Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MARK
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 3
Mark UrduGeoR 3:1  Kisī aur waqt jab Īsā ibādatḳhāne meṅ gayā to wahāṅ ek ādmī thā jis kā hāth sūkhā huā thā.
Mark UrduGeoR 3:2  Sabat kā din thā aur log baṛe ġhaur se dekh rahe the ki kyā Īsā us ādmī ko āj bhī shifā degā. Kyoṅki wuh is par ilzām lagāne kā koī bahānā talāsh kar rahe the.
Mark UrduGeoR 3:3  Īsā ne sūkhe hāth wāle ādmī se kahā, “Uṭh, darmiyān meṅ khaṛā ho.”
Mark UrduGeoR 3:4  Phir Īsā ne un se pūchhā, “Mujhe batāo, sharīat hameṅ Sabat ke din kyā karne kī ijāzat detī hai, nek kām karne kī yā ġhalat kām karne kī, kisī kī jān bachāne kī yā use tabāh karne kī?” Sab ḳhāmosh rahe.
Mark UrduGeoR 3:5  Wuh ġhusse se apne irdgird ke logoṅ kī taraf deḳhne lagā. Un kī saḳhtdilī us ke lie baṛe dukh kā bāis ban rahī thī. Phir us ne ādmī se kahā, “Apnā hāth āge baṛhā.” Us ne aisā kiyā to us kā hāth bahāl ho gayā.
Mark UrduGeoR 3:6  Is par Farīsī bāhar nikal kar sīdhe Herodes kī pārṭī ke afrād ke sāth mil kar Īsā ko qatl karne kī sāzisheṅ karne lage.
Mark UrduGeoR 3:7  Lekin Īsā wahāṅ se haṭ kar apne shāgirdoṅ ke sāth jhīl ke pās gayā. Ek baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā. Log na sirf Galīl ke ilāqe se āe balki bahut-sī aur jaghoṅ yānī Yahūdiyā,
Mark UrduGeoR 3:8  Yarūshalam, Idūmayā, Dariyā-e-Yardan ke pār aur Sūr aur Saidā ke ilāqe se bhī. Wajah yih thī ki Īsā ke kām kī ḳhabar un ilāqoṅ tak bhī pahuṅch chukī thī aur natīje meṅ bahut-se log wahāṅ se bhī āe.
Mark UrduGeoR 3:9  Īsā ne shāgirdoṅ se kahā, “Ehtiyātan ek kashtī us waqt ke lie taiyār kar rakho jab hujūm mujhe had se zyādā dabāne lagegā.”
Mark UrduGeoR 3:10  Kyoṅki us din us ne bahutoṅ ko shifā dī thī, is lie jise bhī koī taklīf thī wuh dhakke de de kar us ke pās āyā tāki use chhū sake.
Mark UrduGeoR 3:11  Aur jab bhī nāpāk rūhoṅ ne Īsā ko dekhā to wuh us ke sāmne gir kar chīḳheṅ mārne lagīṅ, “Āp Allāh ke Farzand haiṅ.”
Mark UrduGeoR 3:12  Lekin Īsā ne unheṅ saḳhtī se ḍāṅṭ kar kahā ki wuh use zāhir na kareṅ.
Mark UrduGeoR 3:13  Is ke bād Īsā ne pahāṛ par chaṛh kar jinheṅ wuh chāhtā thā unheṅ apne pās bulā liyā. Aur wuh us ke pās āe.
Mark UrduGeoR 3:14  Us ne un meṅ se bārah ko chun liyā. Unheṅ us ne apne rasūl muqarrar kar liyā tāki wuh us ke sāth chaleṅ aur wuh unheṅ munādī karne ke lie bhej sake.
Mark UrduGeoR 3:15  Us ne unheṅ badrūheṅ nikālne kā iḳhtiyār bhī diyā.
Mark UrduGeoR 3:16  Jin bārah ko us ne muqarrar kiyā un ke nām yih haiṅ: Shamāūn jis kā laqab us ne Patras rakhā,
Mark UrduGeoR 3:17  Zabdī ke beṭe Yāqūb aur Yūhannā jin kā laqab Īsā ne ‘Bādal kī Garaj ke Beṭe’ rakhā,
Mark UrduGeoR 3:18  Andriyās, Filippus, Bartulmāī, Mattī, Tomā, Yāqūb bin Halfaī, Taddī, Shamāūn Mujāhid
Mark UrduGeoR 3:19  aur Yahūdāh Iskariyotī jis ne bād meṅ use dushman ke hawāle kar diyā.
Mark UrduGeoR 3:20  Phir Īsā kisī ghar meṅ dāḳhil huā. Is bār bhī itnā hujūm jamā ho gayā ki Īsā ko apne shāgirdoṅ samet khānā khāne kā mauqā bhī na milā.
Mark UrduGeoR 3:21  Jab us ke ḳhāndān ke afrād ne yih sunā to wuh use pakaṛ kar le jāne ke lie āe, kyoṅki unhoṅ ne kahā, “Wuh hosh meṅ nahīṅ hai.”
Mark UrduGeoR 3:22  Lekin sharīat ke jo ālim Yarūshalam se āe the unhoṅ ne kahā, “Yih badrūhoṅ ke sardār Bāl-zabūl ke qabze meṅ hai. Usī kī madad se badrūhoṅ ko nikāl rahā hai.”
Mark UrduGeoR 3:23  Phir Īsā ne unheṅ apne pās bulā kar tamsīloṅ meṅ jawāb diyā. “Iblīs kis tarah Iblīs ko nikāl saktā hai?
Mark UrduGeoR 3:24  Jis bādshāhī meṅ phūṭ paṛ jāe wuh qāym nahīṅ rah saktī.
Mark UrduGeoR 3:25  Aur jis gharāne kī aisī hālat ho wuh bhī qāym nahīṅ rah saktā.
Mark UrduGeoR 3:26  Isī tarah agar Iblīs apne āp kī muḳhālafat kare aur yoṅ us meṅ phūṭ paṛ jāe to wuh qāym nahīṅ rah saktā balki ḳhatm ho chukā hai.
Mark UrduGeoR 3:27  Kisī zorāwar ādmī ke ghar meṅ ghus kar us kā māl-o-asbāb lūṭnā us waqt tak mumkin nahīṅ hai jab tak us ādmī ko bāndhā na jāe. Phir hī use lūṭā jā saktā hai.
Mark UrduGeoR 3:28  Maiṅ tum se sach kahtā hūṅ ki logoṅ ke tamām gunāh aur kufr kī bāteṅ muāf kī jā sakeṅgī, ḳhāh wuh kitnā hī kufr kyoṅ na bakeṅ.
Mark UrduGeoR 3:29  Lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bake use abad tak muāfī nahīṅ milegī. Wuh ek abadī gunāh kā qusūrwār ṭhahregā.”
Mark UrduGeoR 3:30  Īsā ne yih is lie kahā kyoṅki ālim kah rahe the ki wuh kisī badrūh kī girift meṅ hai.
Mark UrduGeoR 3:31  Phir Īsā kī māṅ aur bhāī pahuṅch gae. Bāhar khaṛe ho kar unhoṅ ne kisī ko use bulāne ko bhej diyā.
Mark UrduGeoR 3:32  Us ke irdgird hujūm baiṭhā thā. Unhoṅ ne kahā, “Āp kī māṅ aur bhāī bāhar āp ko bulā rahe haiṅ.”
Mark UrduGeoR 3:33  Īsā ne pūchhā, “Kaun merī māṅ aur kaun mere bhāī haiṅ?”
Mark UrduGeoR 3:34  Aur apne gird baiṭhe logoṅ par nazar ḍāl kar us ne kahā, “Dekho, yih merī māṅ aur mere bhāī haiṅ.
Mark UrduGeoR 3:35  Jo bhī Allāh kī marzī pūrī kartā hai wuh merā bhāī, merī bahan aur merī māṅ hai.”