Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 39
Job UrduGeoR 39:1  Kyā tujhe mālūm hai ki pahāṛī bakriyoṅ ke bachche kab paidā hote haiṅ? Jab hirnī apnā bachchā janm detī hai to kyā tū is ko mullāhazā kartā hai?
Job UrduGeoR 39:2  Kyā tū wuh mahīne gintā rahtā hai jab bachche hirniyoṅ ke peṭ meṅ hoṅ? Kyā tū jāntā hai ki kis waqt bachche janm detī haiṅ?
Job UrduGeoR 39:3  Us din wuh dabak jātī, bachche nikal āte aur dard-e-zah ḳhatm ho jātā hai.
Job UrduGeoR 39:4  Un ke bachche tāqatwar ho kar khule maidān meṅ phalte-phūlte, phir ek din chale jāte haiṅ aur apnī māṅ ke pās wāpas nahīṅ āte.
Job UrduGeoR 39:5  Kis ne janglī gadhe ko khulā chhoṛ diyā? Kis ne us ke rasse khol die?
Job UrduGeoR 39:6  Maiṅ hī ne bayābān us kā ghar banā diyā, maiṅ hī ne muqarrar kiyā ki banjar zamīn us kī rihāishgāh ho.
Job UrduGeoR 39:7  Wuh shahr kā shor-sharābā dekh kar haṅs uṭhtā, aur use hāṅkne wāle kī āwāz sunanī nahīṅ paṛtī.
Job UrduGeoR 39:8  Wuh charne ke lie pahāṛī ilāqe meṅ idhar-udhar ghūmtā aur hariyālī kā khoj lagātā rahtā hai.
Job UrduGeoR 39:9  Kyā janglī bail terī ḳhidmat karne ke lie taiyār hogā? Kyā wuh kabhī rāt ko terī charnī ke pās guzāregā?
Job UrduGeoR 39:10  Kyā tū use bāndh kar hal chalā saktā hai? Kyā wuh wādī meṅ tere pīchhe chal kar suhāgā pheregā?
Job UrduGeoR 39:11  Kyā tū us kī baṛī tāqat dekh kar us par etamād karegā? Kyā tū apnā saḳht kām us ke sapurd karegā?
Job UrduGeoR 39:12  Kyā tū bharosā kar saktā hai ki wuh terā anāj jamā karke gāhne kī jagah par le āe? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 39:13  Shuturmurġh ḳhushī se apne paroṅ ko phaṛphaṛātā hai. Lekin kyā us kā shāhpar laqlaq yā bāz ke shāhpar kī mānind hai?
Job UrduGeoR 39:14  Wuh to apne anḍe zamīn par akele chhoṛtā hai, aur wuh miṭṭī hī par pakte haiṅ.
Job UrduGeoR 39:15  Shuturmurġh ko ḳhayāl tak nahīṅ ātā ki koī unheṅ pāṅwoṅ tale kuchal saktā yā koī janglī jānwar unheṅ raund saktā hai.
Job UrduGeoR 39:16  Lagtā nahīṅ ki us ke apne bachche haiṅ, kyoṅki us kā un ke sāth sulūk itnā saḳht hai. Agar us kī mehnat nākām nikle to use parwā hī nahīṅ,
Job UrduGeoR 39:17  kyoṅki Allāh ne use hikmat se mahrūm rakh kar use samajh se na nawāzā.
Job UrduGeoR 39:18  To bhī wuh itnī tezī se uchhal kar bhāg jātā hai ki ghoṛe aur ghuṛsawār kī dauṛ dekh kar haṅsne lagtā hai.
Job UrduGeoR 39:19  Kyā tū ghoṛe ko us kī tāqat de kar us kī gardan ko ayāl se ārāstā kartā hai?
Job UrduGeoR 39:20  Kyā tū hī use ṭiḍḍī kī tarah phalāṅgne detā hai? Jab wuh zor se apne nathnoṅ ko phulā kar āwāz nikāltā hai to kitnā robdār lagtā hai!
Job UrduGeoR 39:21  Wuh wādī meṅ sum mār mār kar apnī tāqat kī ḳhushī manātā, phir bhāg kar maidān-e-jang meṅ ā jātā hai.
Job UrduGeoR 39:22  Wuh ḳhauf kā mazāq uṛātā aur kisī se bhī nahīṅ ḍartā, talwār ke rūbarū bhī pīchhe nahīṅ haṭtā.
Job UrduGeoR 39:23  Us ke ūpar tarkash ḳhaṛkhaṛātā, nezā aur shamshīr chamaktī hai.
Job UrduGeoR 39:24  Wuh baṛā shor machā kar itnī tezī aur josh-o-ḳhurosh se dushman par hamlā kartā hai ki bigul bajte waqt bhī rokā nahīṅ jātā.
Job UrduGeoR 39:25  Jab bhī bigul baje wuh zor se hinhinātā aur dūr hī se maidān-e-jang, kamānḍaroṅ kā shor aur jang ke nāre sūṅgh letā hai.
Job UrduGeoR 39:26  Kyā bāz terī hī hikmat ke zariye hawā meṅ uṛ kar apne paroṅ ko junūb kī jānib phailā detā hai?
Job UrduGeoR 39:27  Kyā uqāb tere hī hukm par bulandiyoṅ par manḍlātā aur ūṅchī ūṅchī jaghoṅ par apnā ghoṅslā banā letā hai?
Job UrduGeoR 39:28  Wuh chaṭān par rahtā, us ke ṭūṭe-phūṭe kināroṅ aur qilāband jaghoṅ par baserā kartā hai.
Job UrduGeoR 39:29  Wahāṅ se wuh apne shikār kā khoj lagātā hai, us kī āṅkheṅ dūr dūr tak deḳhtī haiṅ.
Job UrduGeoR 39:30  Us ke bachche ḳhūn ke lālach meṅ rahte, aur jahāṅ bhī lāsh ho wahāṅ wuh hāzir hotā hai.”