Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 41
Job UrduGeoR 41:1  Kyā tū Liwiyātān azhdahe ko machhlī ke kāṅṭe se pakaṛ saktā yā us kī zabān ko rasse se bāndh saktā hai?
Job UrduGeoR 41:2  Kyā tū us kī nāk chhed kar us meṅ se rassā guzār saktā yā us ke jabṛe ko kāṅṭe se chīr saktā hai?
Job UrduGeoR 41:3  Kyā wuh kabhī tujh se bār bār rahm māṅgegā yā narm narm alfāz se terī ḳhushāmad karegā?
Job UrduGeoR 41:4  Kyā wuh kabhī tere sāth ahd karegā ki tū use apnā ġhulām banāe rakhe? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 41:5  Kyā tū parinde kī tarah us ke sāth khel saktā yā use bāndh kar apnī laṛkiyoṅ ko de saktā hai tāki wuh us ke sāth kheleṅ?
Job UrduGeoR 41:6  Kyā saudāgar kabhī us kā saudā kareṅge yā use tājiroṅ meṅ taqsīm kareṅge? Kabhī nahīṅ!
Job UrduGeoR 41:7  Kyā tū us kī khāl ko bhāloṅ se yā us ke sar ko hārpūnoṅ se bhar saktā hai?
Job UrduGeoR 41:8  Ek dafā use hāth lagāyā to yih laṛāī tujhe hameshā yād rahegī, aur tū āindā aisī harkat kabhī nahīṅ karegā!
Job UrduGeoR 41:9  Yaqīnan us par qābū pāne kī har ummīd farebdeh sābit hogī, kyoṅki use deḳhte hī insān gir jātā hai.
Job UrduGeoR 41:10  Koī itnā bedhaṛak nahīṅ hai ki use mushta'il kare. To phir kaun merā sāmnā kar saktā hai?
Job UrduGeoR 41:11  Kis ne mujhe kuchh diyā hai ki maiṅ us kā muāwazā dūṅ. Āsmān tale har chīz merī hī hai!
Job UrduGeoR 41:12  Maiṅ tujhe us ke āzā ke bayān se mahrūm nahīṅ rakhūṅgā, ki wuh kitnā baṛā, tāqatwar aur ḳhūbsūrat hai.
Job UrduGeoR 41:13  Kaun us kī khāl utār saktā, kaun us ke zirābaktar kī do tahoṅ ke andar tak pahuṅch saktā hai?
Job UrduGeoR 41:14  Kaun us ke muṅh kā darwāzā kholne kī jurrat kare? Us ke haulnāk dāṅt dekh kar insān ke roṅgṭe khaṛe ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 41:15  Us kī pīṭh par ek dūsrī se ḳhūb juṛī huī ḍhāloṅ kī qatāreṅ hotī haiṅ.
Job UrduGeoR 41:16  Wuh itnī mazbūtī se ek dūsrī se lagī hotī haiṅ ki un ke darmiyān se hawā bhī nahīṅ guzar saktī,
Job UrduGeoR 41:17  balki yoṅ ek dūsrī se chimṭī aur lipṭī rahtī haiṅ ki unheṅ ek dūsrī se alag nahīṅ kiyā jā saktā.
Job UrduGeoR 41:18  Jab chhīṅkeṅ māre to bijlī chamak uṭhtī hai. Us kī āṅkheṅ tulū-e-subah kī palakoṅ kī mānind haiṅ.
Job UrduGeoR 41:19  Us ke muṅh se mashāleṅ aur chingāriyāṅ ḳhārij hotī haiṅ,
Job UrduGeoR 41:20  us ke nathnoṅ se dhuāṅ yoṅ nikaltā hai jis tarah bhaṛaktī aur dahaktī āg par rakhī gaī deg se.
Job UrduGeoR 41:21  Jab phūṅk māre to koele dahak uṭhte aur us ke muṅh se shole nikalte haiṅ.
Job UrduGeoR 41:22  Us kī gardan meṅ itnī tāqat hai ki jahāṅ bhī jāe wahāṅ us ke āge āge māyūsī phail jātī hai.
Job UrduGeoR 41:23  Us ke gosht-post kī taheṅ ek dūsrī se ḳhūb juṛī huī haiṅ, wuh ḍhāle hue lohe kī tarah mazbūt aur belachak haiṅ.
Job UrduGeoR 41:24  Us kā dil patthar jaisā saḳht, chakkī ke nichle pāṭ jaisā mustahkam hai.
Job UrduGeoR 41:25  Jab uṭhe to zorāwar ḍar jāte aur dahshat khā kar pīchhe haṭ jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 41:26  Hathiyāroṅ kā us par koī asar nahīṅ hotā, ḳhāh koī talwār, neze, barchhī yā tīr se us par hamlā kyoṅ na kare.
Job UrduGeoR 41:27  Wuh lohe ko bhūsā aur pītal ko galī saṛī lakaṛī samajhtā hai.
Job UrduGeoR 41:28  Tīr use nahīṅ bhagā sakte, aur agar falāḳhan ke patthar us par chalāo to un kā asar bhūse ke barābar hai.
Job UrduGeoR 41:29  Ḍanḍā use tinkā-sā lagtā hai, aur wuh shamshīr kā shor-sharābā sun kar haṅs uṭhtā hai.
Job UrduGeoR 41:30  Us ke peṭ par tez ṭhīkre se lage haiṅ, aur jis tarah anāj par gāhne kā ālā chalāyā jātā hai usī tarah wuh kīchaṛ par chaltā hai.
Job UrduGeoR 41:31  Jab samundar kī gahrāiyoṅ meṅ se guzare to pānī ubaltī deg kī tarah khaulne lagtā hai. Wuh marham ke muḳhtalif ajzā ko milā milā kar taiyār karne wāle attār kī tarah samundar ko harkat meṅ lātā hai.
Job UrduGeoR 41:32  Apne pīchhe wuh chamaktā-damaktā rāstā chhoṛtā hai. Tab lagtā hai ki samundar kī gahrāiyoṅ ke safed bāl haiṅ.
Job UrduGeoR 41:33  Duniyā meṅ us jaisā koī maḳhlūq nahīṅ, aisā banāyā gayā hai ki kabhī na ḍare.
Job UrduGeoR 41:34  Jo bhī ālā ho us par wuh hiqārat kī nigāh se deḳhtā hai, wuh tamām robdār jānwaroṅ kā bādshāh hai.”