Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 6
Job UrduGeoR 6:2  “Kāsh merī ranjīdagī kā wazn kiyā jā sake aur merī musībat tarāzū meṅ tolī jā sake!
Job UrduGeoR 6:3  Kyoṅki wuh samundar kī ret se zyādā bhārī ho gaī hai. Isī lie merī bāteṅ betukī-sī lag rahī haiṅ.
Job UrduGeoR 6:4  Kyoṅki Qādir-e-mutlaq ke tīr mujh meṅ gaṛ gae haiṅ, merī rūh un kā zahr pī rahī hai. Hāṅ, Allāh ke haulnāk hamle mere ḳhilāf saf-ārā haiṅ.
Job UrduGeoR 6:5  Kyā janglī gadhā ḍhīnchūṅ ḍhīnchūṅ kartā hai jab use ghās dastyāb ho? Yā kyā bail ḍakrātā hai jab use chārā hāsil ho?
Job UrduGeoR 6:6  Kyā phīkā khānā namak ke baġhair khāyā jātā, yā anḍe kī safedī meṅ zāyqā hai?
Job UrduGeoR 6:7  Aisī chīz ko maiṅ chhūtā bhī nahīṅ, aisī ḳhurāk se mujhe ghin hī ātī hai.
Job UrduGeoR 6:8  Kāsh merī guzārish pūrī ho jāe, Allāh merī ārzū pūrī kare!
Job UrduGeoR 6:9  Kāsh wuh mujhe kuchal dene ke lie taiyār ho jāe, wuh apnā hāth baṛhā kar mujhe halāk kare.
Job UrduGeoR 6:10  Phir mujhe kam az kam tasallī hotī balki maiṅ mustaqil dard ke māre pech-o-tāb khāne ke bāwujūd ḳhushī manātā ki maiṅ ne quddūs Ḳhudā ke farmānoṅ kā inkār nahīṅ kiyā.
Job UrduGeoR 6:11  Merī itnī tāqat nahīṅ ki mazīd intazār karūṅ, merā kyā achchhā anjām hai ki sabar karūṅ?
Job UrduGeoR 6:12  Kyā maiṅ pattharoṅ jaisā tāqatwar hūṅ? Kyā merā jism pītal jaisā mazbūt hai?
Job UrduGeoR 6:13  Nahīṅ, mujh se har sahārā chhīn liyā gayā hai, mere sāth aisā sulūk huā hai ki kāmyābī kā imkān hī nahīṅ rahā.
Job UrduGeoR 6:14  Jo apne dost par mehrbānī karne se inkār kare wuh Allāh kā ḳhauf tark kartā hai.
Job UrduGeoR 6:15  Mere bhāiyoṅ ne wādī kī un nadiyoṅ jaisī bewafāī kī hai jo barsāt ke mausam meṅ apne kināroṅ se bāhar ā jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 6:16  Us waqt wuh barf se bhar kar gadlī ho jātī haiṅ,
Job UrduGeoR 6:17  lekin urūj tak pahuṅchte hī wuh sūkh jātī, taptī garmī meṅ ojhal ho jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 6:18  Tab qāfile apnī rāhoṅ se haṭ jāte haiṅ tāki pānī mil jāe, lekin befāydā. Wuh registān meṅ pahuṅch kar tabāh ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 6:19  Taimā ke qāfile is pānī kī talāsh meṅ rahte, Sabā ke safr karne wāle tājir us par ummīd rakhte haiṅ,
Job UrduGeoR 6:20  lekin besūd. Jis par unhoṅ ne etamād kiyā wuh unheṅ māyūs kar detā hai. Jab wahāṅ pahuṅchte haiṅ to sharmindā ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 6:21  Tum bhī itne hī bekār sābit hue ho. Tum haulnāk bāt dekh kar dahshatzadā ho gae ho.
Job UrduGeoR 6:22  Kyā maiṅ ne kahā, ‘Mujhe tohfā de do, apnī daulat meṅ se merī ḳhātir rishwat do,
Job UrduGeoR 6:23  mujhe dushman ke hāth se chhuṛāo, fidyā de kar zālim ke qabze se bachāo’?
Job UrduGeoR 6:24  Mujhe sāf hidāyat do to maiṅ mān kar ḳhāmosh ho jāūṅgā. Mujhe batāo ki kis bāt meṅ mujh se ġhaltī huī hai.
Job UrduGeoR 6:25  Sīdhī rāh kī bāteṅ kitnī taklīfdeh ho saktī haiṅ! Lekin tumhārī malāmat se mujhe kis qism kī tarbiyat hāsil hogī?
Job UrduGeoR 6:26  Kyā tum samajhte ho ki ḳhālī alfāz muāmale ko hal kareṅge, go tum māyūsī meṅ mubtalā ādmī kī bāt nazarandāz karte ho?
Job UrduGeoR 6:27  Kyā tum yatīm ke lie bhī qurā ḍālte, apne dost ke lie bhī saudābāzī karte ho?
Job UrduGeoR 6:28  Lekin ab ḳhud faislā karo, mujh par nazar ḍāl kar soch lo. Allāh kī qasam, maiṅ tumhāre rūbarū jhūṭ nahīṅ boltā.
Job UrduGeoR 6:29  Apnī ġhaltī taslīm karo tāki nāinsāfī na ho. Apnī ġhaltī mān lo, kyoṅki ab tak maiṅ haq par hūṅ.
Job UrduGeoR 6:30  Kyā merī zabān jhūṭ boltī hai? Kyā maiṅ farebdeh bāteṅ pahchān nahīṅ saktā?