Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JEREMIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 52
Jere UrduGeoR 52:1  Sidqiyāh 21 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 11 sāl thā. Us kī māṅ Hamūtal bint Yarmiyāh Libnā Shahr kī rahne wālī thī.
Jere UrduGeoR 52:2  Yahūyaqīm kī tarah Sidqiyāh aisā kām kartā rahā jo Rab ko nāpasand thā.
Jere UrduGeoR 52:3  Rab Yarūshalam aur Yahūdāh ke bāshindoṅ se itnā nārāz huā ki āḳhir meṅ us ne unheṅ apne huzūr se ḳhārij kar diyā. Ek din Sidqiyāh Bābal ke bādshāh se sarkash huā,
Jere UrduGeoR 52:4  is lie Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar tamām fauj apne sāth le kar dubārā Yarūshalam pahuṅchā tāki us par hamlā kare. Sidqiyāh kī hukūmat ke naweṅ sāl meṅ Bābal kī fauj Yarūshalam kā muhāsarā karne lagī. Yih kām dasweṅ mahīne ke dasweṅ din shurū huā. Pūre shahr ke irdgird bādshāh ne pushte banwāe.
Jere UrduGeoR 52:5  Sidqiyāh kī hukūmat ke 11weṅ sāl tak Yarūshalam qāym rahā.
Jere UrduGeoR 52:6  Lekin phir kāl ne shahr meṅ zor pakaṛā, aur awām ke lie khāne kī chīzeṅ na rahīṅ. Chauthe mahīne ke naweṅ din
Jere UrduGeoR 52:7  Bābal ke faujiyoṅ ne fasīl meṅ raḳhnā ḍāl diyā. Usī rāt Sidqiyāh apne tamām faujiyoṅ samet farār hone meṅ kāmyāb huā, agarche shahr dushman se ghirā huā thā. Wuh fasīl ke us darwāze se nikle jo Shāhī Bāġh ke sāth mulhiq do dīwāroṅ ke bīch meṅ thā. Wuh Wādī-e-Yardan kī taraf bhāgne lage,
Jere UrduGeoR 52:8  lekin Bābal kī fauj ne bādshāh kā tāqqub karke use Yarīhū ke maidān meṅ pakaṛ liyā. Us ke faujī us se alag ho kar chāroṅ taraf muntashir ho gae.
Jere UrduGeoR 52:9  Aur wuh ḳhud giriftār ho gayā. Phir use Mulk-e-Hamāt ke shahr Riblā meṅ Shāh-e-Bābal ke pās lāyā gayā, aur wahīṅ us ne Sidqiyāh par faislā sādir kiyā.
Jere UrduGeoR 52:10  Sidqiyāh ke deḳhte deḳhte Shāh-e-Bābal ne Riblā meṅ us ke beṭoṅ ko qatl kiyā. Sāth sāth us ne Yahūdāh ke tamām buzurgoṅ ko bhī maut ke ghāṭ utār diyā.
Jere UrduGeoR 52:11  Phir us ne Sidqiyāh kī āṅkheṅ nikalwā kar use pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā aur Bābal le gayā jahāṅ wuh jīte-jī rahā.
Jere UrduGeoR 52:12  Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar kī hukūmat ke 19weṅ sāl meṅ bādshāh kā ḳhās afsar Nabūzarādān Yarūshalam pahuṅchā. Wuh shāhī muhāfizoṅ par muqarrar thā. Pāṅchweṅ mahīne ke sātweṅ din us ne ā kar
Jere UrduGeoR 52:13  Rab ke ghar, shāhī mahal aur Yarūshalam ke tamām makānoṅ ko jalā diyā. Har baṛī imārat bhasm ho gaī.
Jere UrduGeoR 52:14  Us ne apne tamām faujiyoṅ se shahr kī pūrī fasīl ko bhī girā diyā.
Jere UrduGeoR 52:15  Phir Nabūzarādān ne sab ko jilāwatan kar diyā jo Yarūshalam meṅ pīchhe rah gae the. Wuh bhī un meṅ shāmil the jo jang ke daurān ġhaddārī karke Shāh-e-Bābal ke pīchhe lag gae the. Nabūzarādān bāqīmāndā kārīgar aur ġharīboṅ meṅ se bhī kuchh Bābal le gayā.
Jere UrduGeoR 52:16  Lekin us ne sab se nichle tabqe ke bāz logoṅ ko Mulk-e-Yahūdāh meṅ chhoṛ diyā tāki wuh angūr ke bāġhoṅ aur khetoṅ ko saṅbhāleṅ.
Jere UrduGeoR 52:17  Bābal ke faujiyoṅ ne Rab ke ghar meṅ jā kar pītal ke donoṅ satūnoṅ, pānī ke bāsanoṅ ko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ aur Samundar nāmī pītal ke hauz ko toṛ diyā aur sārā pītal uṭhā kar Bābal le gae.
Jere UrduGeoR 52:18  Wuh Rab ke ghar kī ḳhidmat saranjām dene ke lie darkār sāmān bhī le gae yānī bālṭiyāṅ, belche, battī katarne ke auzār, chhiṛkāw ke kaṭore, pyāle aur pītal kā bāqī sārā sāmān.
Jere UrduGeoR 52:19  Ḳhālis sone aur chāṅdī ke bartan bhī is meṅ shāmil the yānī bāsan, jalte hue koele ke bartan, chhiṛkāw ke kaṭore, bālṭiyāṅ, shamādān, pyāle aur mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan. Shāhī muhāfizoṅ kā yih afsar sārā sāmān uṭhā kar Bābal le gayā.
Jere UrduGeoR 52:20  Jab donoṅ satūnoṅ, Samundar nāmī hauz, hauz ko uṭhāne wāle pītal ke bailoṅ aur bāsanoṅ ko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ kā pītal tuṛwāyā gayā to wuh itnā waznī thā ki use tolā na jā sakā. Sulemān Bādshāh ne yih chīzeṅ Rab ke ghar ke lie banwāī thīṅ.
Jere UrduGeoR 52:21  Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ aur gherā 18 fuṭ thā. Donoṅ khokhle the, aur un kī dīwāroṅ kī moṭāī 3 inch thī.
Jere UrduGeoR 52:22  Un ke bālāī hissoṅ kī ūṅchāī sāṛhe sāt fuṭ thī, aur wuh pītal kī jālī aur anāroṅ se saje hue the.
Jere UrduGeoR 52:23  96 anār lage hue the. Jālī ke irdgird kul 100 anār lage the.
Jere UrduGeoR 52:24  Shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ne zail ke qaidiyoṅ ko alag kar diyā: imām-e-āzam Sirāyāh, us ke bād āne wāle imām Safaniyāh, Rab ke ghar ke tīn darbānoṅ,
Jere UrduGeoR 52:25  shahr ke bache huoṅ meṅ se us afsar ko jo shahr ke faujiyoṅ par muqarrar thā, Sidqiyāh Bādshāh ke sāt mushīroṅ, ummat kī bhartī karne wāle afsar aur shahr meṅ maujūd us ke 60 mardoṅ ko.
Jere UrduGeoR 52:26  Nabūzarādān in sab ko alag karke sūbā Hamāt ke shahr Riblā le gayā jahāṅ Shāh-e-Bābal thā.
Jere UrduGeoR 52:27  Wahāṅ Nabūkadnazzar ne unheṅ sazā-e-maut dī. Yoṅ Yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāwatan kar diyā gayā.
Jere UrduGeoR 52:28  Nabūkadnazzar ne apnī hukūmat ke 7weṅ sāl meṅ Yahūdāh ke 3,023 afrād,
Jere UrduGeoR 52:30  aur 23weṅ sāl meṅ 745 afrād ko jilāwatan kar diyā. Yih āḳhirī log shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ke zariye Bābal lāe gae. Kul 4,600 afrād jilāwatan hue.
Jere UrduGeoR 52:31  Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn kī jilāwatanī ke 37weṅ sāl meṅ Awīl-marūdak Bābal kā bādshāh banā. Usī sāl ke 12weṅ mahīne ke 25weṅ din us ne Yahūyākīn ko qaidḳhāne se āzād kar diyā.
Jere UrduGeoR 52:32  Us ne us ke sāth narm bāteṅ karke use izzat kī aisī kursī par biṭhāyā jo Bābal meṅ jilāwatan kie gae bāqī bādshāhoṅ kī nisbat zyādā aham thī.
Jere UrduGeoR 52:33  Yahūyākīn ko qaidī ke kapṛe utārne kī ijāzat milī, aur use zindagī-bhar bādshāh kī mez par bāqāydagī se khānā khāne kā sharf hāsil rahā.
Jere UrduGeoR 52:34  Bādshāh ne muqarrar kiyā ki Yahūyākīn ko umr-bhar itnā wazīfā miltā rahe ki us kī rozmarrā zarūriyāt pūrī hotī raheṅ.