Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EXODUS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 36
Exod UrduGeoR 36:1  Lāzim hai ki Bazliyel, Uhliyāb aur bāqī kārīgar jin ko Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur samajh dī hai sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq banāeṅ jo Rab ne dī haiṅ.”
Exod UrduGeoR 36:2  Mūsā ne Bazliyel aur Uhliyāb ko bulāyā. Sāth hī us ne har us kārīgar ko bhī bulāyā jise Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur mahārat dī thī aur jo ḳhushī se ānā aur yih kām karnā chāhtā thā.
Exod UrduGeoR 36:3  Unheṅ Mūsā se tamām hadiye mile jo Isrāīlī maqdis kī tāmīr ke lie lāe the. Is ke bād bhī log roz baroz subah ke waqt hadiye lāte rahe.
Exod UrduGeoR 36:4  Āḳhirkār tamām kārīgar jo maqdis banāne ke kām meṅ lage the apnā kām chhoṛ kar Mūsā ke pās āe.
Exod UrduGeoR 36:5  Unhoṅ ne kahā, “Log had se zyādā lā rahe haiṅ. Jis kām kā hukm Rab ne diyā hai us ke lie itne sāmān kī zarūrat nahīṅ hai.”
Exod UrduGeoR 36:6  Tab Mūsā ne pūrī ḳhaimāgāh meṅ elān karwā diyā ki koī mard yā aurat maqdis kī tāmīr ke lie ab kuchh na lāe. Yoṅ unheṅ mazīd chīzeṅ lāne se rokā gayā,
Exod UrduGeoR 36:7  kyoṅki kām ke lie sāmān zarūrat se zyādā ho gayā thā.
Exod UrduGeoR 36:8  Jo kārīgar mahārat rakhte the unhoṅ ne ḳhaime ko banāyā. Unhoṅ ne bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī dhāge se das parde banāe. Pardoṅ par kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banāyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:9  Har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 36:10  Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. Yoṅ do baṛe ṭukṛe ban gae.
Exod UrduGeoR 36:11  Donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke lie unhoṅ ne nīle dhāge ke halqe banāe. Yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre par lagāe gae.
Exod UrduGeoR 36:12  Ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne the.
Exod UrduGeoR 36:13  Phir Bazliyel ne sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqoṅ ko ek dūsre ke sāth milāyā. Yoṅ donoṅ ṭukṛoṅ ke joṛne se ḳhaimā ban gayā.
Exod UrduGeoR 36:14  Us ne bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banāe jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhnā thā.
Exod UrduGeoR 36:15  Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 36:16  Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur is tarah bāqī chhih bhī.
Exod UrduGeoR 36:17  In donoṅ ṭukṛoṅ ko milāne ke lie us ne har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagāe.
Exod UrduGeoR 36:18  Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar us ne donoṅ hisse milāe.
Exod UrduGeoR 36:19  Ek dūsre ke ūpar ke donoṅ ḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie Bazliyel ne do aur ġhilāf banāe. Bakrī ke bāloṅ ke ḳhaime par rakhne ke lie us ne menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ joṛ dīṅ aur us ke ūpar rakhne ke lie taḳhas kī khāleṅ milāīṅ.
Exod UrduGeoR 36:20  Is ke bād us ne kīkar kī lakaṛī ke taḳhte banāe jo ḳhaime kī dīwāroṅ kā kām dete the.
Exod UrduGeoR 36:21  Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī sawā do fuṭ.
Exod UrduGeoR 36:22  Har taḳhte ke nīche do do chūleṅ thīṅ. In chūloṅ se har taḳhte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛā jātā thā tāki taḳhtā khaṛā rahe.
Exod UrduGeoR 36:23  Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhte banāe gae
Exod UrduGeoR 36:24  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe bhī jin par taḳhte khaṛe kie jāte the. Har taḳhte ke nīche do pāe the, aur har pāe meṅ ek chūl lagtī thī.
Exod UrduGeoR 36:25  Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhte banāe gae
Exod UrduGeoR 36:26  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe jo taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie the. Har taḳhte ke nīche do pāe the.
Exod UrduGeoR 36:27  Ḳhaime kī pichhlī yānī maġhribī dīwār ke lie chhih taḳhte banāe gae.
Exod UrduGeoR 36:28  Is dīwār ko shimālī aur junūbī dīwāroṅ ke sāth joṛne ke lie kone wāle do taḳhte banāe gae.
Exod UrduGeoR 36:29  In do taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā thā tāki ek se shimālī dīwār maġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwār ke sāth. In ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie gae.
Exod UrduGeoR 36:30  Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do pāe.
Exod UrduGeoR 36:31  Phir Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāne ke lie the ki un se taḳhte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ.
Exod UrduGeoR 36:32  Phir Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāne ke lie the ki un se taḳhte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ.
Exod UrduGeoR 36:33  Darmiyānī shahtīr yoṅ banāyā gayā ki wuh dīwār kī ādhī ūṅchāī par dīwār ke ek sire se dūsre sire tak lag saktā thā.
Exod UrduGeoR 36:34  Us ne tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ par sonā chaṛhāyā. Shahtīroṅ ko taḳhtoṅ ke sāth lagāne ke lie us ne sone ke kaṛe banāe jo taḳhtoṅ meṅ lagāne the.
Exod UrduGeoR 36:35  Ab Bazliyel ne ek aur pardā banāyā. Us ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl huā. Us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banāyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:36  Phir us ne parde ko laṭkāne ke lie kīkar kī lakaṛī ke chār satūn, sone kī hukeṅ aur chāṅdī ke chār pāe banāe. Satūnoṅ par sonā chaṛhāyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:37  Bazliyel ne ḳhaime ke darwāze ke lie bhī pardā banāyā. Wuh bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:38  Is parde ko laṭkāne ke lie us ne sone kī hukeṅ aur kīkar kī lakaṛī ke pāṅch satūn banāe. Satūnoṅ ke ūpar ke siroṅ aur paṭṭiyoṅ par sonā chaṛhāyā gayā jabki un ke pāe pītal ke the.