Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EXODUS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 35
Exod UrduGeoR 35:1  Mūsā ne Isrāīl kī pūrī jamāt ko ikaṭṭhā karke kahā, “Rab ne tum ko yih hukm die haiṅ:
Exod UrduGeoR 35:2  Chhih din kām-kāj kiyā jāe, lekin sātwāṅ din maḳhsūs-o-muqaddas ho. Wuh Rab ke lie ārām kā Sabat hai. Jo bhī is din kām kare use sazā-e-maut dī jāe.
Exod UrduGeoR 35:3  Hafte ke din apne tamām gharoṅ meṅ āg tak na jalānā.”
Exod UrduGeoR 35:4  Mūsā ne Isrāīl kī pūrī jamāt se kahā, “Rab ne hidāyat dī hai
Exod UrduGeoR 35:5  ki jo kuchh tumhāre pās hai us meṅ se hadiye lā kar Rab ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karo. Jo bhī dilī ḳhushī se denā chāhe wuh in chīzoṅ meṅ se kuchh de: sonā, chāṅdī, pītal;
Exod UrduGeoR 35:6  nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl,
Exod UrduGeoR 35:7  menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ, taḳhas kī khāleṅ, kīkar kī lakaṛī,
Exod UrduGeoR 35:8  shamādān ke lie zaitūn kā tel, masah karne ke lie tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle,
Exod UrduGeoR 35:9  aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge.
Exod UrduGeoR 35:10  Tum meṅ se jitne māhir kārīgar haiṅ wuh ā kar wuh kuchh banāeṅ jo Rab ne farmāyā
Exod UrduGeoR 35:11  yānī ḳhaimā aur wuh ġhilāf jo us ke ūpar lagāe jāeṅge, hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aur pāe,
Exod UrduGeoR 35:12  ahd kā sandūq, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us ke kaffāre kā ḍhaknā, Muqaddastarīn Kamre ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 35:13  maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ,
Exod UrduGeoR 35:14  shamādān aur us par rakhne ke charāġh us ke sāmān samet, shamādān ke lie tel,
Exod UrduGeoR 35:15  baḳhūr jalāne kī qurbāngāh, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr, muqaddas ḳhaime ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 35:16  jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā pītal kā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhā jātā hai,
Exod UrduGeoR 35:17  chārdīwārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 35:18  ḳhaime aur chārdīwārī kī meḳheṅ aur rasse,
Exod UrduGeoR 35:19  aur wuh muqaddas libās jo Hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḳhidmat karne ke lie pahante haiṅ.”
Exod UrduGeoR 35:20  Yih sun kar Isrāīl kī pūrī jamāt Mūsā ke pās se chalī gaī.
Exod UrduGeoR 35:21  Aur jo jo dilī ḳhushī se denā chāhtā thā wuh mulāqāt ke ḳhaime, us ke sāmān yā imāmoṅ ke kapṛoṅ ke lie koī hadiyā le kar wāpas āyā.
Exod UrduGeoR 35:22  Rab ke hadiye ke lie mard aur ḳhawātīn dilī ḳhushī se apne sone ke zewarāt masalan jaṛāū pineṅ, bāliyāṅ aur chhalle le āe.
Exod UrduGeoR 35:23  Jis jis ke pās darkār chīzoṅ meṅ se kuchh thā wuh use Mūsā ke pās le āyā yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ aur taḳhas kī khāleṅ.
Exod UrduGeoR 35:24  Chāṅdī, pītal aur kīkar kī lakaṛī bhī hadiye ke taur par lāī gaī.
Exod UrduGeoR 35:25  Aur jitnī aurateṅ kātne meṅ māhir thīṅ wuh apnī kātī huī chīzeṅ le āīṅ yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā aur bārīk katān.
Exod UrduGeoR 35:26  Isī tarah jo jo aurat bakrī ke bāl kātne meṅ māhir thī aur dilī ḳhushī se maqdis ke lie kām karnā chāhtī thī wuh yih kāt kar le āī.
Exod UrduGeoR 35:27  Sardār aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar le āe jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse ke lie darkār the.
Exod UrduGeoR 35:28  Wuh shamādān, masah ke tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle aur zaitūn kā tel bhī le āe.
Exod UrduGeoR 35:29  Yoṅ Isrāīl ke tamām mard aur ḳhawātīn jo dilī ḳhushī se Rab ko kuchh denā chāhte the us sāre kām ke lie hadiye le āe jo Rab ne Mūsā kī mārifat karne ko kahā thā.
Exod UrduGeoR 35:30  Phir Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Rab ne Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ko chun liyā hai.
Exod UrduGeoR 35:31  Us ne use ilāhī Rūh se māmūr karke hikmat, samajh aur tāmīr ke har kām ke lie darkār ilm de diyā hai.
Exod UrduGeoR 35:32  Wuh naqshe banā kar un ke mutābiq sone, chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktā hai.
Exod UrduGeoR 35:33  Wuh jawāhar ko kāṭ kar jaṛne kī qābiliyat rakhtā hai. Wuh lakaṛī ko tarāsh kar us se muḳhtalif chīzeṅ banā saktā hai. Wuh bahut sāre aur kāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai.
Exod UrduGeoR 35:34  Sāth hī Rab ne use aur Dān ke qabīle ke Uhliyāb bin Aḳhīsamak ko dūsroṅ ko sikhāne kī qābiliyat bhī dī hai.
Exod UrduGeoR 35:35  Us ne unheṅ wuh mahārat aur hikmat dī hai jo har kām ke lie darkār hai yānī kārīgarī ke har kām ke lie, kaṛhāī ke kām ke lie, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne ke lie aur bunāī ke kām ke lie. Wuh māhir kārīgar haiṅ aur naqshe bhī banā sakte haiṅ.