Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 17
Job UrduGeoR 17:1  Merī rūh shikastā ho gaī, mere din bujh gae haiṅ. Qabristān hī mere intazār meṅ hai.
Job UrduGeoR 17:2  Mere chāroṅ taraf mazāq hī mazāq sunāī detā, merī āṅkheṅ logoṅ kā haṭdharm rawaiyā deḳhte deḳhte thak gaī haiṅ.
Job UrduGeoR 17:3  Ai Allāh, merī zamānat mere apne hāthoṅ se qabūl farmā, kyoṅki aur koī nahīṅ jo use de.
Job UrduGeoR 17:4  Un ke zahnoṅ ko tū ne band kar diyā, is lie to un se izzat nahīṅ pāegā.
Job UrduGeoR 17:5  Wuh us ādmī kī mānind haiṅ jo apne dostoṅ ko ziyāfat kī dāwat de, hālāṅki us ke apne bachche bhūke mar rahe hoṅ.
Job UrduGeoR 17:6  Allāh ne mujhe mazāq kā yoṅ nishānā banāyā hai ki maiṅ qaumoṅ meṅ ibratangez misāl ban gayā hūṅ. Mujhe deḳhte hī log mere muṅh par thūkte haiṅ.
Job UrduGeoR 17:7  Merī āṅkheṅ ġham khā khā kar dhundlā gaī haiṅ, mere āzā yahāṅ tak sūkh gae ki sāyā hī rah gayā hai.
Job UrduGeoR 17:8  Yih dekh kar sīdhī rāh par chalne wāloṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāte aur begunāh bedīnoṅ ke ḳhilāf mushta'il ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 17:9  Rāstbāz apnī rāh par qāym rahte, aur jin ke hāth pāk haiṅ wuh taqwiyat pāte haiṅ.
Job UrduGeoR 17:10  Lekin jahāṅ tak tum sab kā tālluq hai, āo dubārā mujh par hamlā karo! Mujhe tum meṅ ek bhī dānā ādmī nahīṅ milegā.
Job UrduGeoR 17:11  Mere din guzar gae haiṅ. Mere wuh mansūbe aur dil kī ārzueṅ ḳhāk meṅ mil gaī haiṅ
Job UrduGeoR 17:12  jin se rāt din meṅ badal gaī aur raushnī andhere ko dūr karke qarīb āī thī.
Job UrduGeoR 17:13  Agar maiṅ sirf itnī hī ummīd rakhūṅ ki Pātāl merā ghar hogā to yih kaisī ummīd hogī? Agar maiṅ apnā bistar tārīkī meṅ bichhā kar
Job UrduGeoR 17:14  qabr se kahūṅ, ‘Tū merā bāp hai’ aur kīṛe se, ‘Ai merī ammī, ai merī bahan’
Job UrduGeoR 17:15  to phir yih kaisī ummīd hogī? Kaun kahegā, ‘Mujhe tere lie ummīd nazar ātī hai’?
Job UrduGeoR 17:16  Tab merī ummīd mere sāth Pātāl meṅ utregī, aur ham mil kar ḳhāk meṅ dhaṅs jāeṅge.”