Toggle notes
Chapter 1
Hagg | UrduGeoR | 1:1 | Fāras ke bādshāh Dārā kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Hajjī Nabī par Rab kā kalām nāzil huā. Chhaṭe mahīne kā pahlā din thā. Kalām meṅ Allāh Yahūdāh ke gawarnar Zarubbābal bin Siyāltiyel aur imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq se muḳhātib huā. | |
Hagg | UrduGeoR | 1:2 | Rabbul-afwāj farmātā hai, “Yih qaum kahtī hai, ‘Abhī Rab ke ghar ko dubārā tāmīr karne kā waqt nahīṅ āyā.’ | |
Hagg | UrduGeoR | 1:3 | Rabbul-afwāj farmātā hai, “Yih qaum kahtī hai, ‘Abhī Rab ke ghar ko dubārā tāmīr karne kā waqt nahīṅ āyā.’ | |
Hagg | UrduGeoR | 1:4 | Kyā yih ṭhīk hai ki tum ḳhud lakaṛī se saje hue gharoṅ meṅ rahte ho jabki merā ghar ab tak malbe kā ḍher hai?” | |
Hagg | UrduGeoR | 1:6 | Tum ne bahut bīj boyā lekin kam fasal kāṭī hai. Tum khānā to khāte ho lekin bhūke rahte ho, pānī to pīte ho lekin pyāse rahte ho, kapṛe to pahante ho lekin sardī lagtī hai. Aur jab koī paise kamā kar unheṅ apne baṭwe meṅ ḍāltā hai to us meṅ sūrāḳh haiṅ.” | |
Hagg | UrduGeoR | 1:8 | Pahāṛoṅ par chaṛh kar lakaṛī le āo aur Rab ke ghar kī tāmīr shurū karo. Aisā hī rawaiyā mujhe pasand hogā, aur is tarah hī tum mujhe jalāl doge.” Yih Rab kā farmān hai. | |
Hagg | UrduGeoR | 1:9 | “Dekho, tum ne bahut barkat pāne kī tawaqqo kī, lekin kyā huā? Kam hī hāsil huā. Aur jo kuchh tum apne ghar wāpas lāe use maiṅ ne hawā meṅ uṛā diyā. Kyoṅ ? Maiṅ, Rabbul-afwāj tumheṅ is kī asal wajah batātā hūṅ. Merā ghar ab tak malbe kā ḍher hai jabki tum meṅ se har ek apnā apnā ghar mazbūt karne ke lie bhāg-dauṛ kar rahā hai. | |
Hagg | UrduGeoR | 1:10 | Isī lie āsmān ne tumheṅ os se aur zamīn ne tumheṅ fasloṅ se mahrūm kar rakhā hai. | |
Hagg | UrduGeoR | 1:11 | Isī lie maiṅ ne hukm diyā ki khetoṅ meṅ aur pahāṛoṅ par kāl paṛe, ki mulk kā anāj, angūr, zaitūn balki zamīn kī har paidāwār us kī lapeṭ meṅ ā jāe. Insān-o-haiwān us kī zad meṅ ā gae haiṅ, aur tumhārī mehnat-mashaqqat zāe ho rahī hai.” | |
Hagg | UrduGeoR | 1:12 | Tab Zarubbābal bin Siyāltiyel, imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq aur qaum ke pūre bache hue hisse ne Rab apne Ḳhudā kī sunī. Jo bhī bāt Rab un ke Ḳhudā ne Hajjī Nabī ko sunāne ko kahā thā use unhoṅ ne mān liyā. Rab kā ḳhauf pūrī qaum par tārī huā. | |
Hagg | UrduGeoR | 1:13 | Tab Rab ne apne paiġhambar Hajjī kī mārifat unheṅ yih paiġhām diyā, “Rab farmātā hai, maiṅ tumhāre sāth hūṅ.” | |
Hagg | UrduGeoR | 1:14 | Yoṅ Rab ne Yahūdāh ke gawarnar Zarubbābal bin Siyāltiyel, imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq aur qaum ke bache hue hisse ko Rab ke ghar kī tāmīr karne kī tahrīk dī. Dārā Bādshāh kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ wuh ā kar Rabbul-afwāj apne Ḳhudā ke ghar par kām karne lage. Chhaṭe mahīne kā 24wāṅ din thā. | |
Hagg | UrduGeoR | 1:15 | Yoṅ Rab ne Yahūdāh ke gawarnar Zarubbābal bin Siyāltiyel, imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq aur qaum ke bache hue hisse ko Rab ke ghar kī tāmīr karne kī tahrīk dī. Dārā Bādshāh kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ wuh ā kar Rabbul-afwāj apne Ḳhudā ke ghar par kām karne lage. Chhaṭe mahīne kā 24wāṅ din thā. | |
Chapter 2
Hagg | UrduGeoR | 2:2 | “Yahūdāh ke gawarnar Zarubbābal bin Siyāltiyel, imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq aur qaum ke bache hue hisse ko batā denā, | |
Hagg | UrduGeoR | 2:3 | ‘Tum meṅ se kis ko yād hai ki Rab kā ghar tabāh hone se pahle kitnā shāndār thā? Jo is waqt us kī jagah tāmīr ho rahā hai wuh tumheṅ kaisā lagtā hai? Rab ke pahle ghar kī nisbat yih kuchh bhī nahīṅ lagtā. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:4 | Lekin Rab farmātā hai ki ai Zarubbābal, hauslā raḳh! Ai imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq hauslā raḳh! Ai mulk ke tamām bāshindo, hauslā rakh kar apnā kām jārī rakho. Kyoṅki Rabbul-afwāj farmātā hai ki maiṅ tumhāre sāth hūṅ. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:5 | Jo ahd maiṅ ne Misr se nikalte waqt tum se bāndhā thā wuh qāym rahegā. Merā Rūh tumhāre darmiyān hī rahegā. Ḍaro mat! | |
Hagg | UrduGeoR | 2:6 | Rabbul-afwāj farmātā hai ki thoṛī der ke bād maiṅ ek bār phir āsmān-o-zamīn aur bahr-o-barr ko hilā dūṅgā. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:7 | Tab tamām aqwām laraz uṭheṅgī, un ke beshqīmat ḳhazāne idhar lāe jāeṅge, aur maiṅ is ghar ko apne jalāl se bhar dūṅgā. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:9 | Nayā ghar purāne ghar se kahīṅ zyādā shāndār hogā, aur maiṅ is jagah ko salāmatī atā karūṅga.’ Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai.” | |
Hagg | UrduGeoR | 2:10 | Dārā Bādshāh kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Hajjī par Rab kā ek aur kalām nāzil huā. Naweṅ mahīne kā 24wāṅ din thā. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:11 | “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Imāmoṅ se sawāl kar ki sharīat zail ke muāmale ke bāre meṅ kyā farmātī hai, | |
Hagg | UrduGeoR | 2:12 | agar koī shaḳhs maḳhsūs-o-muqaddas gosht apnī jholī meṅ ḍāl kar kahīṅ le jāe aur rāste meṅ jholī mai, zaitūn ke tel, roṭī yā mazīd kisī khāne wālī chīz se lag jāe to kyā khāne wālī yih chīz gosht se maḳhsūs-o-muqaddas ho jātī hai’?” Hajjī ne imāmoṅ ko yih sawāl pesh kiyā to unhoṅ ne jawāb diyā, “Nahīṅ.” | |
Hagg | UrduGeoR | 2:13 | Tab us ne mazīd pūchhā, “Agar koī kisī lāsh ko chhūne se nāpāk ho kar in khāne wālī chīzoṅ meṅ se kuchh chhue to kyā khāne wālī chīz us se nāpāk ho jātī hai?” Imāmoṅ ne jawāb diyā, “Jī hāṅ.” | |
Hagg | UrduGeoR | 2:14 | Phir Hajjī ne kahā, “Rab farmātā hai ki merī nazar meṅ is qaum kā yihī hāl hai. Jo kuchh bhī yih karte aur qurbān karte haiṅ wuh nāpāk hai. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:15 | Lekin ab is bāt par dhyān do ki āj se hālāt kaise hoṅge. Rab ke ghar kī nae sire se buniyād rakhne se pahle hālāt kaise the? | |
Hagg | UrduGeoR | 2:16 | Jahāṅ tum fasal kī 20 boriyoṅ kī ummīd rakhte the wahāṅ sirf 10 hāsil huīṅ. Jahāṅ tum angūroṅ ko kuchal kar ras ke 100 liṭar kī tawaqqo rakhte the wahāṅ sirf 40 liṭar nikle.” | |
Hagg | UrduGeoR | 2:17 | Rab farmātā hai, “Terī mehnat-mashaqqat zāe huī, kyoṅki maiṅ ne patrog, phaphūṅdī aur oloṅ se tumhārī paidāwār ko nuqsān pahuṅchāyā. To bhī tum ne taubā karke merī taraf rujū na kiyā. | |
Hagg | UrduGeoR | 2:18 | Lekin ab tawajjuh do ki tumhārā hāl āj yānī naweṅ mahīne ke 24weṅ din se kaisā hogā. Is din Rab ke ghar kī buniyād rakhī gaī, is lie ġhaur karo | |
Hagg | UrduGeoR | 2:19 | ki kyā āindā bhī godām meṅ jamāshudā bīj zāe ho jāegā, ki kyā āindā bhī angūr, anjīr, anār aur zaitūn kā phal na hone ke barābar hogā. Kyoṅki āj se maiṅ tumheṅ barkat dūṅgā.” | |
Hagg | UrduGeoR | 2:22 | Maiṅ shāhī taḳhtoṅ ko ulaṭ kar ajnabī saltanatoṅ kī tāqat tabāh kar dūṅgā. Maiṅ rathoṅ ko un ke rathbānoṅ samet ulaṭ dūṅgā, aur ghoṛe apne sawāroṅ samet gir jāeṅge. Har ek apne bhāī kī talwār se maregā.” | |