JOB
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
Chapter 3
Job | UrduGeoR | 3:3 | “Wuh din miṭ jāe jab maiṅ ne janm liyā, wuh rāt jis ne kahā, ‘Peṭ meṅ laṛkā paidā huā hai!’ | |
Job | UrduGeoR | 3:4 | Wuh din andherā hī andherā ho jāe, ek kiran bhī use raushan na kare. Allāh bhī jo bulandiyoṅ par hai us kā ḳhayāl na kare. | |
Job | UrduGeoR | 3:5 | Tārīkī aur ghanā andherā us par qabzā kare, kāle kāle bādal us par chhāe raheṅ, hāṅ wuh raushnī se mahrūm ho kar saḳht dahshatzadā ho jāe. | |
Job | UrduGeoR | 3:6 | Ghanā andherā us rāt ko chhīn le jab maiṅ māṅ ke peṭ meṅ paidā huā. Use na sāl, na kisī mahīne ke dinoṅ meṅ shumār kiyā jāe. | |
Job | UrduGeoR | 3:8 | Jo dinoṅ par lānat bhejte aur Liwiyātān azhdahe ko tahrīk meṅ lāne ke qābil hote haiṅ wuhī us rāt par lānat kareṅ. | |
Job | UrduGeoR | 3:9 | Us rāt ke dhundalke meṅ ṭimṭimāne wāle sitāre bujh jāeṅ, fajr kā intazār karnā befāydā hī rahe balki wuh rāt tulū-e-subah kī palakeṅ bhī na dekhe. | |
Job | UrduGeoR | 3:10 | Kyoṅki us ne merī māṅ ko mujhe janm dene se na rokā, warnā yih tamām musībat merī āṅkhoṅ se chhupī rahtī. | |
Job | UrduGeoR | 3:11 | Maiṅ paidāish ke waqt kyoṅ mar na gayā, māṅ ke peṭ se nikalte waqt jān kyoṅ na de dī? | |
Job | UrduGeoR | 3:12 | Māṅ ke ghuṭnoṅ ne mujhe ḳhushāmdīd kyoṅ kahā, us kī chhātiyoṅ ne mujhe dūdh kyoṅ pilāyā? | |
Job | UrduGeoR | 3:14 | Maiṅ unhīṅ ke sāth hotā jo pahle bādshāh aur duniyā ke mushīr the, jinhoṅ ne khanḍarāt az sar-e-nau tāmīr kie. | |
Job | UrduGeoR | 3:15 | Maiṅ un ke sāth hotā jo pahle hukmrān the aur apne gharoṅ ko sone-chāṅdī se bhar lete the. | |
Job | UrduGeoR | 3:16 | Mujhe zāe ho jāne wāle bachche kī tarah kyoṅ na zamīn meṅ dabā diyā gayā? Mujhe us bachche kī tarah kyoṅ na dafnāyā gayā jis ne kabhī raushnī na dekhī? | |
Job | UrduGeoR | 3:17 | Us jagah bedīn apnī belagām harkatoṅ se bāz āte aur wuh ārām karte haiṅ jo tag-o-dau karte karte thak gae the. | |
Job | UrduGeoR | 3:18 | Wahāṅ qaidī itmīnān se rahte haiṅ, unheṅ us zālim kī āwāz nahīṅ sunanī paṛtī jo unheṅ jīte-jī hāṅktā rahā. | |
Job | UrduGeoR | 3:19 | Us jagah chhoṭe aur baṛe sab barābar hote haiṅ, ġhulām apne mālik se āzād rahtā hai. | |
Job | UrduGeoR | 3:21 | Wuh to maut ke intazār meṅ rahte haiṅ lekin befāydā. Wuh khod khod kar use yoṅ talāsh karte haiṅ jis tarah kisī poshīdā ḳhazāne ko. | |
Job | UrduGeoR | 3:23 | Allāh us ko zindā kyoṅ rakhtā jis kī nazaroṅ se rāstā ojhal ho gayā hai aur jis ke chāroṅ taraf us ne bāṛ lagāī hai. | |
Job | UrduGeoR | 3:24 | Kyoṅki jab mujhe roṭī khānī hai to hāy hāy kartā hūṅ, merī āheṅ pānī kī tarah muṅh se phūṭ nikaltī haiṅ. | |
Job | UrduGeoR | 3:25 | Jis chīz se maiṅ ḍartā thā wuh mujh par āī, jis se maiṅ ḳhauf khātā thā us se merā wāstā paṛā. | |