JOB
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
Chapter 38
Job | UrduGeoR | 38:2 | “Yih kaun hai jo samajh se ḳhālī bāteṅ karne se mere mansūbe ke sahīh matlab par pardā ḍāltā hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:3 | Mard kī tarah kamarbastā ho jā! Maiṅ tujh se sawāl kartā hūṅ, aur tū mujhe tālīm de. | |
Job | UrduGeoR | 38:4 | Tū kahāṅ thā jab maiṅ ne zamīn kī buniyād rakhī? Agar tujhe is kā ilm ho to mujhe batā! | |
Job | UrduGeoR | 38:5 | Kis ne us kī lambāī aur chauṛāī muqarrar kī? Kyā tujhe mālūm hai? Kis ne nāp kar us kī paimāish kī? | |
Job | UrduGeoR | 38:7 | us waqt jab subah ke sitāre mil kar shādiyānā bajā rahe, tamām farishte ḳhushī ke nāre lagā rahe the? | |
Job | UrduGeoR | 38:9 | Us waqt maiṅ ne bādaloṅ ko us kā libās banāyā aur use ghane andhere meṅ yoṅ lapeṭā jis tarah nauzād ko potaṛoṅ meṅ lapeṭā jātā hai. | |
Job | UrduGeoR | 38:11 | Maiṅ bolā, ‘Tujhe yahāṅ tak ānā hai, is se āge na baṛhnā, terī robdār lahroṅ ko yihīṅ ruknā hai.’ | |
Job | UrduGeoR | 38:14 | Us kī raushnī meṅ zamīn yoṅ tashkīl pātī hai jis tarah miṭṭī jis par muhr lagāī jāe. Sab kuchh rangdār libās pahne nazar ātā hai. | |
Job | UrduGeoR | 38:16 | Kyā tū samundar ke sarchashmoṅ tak pahuṅch kar us kī gahrāiyoṅ meṅ se guzarā hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:17 | Kyā maut ke darwāze tujh par zāhir hue, tujhe ghane andhere ke darwāze nazar āe haiṅ? | |
Job | UrduGeoR | 38:18 | Kyā tujhe zamīn ke wasī maidānoṅ kī pūrī samajh āī hai? Mujhe batā agar yih sab kuchh jāntā hai! | |
Job | UrduGeoR | 38:19 | Raushnī ke mambā tak le jāne wālā rāstā kahāṅ hai? Andhere kī rihāishgāh kahāṅ hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:20 | Kyā tū unheṅ un ke maqāmoṅ tak pahuṅchā saktā hai? Kyā tū un ke gharoṅ tak le jāne wālī rāhoṅ se wāqif hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:21 | Beshak tū is kā ilm rakhtā hai, kyoṅki tū us waqt janm le chukā thā jab yih paidā hue. Tū to qadīm zamāne se hī zindā hai! | |
Job | UrduGeoR | 38:22 | Kyā tū wahāṅ tak pahuṅch gayā hai jahāṅ barf ke zaḳhīre jamā hote haiṅ? Kyā tū ne oloṅ ke godāmoṅ ko dekh liyā hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:23 | Maiṅ unheṅ musībat ke waqt ke lie mahfūz rakhtā hūṅ, aise dinoṅ ke lie jab laṛāī aur jang chhiṛ jāe. | |
Job | UrduGeoR | 38:24 | Mujhe batā, us jagah tak kis tarah pahuṅchnā hai jahāṅ raushnī taqsīm hotī hai, yā us jagah jahāṅ se mashriqī hawā nikal kar zamīn par bikhar jātī hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:29 | Barf kis māṅ ke peṭ se paidā huī? Jo pālā āsmān se ā kar zamīn par paṛtā hai kis ne use janm diyā? | |
Job | UrduGeoR | 38:30 | Jab pānī patthar kī tarah saḳht ho jāe balki gahre samundar kī satah bhī jam jāe to kaun yih saranjām detā hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:32 | Kyā tū karwā saktā hai ki sitāroṅ ke muḳhtalif jhurmaṭ un ke muqarrarā auqāt ke mutābiq nikal āeṅ? Kyā tū Dubb-e-Akbar kī us ke bachchoṅ samet qiyādat karne ke qābil hai? | |
Job | UrduGeoR | 38:34 | Kyā jab tū buland āwāz se bādaloṅ ko hukm de to wuh tujh par mūslādhār bārish barsāte haiṅ? | |
Job | UrduGeoR | 38:35 | Kyā tū bādal kī bijlī zamīn par bhej saktā hai? Kyā wuh tere pās ā kar kahtī hai, ‘Maiṅ ḳhidmat ke lie hāzir hūṅ’? | |
Job | UrduGeoR | 38:37 | Kis ko itnī dānāī hāsil hai ki wuh bādaloṅ ko gin sake? Kaun āsmān ke in ghaṛoṅ ko us waqt unḍel saktā hai | |
Job | UrduGeoR | 38:38 | jab miṭṭī ḍhāle hue lohe kī tarah saḳht ho jāe aur ḍhele ek dūsre ke sāth chipak jāeṅ? Koī nahīṅ! | |
Job | UrduGeoR | 38:40 | jab wuh apnī chhupne kī jaghoṅ meṅ dabak jāeṅ yā gunjān jangal meṅ kahīṅ tāk lagāe baiṭhe hoṅ? | |