JOB
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
Chapter 27
Job | UrduGeoR | 27:2 | “Allāh kī hayāt kī qasam jis ne merā insāf karne se inkār kiyā, Qādir-e-mutlaq kī qasam jis ne merī zindagī talḳh kar dī hai, | |
Job | UrduGeoR | 27:5 | Maiṅ kabhī taslīm nahīṅ karūṅga ki tumhārī bāt durust hai. Maiṅ be'ilzām hūṅ aur marte dam tak is ke ulaṭ nahīṅ kahūṅgā. | |
Job | UrduGeoR | 27:6 | Maiṅ isrār kartā hūṅ ki rāstbāz hūṅ aur is se kabhī bāz nahīṅ āūṅgā. Merā dil mere kisī bhī din ke bāre meṅ mujhe malāmat nahīṅ kartā. | |
Job | UrduGeoR | 27:7 | Allāh kare ki mere dushman ke sāth wuhī sulūk kiyā jāe jo bedīnoṅ ke sāth kiyā jāegā, ki mere muḳhālif kā wuh anjām ho jo badkāroṅ ko pesh āegā. | |
Job | UrduGeoR | 27:8 | Kyoṅki us waqt sharīr kī kyā ummīd rahegī jab use is zindagī se munqate kiyā jāegā, jab Allāh us kī jān us se talab karegā? | |
Job | UrduGeoR | 27:9 | Kyā Allāh us kī chīḳheṅ sunegā jab wuh musībat meṅ phaṅs kar madad ke lie pukāregā? | |
Job | UrduGeoR | 27:11 | Ab maiṅ tumheṅ Allāh kī qudrat ke bāre meṅ tālīm dūṅgā, Qādir-e-mutlaq kā irādā tum se nahīṅ chhupāūṅgā. | |
Job | UrduGeoR | 27:12 | Dekho, tum sab ne is kā mushāhadā kiyā hai. To phir is qism kī bātil bāteṅ kyoṅ karte ho? | |
Job | UrduGeoR | 27:14 | Go us ke bachche muta'addid hoṅ, lekin āḳhirkār wuh talwār kī zad meṅ āeṅge. Us kī aulād bhūkī rahegī. | |
Job | UrduGeoR | 27:15 | Jo bach jāeṅ unheṅ mohlak bīmārī se qabr meṅ pahuṅchāyā jāegā, aur un kī bewāeṅ mātam nahīṅ kar pāeṅgī. | |
Job | UrduGeoR | 27:16 | Beshak wuh ḳhāk kī tarah chāṅdī kā ḍher lagāe aur miṭṭī kī tarah nafīs kapṛoṅ kā todā ikaṭṭhā kare, | |
Job | UrduGeoR | 27:17 | lekin jo kapṛe wuh jamā kare unheṅ rāstbāz pahan legā, aur jo chāṅdī wuh ikaṭṭhī kare use bequsūr taqsīm karegā. | |
Job | UrduGeoR | 27:18 | Jo ghar bedīn banā le wuh ghoṅsle kī mānind hai, us ārizī jhoṅpṛī kī mānind jo chaukīdār apne lie banā letā hai. | |
Job | UrduGeoR | 27:19 | Wuh amīr hālat meṅ so jātā hai, lekin āḳhirī dafā. Jab apnī āṅkheṅ khol letā to tamām daulat jātī rahī hai. | |
Job | UrduGeoR | 27:20 | Us par haulnāk wāqiyāt kā sailāb ṭūṭ paṛtā, use rāt ke waqt āṅdhī chhīn letī hai. | |
Job | UrduGeoR | 27:22 | Berahmī se wuh us par yoṅ jhapaṭṭā mārtī rahtī hai ki use bār bār bhāgnā paṛtā hai. | |