Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ROMANS
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 9
Roma UrduGeoR 9:1  Maiṅ Masīh meṅ sach kahtā hūṅ, jhūṭ nahīṅ boltā, aur merā zamīr bhī Rūhul-quds meṅ is kī gawāhī detā hai
Roma UrduGeoR 9:2  ki maiṅ dil meṅ apne Yahūdī hamwatanoṅ ke lie shadīd ġham aur musalsal dard mahsūs kartā hūṅ.
Roma UrduGeoR 9:3  Kāsh mere bhāī aur ḳhūnī rishtedār najāt pāeṅ! Is ke lie maiṅ ḳhud malaūn aur Masīh se judā hone ke lie bhī taiyār hūṅ.
Roma UrduGeoR 9:4  Allāh ne unhīṅ ko jo Isrāīlī haiṅ apne farzand banane ke lie muqarrar kiyā thā. Unhīṅ par us ne apnā jalāl zāhir kiyā, unhīṅ ke sāth apne ahd bāndhe aur unhīṅ ko sharīat atā kī. Wuhī haqīqī ibādat aur Allāh ke wādoṅ ke haqdār haiṅ,
Roma UrduGeoR 9:5  wuhī Ibrāhīm aur Yāqūb kī aulād haiṅ aur unhīṅ meṅ se jismānī lihāz se Masīh āyā. Allāh kī tamjīd-o-tārīf abad tak ho jo sab par hukūmat kartā hai! Āmīn.
Roma UrduGeoR 9:6  Kahne kā matlab yih nahīṅ ki Allāh apnā wādā pūrā na kar sakā. Bāt yih nahīṅ hai balki yih ki wuh sab haqīqī Isrāīlī nahīṅ haiṅ jo Isrāīlī qaum se haiṅ.
Roma UrduGeoR 9:7  Aur sab Ibrāhīm kī haqīqī aulād nahīṅ haiṅ jo us kī nasl se haiṅ. Kyoṅki Allāh ne kalām-e-muqaddas meṅ Ibrāhīm se farmāyā, “Terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.”
Roma UrduGeoR 9:8  Chunāṅche lāzim nahīṅ ki Ibrāhīm kī tamām fitratī aulād Allāh ke farzand hoṅ balki sirf wuhī Ibrāhīm kī haqīqī aulād samjhe jāte haiṅ jo Allāh ke wāde ke mutābiq us ke farzand ban gae haiṅ.
Roma UrduGeoR 9:9  Aur wādā yih thā, “Muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.”
Roma UrduGeoR 9:10  Lekin na sirf Sārā ke sāth aisā huā balki Is'hāq kī bīwī Ribqā ke sāth bhī. Ek hī mard yānī hamāre bāp Is'hāq se us ke juṛwāṅ bachche paidā hue.
Roma UrduGeoR 9:11  Lekin bachche abhī paidā nahīṅ hue the na unhoṅ ne koī nek yā burā kām kiyā thā ki māṅ ko Allāh se ek paiġhām milā. Is paiġhām se zāhir hotā hai ki Allāh logoṅ ko apne irāde ke mutābiq chun letā hai.
Roma UrduGeoR 9:12  Aur us kā yih chunāo un ke nek āmāl par mabnī nahīṅ hotā balki us ke bulāwe par. Paiġhām yih thā, “Baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.”
Roma UrduGeoR 9:13  Yih bhī kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Yāqūb mujhe pyārā thā, jabki Esau se maiṅ mutanaffir rahā.”
Roma UrduGeoR 9:14  Kyā is kā matlab yih hai ki Allāh be'insāf hai? Hargiz nahīṅ!
Roma UrduGeoR 9:15  Kyoṅki us ne Mūsā se kahā, “Maiṅ jis par mehrbān honā chāhūṅ us par mehrbān hotā hūṅ aur jis par rahm karnā chāhūṅ us par rahm kartā hūṅ.”
Roma UrduGeoR 9:16  Chunāṅche sab kuchh Allāh ke rahm par hī mabnī hai. Is meṅ insān kī marzī yā koshish kā koī daḳhl nahīṅ.
Roma UrduGeoR 9:17  Yoṅ Allāh apne kalām meṅ Misr ke bādshāh Firaun se muḳhātib ho kar farmātā hai, “Maiṅ ne tujhe is lie barpā kiyā hai ki tujh meṅ apnī qudrat kā izhār karūṅ aur yoṅ tamām duniyā meṅ mere nām kā prachār kiyā jāe.”
Roma UrduGeoR 9:18  Ġharz, yih Allāh hī kī marzī hai ki wuh kis par rahm kare aur kis ko saḳht kar de.
Roma UrduGeoR 9:19  Shāyad koī kahe, “Agar yih bāt hai to phir Allāh kis tarah ham par ilzām lagā saktā hai jab ham se ġhaltiyāṅ hotī haiṅ? Ham to us kī marzī kā muqābalā nahīṅ kar sakte.”
Roma UrduGeoR 9:20  Yih na kaheṅ. Āp insān hote hue kaun haiṅ ki Allāh ke sāth bahs-mubāhasā kareṅ? Kyā jis ko tashkīl diyā gayā hai wuh tashkīl dene wāle se kahtā hai, “Tū ne mujhe is tarah kyoṅ banā diyā?”
Roma UrduGeoR 9:21  Kyā kumhār kā haq nahīṅ hai ki gāre ke ek hī launde se muḳhtalif qism ke bartan banāe, kuchh bā-izzat istemāl ke lie aur kuchh zillatāmez istemāl ke lie?
Roma UrduGeoR 9:22  Yih bāt Allāh par bhī sādiq ātī hai. Go wuh apnā ġhazab nāzil karnā aur apnī qudrat zāhir karnā chāhtā thā, lekin us ne baṛe sabr-o-tahammul se wuh bartan bardāsht kie jin par us kā ġhazab ānā hai aur jo halākat ke lie taiyār kie gae haiṅ.
Roma UrduGeoR 9:23  Us ne yih is lie kiyā tāki apnā jalāl kasrat se un bartanoṅ par zāhir kare jin par us kā fazl hai aur jo pahle se jalāl pāne ke lie taiyār kie gae haiṅ.
Roma UrduGeoR 9:24  Aur ham un meṅ se haiṅ jin ko us ne chun liyā hai, na sirf Yahūdiyoṅ meṅ se balki Ġhairyahūdiyoṅ meṅ se bhī.
Roma UrduGeoR 9:25  Yoṅ wuh Ġhairyahūdiyoṅ ke nāte se Hosea kī kitāb meṅ farmātā hai, “Maiṅ use ‘Merī Qaum’ kahūṅgā jo merī qaum na thī, aur use ‘Merī Pyārī’ kahūṅgā jo mujhe pyārī na thī.”
Roma UrduGeoR 9:26  Aur “Jahāṅ unheṅ batāyā gayā ki ‘Tum merī qaum nahīṅ’ wahāṅ wuh ‘Zindā Ḳhudā ke Farzand’ kahlāeṅge.”
Roma UrduGeoR 9:27  Aur Yasāyāh Nabī Isrāīl ke bāre meṅ pukārtā hai, “Go Isrāīlī sāhil par kī ret jaise beshumār kyoṅ na hoṅ to bhī sirf ek bache hue hisse ko najāt milegī.
Roma UrduGeoR 9:28  Kyoṅki Rab apnā farmān mukammal taur par aur tezī se duniyā meṅ pūrā karegā.”
Roma UrduGeoR 9:29  Yasāyāh ne yih bāt ek aur peshgoī meṅ bhī kī, “Agar Rabbul-afwāj hamārī kuchh aulād zindā na chhoṛtā to ham Sadūm kī tarah miṭ jāte, hamārā Amūrā jaisā satyānās ho jātā.”
Roma UrduGeoR 9:30  Is se ham kyā kahnā chāhte haiṅ? Yih ki go Ġhairyahūdī rāstbāzī kī talāsh meṅ na the to bhī unheṅ rāstbāzī hāsil huī, aisī rāstbāzī jo īmān se paidā huī.
Roma UrduGeoR 9:31  Is ke baraks Isrāīliyoṅ ko yih hāsil na huī, hālāṅki wuh aisī sharīat kī talāsh meṅ rahe jo unheṅ rāstbāz ṭhahrāe.
Roma UrduGeoR 9:32  Is kī kyā wajah thī? Yih ki wuh apnī tamām koshishoṅ meṅ īmān par inhisār nahīṅ karte the balki apne nek āmāl par. Unhoṅ ne rāh meṅ paṛe patthar se ṭhokar khāī.
Roma UrduGeoR 9:33  Yih bāt kalām-e-muqaddas meṅ likhī bhī hai, “Dekho maiṅ Siyyūn meṅ ek patthar rakh detā hūṅ jo ṭhokar kā bāis banegā, ek chaṭān jo ṭhes lagne kā sabab hogī. Lekin jo us par īmān lāegā use sharmindā nahīṅ kiyā jāegā.”