Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
II THESSALONIANS
Up
1 2 3
Toggle notes
Chapter 1
II T UrduGeoR 1:1  Yih ḳhat Paulus, Silwānus aur Tīmuthiyus kī taraf se hai. Ham Thissalunīkiyoṅ kī jamāt ko likh rahe haiṅ, unheṅ jo Allāh hamāre Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh par īmān lāe haiṅ.
II T UrduGeoR 1:2  Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī baḳhsheṅ.
II T UrduGeoR 1:3  Bhāiyo, wājib hai ki ham har waqt āp ke lie Ḳhudā kā shukr kareṅ. Hāṅ, yih mauzūṅ hai, kyoṅki āp kā īmān hairatangez taraqqī kar rahā hai aur āp sab kī ek dūsre se muhabbat baṛh rahī hai.
II T UrduGeoR 1:4  Yihī wajah hai ki ham Allāh kī dīgar jamātoṅ meṅ āp par faḳhr karte haiṅ. Hāṅ, ham faḳhr karte haiṅ ki āp in dinoṅ meṅ kitnī sābitqadmī aur īmān dikhā rahe haiṅ hālāṅki āp bahut īzārasāniyāṅ aur musībateṅ bardāsht kar rahe haiṅ.
II T UrduGeoR 1:5  Yih sab kuchh sābit kartā hai ki Allāh kī adālat rāst hai, aur natīje meṅ āp us kī bādshāhī ke lāyq ṭhahreṅge, jis ke lie āp ab dukh uṭhā rahe haiṅ.
II T UrduGeoR 1:6  Allāh wuhī kuchh karegā jo rāst hai. Wuh unheṅ musībatoṅ meṅ ḍāl degā jo āp ko musībat meṅ ḍāl rahe haiṅ,
II T UrduGeoR 1:7  aur āp ko jo musībat meṅ haiṅ hamāre samet ārām degā. Wuh yih us waqt karegā jab Ḳhudāwand Īsā apne qawī farishtoṅ ke sāth āsmān par se ā kar zāhir hogā
II T UrduGeoR 1:8  aur bhaṛaktī huī āg meṅ unheṅ sazā degā jo na Allāh ko jānte haiṅ, na hamāre Ḳhudāwand Īsā kī ḳhushḳhabrī ke tābe haiṅ.
II T UrduGeoR 1:9  Aise log abadī halākat kī sazā pāeṅge, wuh hameshā tak Ḳhudāwand kī huzūrī aur us kī jalālī qudrat se dūr ho jāeṅge.
II T UrduGeoR 1:10  Lekin us din Ḳhudāwand is lie bhī āegā ki apne muqaddasīn meṅ jalāl pāe aur tamām īmāndāroṅ meṅ hairat kā bāis ho. Āp bhī un meṅ shāmil hoṅge, kyoṅki āp us par īmān lāe jis kī gawāhī ham ne āp ko dī.
II T UrduGeoR 1:11  Yih pesh-e-nazar rakh kar ham lagātār āp ke lie duā karte haiṅ. Hamārā Ḳhudā āp ko us bulāwe ke lāyq ṭhahrāe jis ke lie āp ko bulāyā gayā hai. Aur wuh apnī qudrat se āp kī nekī karne kī har ḳhāhish aur āp ke īmān kā har kām takmīl tak pahuṅchāe.
II T UrduGeoR 1:12  Kyoṅki is tarah hī hamāre Ḳhudāwand Īsā kā nām āp meṅ jalāl pāegā aur āp bhī us meṅ jalāl pāeṅge, us fazl ke mutābiq jo hamāre Ḳhudā aur Ḳhudāwand Īsā Masīh ne āp ko diyā hai.
Chapter 2
II T UrduGeoR 2:1  Bhāiyo, yih sawāl uṭhā hai ki hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī āmad kaisī hogī? Ham kis tarah us ke sāth jamā ho jāeṅge? Is nāte se hamārī āp se darḳhāst hai
II T UrduGeoR 2:2  ki jab log kahte haiṅ ki Ḳhudāwand kā din ā chukā hai to āp jaldī se bechain yā pareshān na ho jāeṅ. Un kī bāt na māneṅ, chāhe wuh yih dāwā bhī kareṅ ki un ke pās hamārī taraf se koī nabuwwat, paiġhām yā ḳhat hai.
II T UrduGeoR 2:3  Koī bhī āp ko kisī bhī chāl se fareb na de, kyoṅki yih din us waqt tak nahīṅ āegā jab tak āḳhirī baġhāwat pesh na āe aur “Bedīnī kā ādmī” zāhir na ho jāe, wuh jis kā anjām halākat hogā.
II T UrduGeoR 2:4  Wuh har ek kī muḳhālafat karegā jo Ḳhudā aur mābūd kahlātā hai aur apne āp ko un sab se baṛā ṭhahrāegā. Hāṅ, wuh Allāh ke ghar meṅ baiṭh kar elān karegā, “Maiṅ Allāh hūṅ.”
II T UrduGeoR 2:5  Kyā āp ko yād nahīṅ ki maiṅ āp ko yih batātā rahā jab abhī āp ke pās thā?
II T UrduGeoR 2:6  Aur ab āp jānte haiṅ ki kyā kuchh use rok rahā hai tāki wuh apne muqarrarā waqt par zāhir ho jāe.
II T UrduGeoR 2:7  Kyoṅki yih purasrār bedīnī ab bhī asar kar rahī hai. Lekin yih us waqt tak zāhir nahīṅ hogī jab tak wuh shaḳhs haṭ na jāe jo ab tak use rok rahā hai.
II T UrduGeoR 2:8  Phir hī “Bedīnī kā ādmī” zāhir hogā. Lekin jab Ḳhudāwand Īsā āegā to wuh use apne muṅh kī phūṅk se mār ḍālegā, zāhir hone par hī wuh use halāk kar degā.
II T UrduGeoR 2:9  “Bedīnī ke ādmī” meṅ Iblīs kām karegā. Jab wuh āegā to har qism kī tāqat kā izhār karegā. Wuh jhūṭe nishān aur mojize pesh karegā.
II T UrduGeoR 2:10  Yoṅ wuh unheṅ har tarah ke sharīr fareb meṅ phaṅsāegā jo halāk hone wāle haiṅ. Log is lie halāk ho jāeṅge ki unhoṅ ne sachchāī se muhabbat karne se inkār kiyā, warnā wuh bach jāte.
II T UrduGeoR 2:11  Is wajah se Allāh unheṅ burī tarah se fareb meṅ phaṅsne detā hai tāki wuh is jhūṭ par īmān lāeṅ.
II T UrduGeoR 2:12  Natīje meṅ sab jo sachchāī par īmān na lāe balki nārāstī se lutfandoz hue mujrim ṭhahreṅge.
II T UrduGeoR 2:13  Mere bhāiyo, wājib hai ki ham har waqt āp ke lie Ḳhudā kā shukr kareṅ jinheṅ Ḳhudāwand pyār kartā hai. Kyoṅki Allāh ne āp ko shurū hī se najāt pāne ke lie chun liyā, aisī najāt ke lie jo Rūhul-quds se pākīzagī pā kar sachchāī par īmān lāne se hāsil hotī hai.
II T UrduGeoR 2:14  Allāh ne āp ko us waqt yih najāt pāne ke lie bulā liyā jab ham ne āp ko us kī ḳhushḳhabrī sunāī. Aur ab āp hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke jalāl meṅ sharīk ho sakte haiṅ.
II T UrduGeoR 2:15  Bhāiyo, is lie sābitqadam raheṅ aur un riwāyāt ko thāme rakheṅ jo ham ne āp ko sikhāī haiṅ, ḳhāh zabānī yā ḳhat ke zariye.
II T UrduGeoR 2:16  Hamārā Ḳhudāwand Īsā Masīh ḳhud aur Ḳhudā hamārā Bāp jis ne ham se muhabbat rakhī aur apne fazl se hameṅ abadī tasallī aur ṭhos ummīd baḳhshī
II T UrduGeoR 2:17  āp kī hauslā-afzāī kare aur yoṅ mazbūt kare ki āp hameshā wuh kuchh boleṅ aur kareṅ jo achchhā hai.
Chapter 3
II T UrduGeoR 3:1  Bhāiyo, ek āḳhirī bāt, hamāre lie duā kareṅ ki Ḳhudāwand kā paiġhām jaldī se phail jāe aur izzat pāe, bilkul usī tarah jis tarah āp ke darmiyān huā.
II T UrduGeoR 3:2  Is ke lie bhī duā kareṅ ki Allāh hameṅ ġhalat aur sharīr logoṅ se bachāe rakhe, kyoṅki sab to īmān nahīṅ rakhte.
II T UrduGeoR 3:3  Lekin Ḳhudāwand wafādār hai, aur wuhī āp ko mazbūt karke Iblīs se mahfūz rakhegā.
II T UrduGeoR 3:4  Ham Ḳhudāwand meṅ āp par etamād rakhte haiṅ ki āp wuh kuchh kar rahe haiṅ balki karte raheṅge jo ham ne āp ko karne ko kahā thā.
II T UrduGeoR 3:5  Ḳhudāwand āp ke diloṅ ko Allāh kī muhabbat aur Masīh kī sābitqadmī kī taraf māyl kartā rahe.
II T UrduGeoR 3:6  Bhāiyo, apne Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām meṅ ham āp ko hukm dete haiṅ ki har us bhāī se kinārā kareṅ jo beqāydā chaltā aur jo ham se pāī huī riwāyat ke mutābiq zindagī nahīṅ guzārtā.
II T UrduGeoR 3:7  Āp ḳhud jānte haiṅ ki āp ko kis tarah hamāre namūne par chalnā chāhie. Jab ham āp ke pās the to hamārī zindagī meṅ betartībī nahīṅ pāī jātī thī.
II T UrduGeoR 3:8  Ham ne kisī kā khānā bhī paise die baġhair na khāyā, balki din rāt saḳht mehnat-mashaqqat karte rahe tāki āp meṅ se kisī ke lie bojh na baneṅ.
II T UrduGeoR 3:9  Bāt yih nahīṅ ki hameṅ āp se muāwazā milne kā haq nahīṅ thā. Nahīṅ, ham ne aisā kiyā tāki ham āp ke lie achchhā namūnā baneṅ aur āp is namūne par chaleṅ.
II T UrduGeoR 3:10  Jab ham abhī āp ke pās the to ham ne āp ko hukm diyā, “Jo kām nahīṅ karnā chāhtā wuh khānā bhī na khāe.”
II T UrduGeoR 3:11  Ab hameṅ yih ḳhabar milī hai ki āp meṅ se bāz beqāydā zindagī guzārte haiṅ. Wuh kām nahīṅ karte balki dūsroṅ ke kāmoṅ meṅ ḳhāhmaḳhāh daḳhl dete haiṅ.
II T UrduGeoR 3:12  Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām meṅ ham aise logoṅ ko hukm dete aur samjhāte haiṅ ki ārām se kām karke apnī rozī kamāeṅ.
II T UrduGeoR 3:13  Bhāiyo, āp bhalāī karne se kabhī himmat na hāreṅ.
II T UrduGeoR 3:14  Agar koī is ḳhat meṅ darj hamārī hidāyat par amal na kare to us se tālluq na rakhnā tāki use sharm āe.
II T UrduGeoR 3:15  Lekin use dushman mat samajhnā balki use bhāī jān kar samjhānā.
II T UrduGeoR 3:16  Ḳhudāwand ḳhud jo salāmatī kā sarchashmā hai āp ko har waqt aur har tarah se salāmatī baḳhshe. Ḳhudāwand āp sab ke sāth ho.
II T UrduGeoR 3:17  Maiṅ, Paulus apne hāth se yih likh rahā hūṅ. Merī taraf se salām. Maiṅ isī tarīqe se apne har ḳhat par dastḳhat kartā aur isī tarah likhtā hūṅ.
II T UrduGeoR 3:18  Hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl āp sab ke sāth rahe.