Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EZRA
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 10
Ezra UrduGeoR 10:1  Jab Azrā is tarah duā kar rahā aur Allāh ke ghar ke sāmne paṛe hue aur rote hue qaum ke qusūr kā iqrār kar rahā thā to us ke irdgird Isrāīlī mardoṅ, auratoṅ aur bachchoṅ kā baṛā hujūm jamā ho gayā. Wuh bhī phūṭ phūṭ kar rone lage.
Ezra UrduGeoR 10:2  Phir Ailām ke ḳhāndān ke Sakaniyāh bin Yihiyel ne Azrā se kahā, “Wāqaī ham ne paṛosī qaumoṅ kī auratoṅ se shādī karke apne Ḳhudā se bewafāī kī hai. To bhī ab tak Isrāīl ke lie ummīd kī kiran bāqī hai.
Ezra UrduGeoR 10:3  Āeṅ, ham apne Ḳhudā se ahd bāndh kar wādā kareṅ ki ham un tamām auratoṅ ko un ke bachchoṅ samet wāpas bhej deṅge. Jo bhī mashwarā āp aur Allāh ke ahkām kā ḳhauf mānane wāle dīgar log hameṅ deṅge wuh ham kareṅge. Sab kuchh sharīat ke mutābiq kiyā jāe.
Ezra UrduGeoR 10:4  Ab uṭheṅ! Kyoṅki yih muāmalā durust karnā āp hī kā farz hai. Ham āp ke sāth haiṅ, is lie hauslā rakheṅ aur wuh kuchh kareṅ jo zarūrī hai.”
Ezra UrduGeoR 10:5  Tab Azrā uṭhā aur rāhnumā imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur tamām qaum ko qasam khilāī ki ham Sakaniyāh ke mashware par amal kareṅge.
Ezra UrduGeoR 10:6  Phir Azrā Allāh ke ghar ke sāmne se chalā gayā aur Yūhanān bin Iliyāsib ke kamre meṅ dāḳhil huā. Wahāṅ us ne pūrī rāt kuchh khāe-pie baġhair guzārī. Ab tak wuh jilāwatanī se wāpas āe hue logoṅ kī bewafāī par mātam kar rahā thā.
Ezra UrduGeoR 10:7  Sarkārī afsaroṅ aur buzurgoṅ ne faislā kiyā ki Yarūshalam aur pūre Yahūdāh meṅ elān kiyā jāe, “Lāzim hai ki jitne bhī Isrāīlī jilāwatanī se wāpas āe haiṅ wuh sab tīn din ke andar andar Yarūshalam meṅ jamā ho jāeṅ. Jo bhī is daurān hāzir na ho use jilāwatanoṅ kī jamāt se ḳhārij kar diyā jāegā aur us kī tamām milkiyat zabt ho jāegī.”
Ezra UrduGeoR 10:8  Sarkārī afsaroṅ aur buzurgoṅ ne faislā kiyā ki Yarūshalam aur pūre Yahūdāh meṅ elān kiyā jāe, “Lāzim hai ki jitne bhī Isrāīlī jilāwatanī se wāpas āe haiṅ wuh sab tīn din ke andar andar Yarūshalam meṅ jamā ho jāeṅ. Jo bhī is daurān hāzir na ho use jilāwatanoṅ kī jamāt se ḳhārij kar diyā jāegā aur us kī tamām milkiyat zabt ho jāegī.”
Ezra UrduGeoR 10:9  Tab Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke tamām ādmī tīn din ke andar andar Yarūshalam pahuṅche. Naweṅ mahīne ke bīsweṅ din sab log Allāh ke ghar ke sahan meṅ jamā hue. Sab muāmale kī sanjīdagī aur mausam ke sabab se kāṅp rahe the, kyoṅki bārish ho rahī thī.
Ezra UrduGeoR 10:10  Azrā Imām khaṛe ho kar kahne lagā, “Āp Allāh se bewafā ho gae haiṅ. Ġhairyahūdī auratoṅ se rishtā bāndhne se āp ne Isrāīl ke qusūr meṅ izāfā kar diyā hai.
Ezra UrduGeoR 10:11  Ab Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ke huzūr apne gunāhoṅ kā iqrār karke us kī marzī pūrī kareṅ. Paṛosī qaumoṅ aur apnī pardesī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅ.”
Ezra UrduGeoR 10:12  Pūrī jamāt ne buland āwāz se jawāb diyā, “Āp ṭhīk kahte haiṅ! Lāzim hai ki ham āp kī hidāyat par amal kareṅ.
Ezra UrduGeoR 10:13  Lekin yih koī aisā muāmalā nahīṅ hai jo ek yā do din meṅ durust kiyā jā sake. Kyoṅki ham bahut log haiṅ aur ham se sanjīdā gunāh sarzad huā hai. Nīz, is waqt barsāt kā mausam hai, aur ham zyādā der tak bāhar nahīṅ ṭhahar sakte.
Ezra UrduGeoR 10:14  Behtar hai ki hamāre buzurg pūrī jamāt kī numāindagī kareṅ. Phir jitne bhī ādmiyoṅ kī Ġhairyahūdī bīwiyāṅ haiṅ wuh ek muqarrarā din maqāmī buzurgoṅ aur qāziyoṅ ko sāth le kar yahāṅ āeṅ aur muāmalā durust kareṅ. Aur lāzim hai ki yih silsilā us waqt tak jārī rahe jab tak Rab kā ġhazab ṭhanḍā na ho jāe.”
Ezra UrduGeoR 10:15  Tamām log muttafiq hue, sirf Yūnatan bin Asāhel aur Yahziyāh bin Tiqwā ne faisle kī muḳhālafat kī jabki Masullām aur Sabbatī Lāwī un ke haq meṅ the.
Ezra UrduGeoR 10:16  To bhī Isrāīliyoṅ ne mansūbe par amal kiyā. Azrā Imām ne chand ek ḳhāndānī sarparastoṅ ke nām le kar unheṅ yih zimmedārī dī ki jahāṅ bhī kisī Yahūdī mard kī Ġhairyahūdī aurat se shādī huī hai wahāṅ wuh pūre muāmale kī tahqīq kareṅ. Un kā kām dasweṅ mahīne ke pahle din shurū huā aur pahle mahīne ke pahle din takmīl tak pahuṅchā.
Ezra UrduGeoR 10:17  To bhī Isrāīliyoṅ ne mansūbe par amal kiyā. Azrā Imām ne chand ek ḳhāndānī sarparastoṅ ke nām le kar unheṅ yih zimmedārī dī ki jahāṅ bhī kisī Yahūdī mard kī Ġhairyahūdī aurat se shādī huī hai wahāṅ wuh pūre muāmale kī tahqīq kareṅ. Un kā kām dasweṅ mahīne ke pahle din shurū huā aur pahle mahīne ke pahle din takmīl tak pahuṅchā.
Ezra UrduGeoR 10:18  Darj-e-zail un ādmiyoṅ kī fahrist hai jinhoṅ ne Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī kī thī. Unhoṅ ne qasam khā kar wādā kiyā ki ham apnī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅge. Sāth sāth har ek ne qusūr kī qurbānī ke taur par menḍhā qurbān kiyā. Imāmoṅ meṅ se qusūrwār: Yashua bin Yūsadaq aur us ke bhāī Māsiyāh, Iliyazar, Yarīb aur Jidaliyāh,
Ezra UrduGeoR 10:19  Darj-e-zail un ādmiyoṅ kī fahrist hai jinhoṅ ne Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī kī thī. Unhoṅ ne qasam khā kar wādā kiyā ki ham apnī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅge. Sāth sāth har ek ne qusūr kī qurbānī ke taur par menḍhā qurbān kiyā. Imāmoṅ meṅ se qusūrwār: Yashua bin Yūsadaq aur us ke bhāī Māsiyāh, Iliyazar, Yarīb aur Jidaliyāh,
Ezra UrduGeoR 10:20  Immer ke ḳhāndān kā Hanānī aur Zabadiyāh,
Ezra UrduGeoR 10:21  Hārim ke ḳhāndān kā Māsiyāh, Iliyās, Samāyāh, Yihiyel aur Uzziyāh,
Ezra UrduGeoR 10:22  Fashhūr ke ḳhāndān kā Iliyuainī, Māsiyāh, Ismāīl, Nataniyel, Yūzabad aur Iliyāsā.
Ezra UrduGeoR 10:23  Lāwiyoṅ meṅ se qusūrwār: Yūzabad, Simaī, Qilāyāh yānī Qalītā, Fatahiyāh, Yahūdāh aur Iliyazar.
Ezra UrduGeoR 10:24  Gulūkāroṅ meṅ se qusūrwār: Iliyāsib. Rab ke ghar ke darbānoṅ meṅ se qusūrwār: Sallūm, Talam aur Ūrī.
Ezra UrduGeoR 10:25  Bāqī qusūrwār Isrāīlī: Parūs ke ḳhāndān kā Ramiyāh, Yazziyāh, Malkiyāh, Miyāmīn, Iliyazar, Malkiyāh aur Bināyāh.
Ezra UrduGeoR 10:26  Ailām ke ḳhāndān kā Mattaniyāh, Zakariyāh, Yihiyel, Abdī, Yarīmot aur Iliyās,
Ezra UrduGeoR 10:27  Zattū ke ḳhāndān kā Iliyuainī, Iliyāsib, Mattaniyāh, Yarīmot, Zabad aur Azīzā.
Ezra UrduGeoR 10:28  Babī ke ḳhāndān kā Yūhanān, Hananiyāh, Zabbī aur Atlī.
Ezra UrduGeoR 10:29  Bānī ke ḳhāndān kā Masullām, Mallūk, Adāyāh, Yasūb, Siyāl aur Yarīmot.
Ezra UrduGeoR 10:30  Pakhat-moāb ke ḳhāndān kā Adnā, Kilāl, Bināyāh, Māsiyāh, Mattaniyāh, Bazliyel, Binnūī aur Manassī.
Ezra UrduGeoR 10:31  Hārim ke ḳhāndān kā Iliyazar, Yissiyāh, Malkiyāh, Samāyāh, Shamāūn,
Ezra UrduGeoR 10:33  Hāshūm ke ḳhāndān kā Mattanī, Mattattāh, Zabad, Ilīfalat, yaremī, Manassī aur Simaī.
Ezra UrduGeoR 10:43  Nabū ke ḳhāndān kā Ya'iyel, Mattitiyāh, Zabad, Zabīnā, Yaddī, Yoel aur Bināyāh.
Ezra UrduGeoR 10:44  In tamām ādmiyoṅ kī Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī huī thī, aur un ke hāṅ bachche paidā hue the.