Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOSHUA
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 13
Josh UrduGeoR 13:1  Jab Yashua būṛhā thā to Rab ne us se kahā, “Tū bahut būṛhā ho chukā hai, lekin abhī kāfī kuchh bāqī rah gayā hai jis par qabzā karne kī zarūrat hai.
Josh UrduGeoR 13:2  Is meṅ Filistiyoṅ ke tamām ilāqe un ke shāhī shahroṅ Ġhazzā, Ashdūd, Askqalūn, Jāt aur Aqrūn samet shāmil haiṅ aur isī tarah Jasūr kā ilāqā jis kī junūbī sarhad Wādī-e-Saihūr hai jo Misr ke mashriq meṅ hai aur jis kī shimālī sarhad Aqrūn hai. Use bhī Mulk-e-Kanān kā hissā qarār diyā jātā hai. Awwiyoṅ kā ilāqā bhī
Josh UrduGeoR 13:3  Is meṅ Filistiyoṅ ke tamām ilāqe un ke shāhī shahroṅ Ġhazzā, Ashdūd, Askqalūn, Jāt aur Aqrūn samet shāmil haiṅ aur isī tarah Jasūr kā ilāqā jis kī junūbī sarhad Wādī-e-Saihūr hai jo Misr ke mashriq meṅ hai aur jis kī shimālī sarhad Aqrūn hai. Use bhī Mulk-e-Kanān kā hissā qarār diyā jātā hai. Awwiyoṅ kā ilāqā bhī
Josh UrduGeoR 13:4  jo junūb meṅ hai ab tak Isrāīl ke qabze meṅ nahīṅ āyā. Yihī bāt shimāl par bhī sādiq ātī hai. Saidāniyoṅ ke shahr Ma'ārā se le kar Afīq Shahr aur Amoriyoṅ kī sarhad tak sab kuchh ab tak Isrāīl kī hukūmat se bāhar hai.
Josh UrduGeoR 13:5  Is ke alāwā jabliyoṅ kā mulk aur mashriq meṅ pūrā Lubnān Harmūn Pahāṛ ke dāman meṅ Bāl-jad se le kar Labo-hamāt tak bāqī rah gayā hai.
Josh UrduGeoR 13:6  Is meṅ un Saidāniyoṅ kā tamām ilāqā bhī shāmil hai jo Lubnān ke pahāṛoṅ aur Misrafāt-māym ke darmiyān ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād haiṅ. Isrāīliyoṅ ke baṛhte baṛhte maiṅ ḳhud hī in logoṅ ko un ke sāmne se nikāl dūṅgā. Lekin lāzim hai ki tū qurā ḍāl kar yih pūrā mulk mere hukm ke mutābiq Isrāīliyoṅ meṅ taqsīm kare.
Josh UrduGeoR 13:7  Use nau bāqī qabīloṅ aur Manassī ke ādhe qabīle ko wirāsat meṅ de de.”
Josh UrduGeoR 13:8  Rab kā ḳhādim Mūsā Rūbin, Jad aur Manassī ke bāqī ādhe qabīle ko Dariyā-e-Yardan kā mashriqī ilāqā de chukā thā.
Josh UrduGeoR 13:9  Yoṅ Hasbon ke Amorī bādshāh Sīhon ke tamām shahr un ke qabze meṅ ā gae the yānī junūbī Wādī-e-Arnon ke kināre par shahr Aroīr aur usī wādī ke bīch ke shahr se le kar shimāl meṅ Ammoniyoṅ kī sarhad tak. Dībon aur Mīdabā ke darmiyān kā maidān-e-murtafā bhī is meṅ shāmil thā
Josh UrduGeoR 13:10  Yoṅ Hasbon ke Amorī bādshāh Sīhon ke tamām shahr un ke qabze meṅ ā gae the yānī junūbī Wādī-e-Arnon ke kināre par shahr Aroīr aur usī wādī ke bīch ke shahr se le kar shimāl meṅ Ammoniyoṅ kī sarhad tak. Dībon aur Mīdabā ke darmiyān kā maidān-e-murtafā bhī is meṅ shāmil thā
Josh UrduGeoR 13:11  aur isī tarah Jiliyād, Jasūriyoṅ aur Mākātiyoṅ kā ilāqā, Harmūn kā pahāṛī ilāqā aur Salkā Shahr tak Basan kā sārā ilāqā bhī.
Josh UrduGeoR 13:12  Pahle yih sārā ilāqā Basan ke bādshāh Oj ke qabze meṅ thā jis kī hukūmat ke markaz Astārāt aur Idraī the. Rafāiyoṅ ke dewqāmat qabīle se sirf Oj bāqī rah gayā thā. Mūsā kī rāhnumāī ke taht Isrāīliyoṅ ne us ilāqe par fatah pā kar tamām bāshindoṅ ko nikāl diyā thā.
Josh UrduGeoR 13:13  Sirf Jasūrī aur Mākātī bāqī rah gae the, aur yih āj tak Isrāīliyoṅ ke darmiyān rahte haiṅ.
Josh UrduGeoR 13:14  Sirf Lāwī ke qabīle ko koī zamīn na milī, kyoṅki un kā maurūsī hissā jalne wālī wuh qurbāniyāṅ haiṅ jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie chaṛhāī jātī haiṅ. Rab ne yihī kuchh Mūsā ko batāyā thā.
Josh UrduGeoR 13:15  Mūsā ne Rūbin ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq zail kā ilāqā diyā.
Josh UrduGeoR 13:16  Wādī-e-Arnon ke kināre par shahr Aroīr aur usī wādī ke bīch ke shahr se le kar Mīdabā
Josh UrduGeoR 13:17  aur Hasbon tak. Wahāṅ ke maidān-e-murtafā par wāqe tamām shahr bhī Rūbin ke sapurd kie gae yānī Dībon, Bāmāt-bāl, Bait-bāl-maūn,
Josh UrduGeoR 13:19  Qiriyatāym, Sibmāh, Zirat-us-sahar jo Bahīrā-e-Murdār ke mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqe meṅ hai,
Josh UrduGeoR 13:20  Bait-faġhūr, Pisgā ke pahāṛī silsile par maujūd ābādiyāṅ aur Bait-yasīmot.
Josh UrduGeoR 13:21  Maidān-e-murtafā ke tamām shahr Rūbin ke qabīle ko die gae yānī Amoriyoṅ ke bādshāh Sīhon kī pūrī bādshāhī jis kā dārul-hukūmat Hasbon Shahr thā. Mūsā ne Sīhon ko mār ḍālā thā aur us ke sāth pāṅch Midiyānī ra'īsoṅ ko bhī jinheṅ Sīhon ne apne mulk meṅ muqarrar kiyā thā. In ra'īsoṅ ke nām Iwī, Raqam, Sūr, Hūr aur Rabā the.
Josh UrduGeoR 13:22  Jin logoṅ ko us waqt mārā gayā un meṅ se Bilām bin Baor bhī thā jo ġhaibdān thā.
Josh UrduGeoR 13:23  Rūbin ke qabīle kī maġhribī sarhad Dariyā-e-Yardan thī. Yihī shahr aur ābādiyāṅ Rūbin ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq dī gaīṅ, aur wuh us kī mīrās ṭhahrīṅ.
Josh UrduGeoR 13:24  Mūsā ne Jad ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq zail kā ilāqā diyā.
Josh UrduGeoR 13:25  Yāzer kā ilāqā, Jiliyād ke tamām shahr, Ammoniyoṅ kā ādhā hissā Rabbā ke qarīb shahr Aroīr tak
Josh UrduGeoR 13:26  aur Hasbon ke bādshāh Sīhon kī bādshāhī kā bāqī shimālī hissā yānī Hasbon, Rāmatul-Misfāh aur Batūnīm ke darmiyān kā ilāqā aur Mahanāym aur Dabīr ke darmiyān kā ilāqā. Is ke alāwā Jad ko Wādī-e-Yardan kā wuh mashriqī hissā bhī mil gayā jo Bait-hāram, Bait-nimrā, Sukkāt aur Safon par mushtamil thā. Yoṅ us kī shimālī sarhad Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl kā junūbī kinārā thā.
Josh UrduGeoR 13:27  aur Hasbon ke bādshāh Sīhon kī bādshāhī kā bāqī shimālī hissā yānī Hasbon, Rāmatul-Misfāh aur Batūnīm ke darmiyān kā ilāqā aur Mahanāym aur Dabīr ke darmiyān kā ilāqā. Is ke alāwā Jad ko Wādī-e-Yardan kā wuh mashriqī hissā bhī mil gayā jo Bait-hāram, Bait-nimrā, Sukkāt aur Safon par mushtamil thā. Yoṅ us kī shimālī sarhad Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl kā junūbī kinārā thā.
Josh UrduGeoR 13:28  Yihī shahr aur ābādiyāṅ Jad ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq dī gaīṅ, aur wuh us kī mīrās ṭhahrīṅ.
Josh UrduGeoR 13:29  Jo ilāqā Mūsā ne Manassī ke ādhe hisse ko us ke kunboṅ ke mutābiq diyā thā
Josh UrduGeoR 13:30  wuh Mahanāym se le kar shimāl meṅ Oj Bādshāh kī tamām bādshāhī par mushtamil thā. Us meṅ Mulk-e-Basan aur wuh 60 ābādiyāṅ shāmil thīṅ jin par Yāīr ne fatah pāī thī.
Josh UrduGeoR 13:31  Jiliyād kā ādhā hissā Oj kī hukūmat ke do marākiz Astārāt aur Idraī samet Makīr bin Manassī kī aulād ko us ke kunboṅ ke mutābiq diyā gayā.
Josh UrduGeoR 13:32  Mūsā ne in maurūsī zamīnoṅ kī taqsīm us waqt kī thī jab wuh Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Moāb ke maidānī ilāqe meṅ Yarīhū Shahr ke muqābil thā.
Josh UrduGeoR 13:33  Lekin Lāwī ko Mūsā se koī maurūsī zamīn nahīṅ milī thī, kyoṅki Rab Isrāīl kā Ḳhudā un kā maurūsī hissā hai jis tarah us ne un se wādā kiyā thā.