftālī ke qabīle kā Fidāhel bin Ammīhūd.”
Numb UrduGeoR 34:29  Rab ne inhīṅ ādmiyoṅ ko mulk ko Isrāīliyoṅ meṅ taqsīm karne kī zimmedārī dī.