Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 4
Job UrduGeoR 4:1  Yih kuchh sun kar Ilīfaz Temānī ne jawāb diyā,
Job UrduGeoR 4:2  “Kyā tujh se bāt karne kā koī fāydā hai? Tū to yih bardāsht nahīṅ kar saktā. Lekin dūsrī taraf kaun apne alfāz rok saktā hai?
Job UrduGeoR 4:3  Zarā soch le, tū ne ḳhud bahutoṅ ko tarbiyat dī, kaī logoṅ ke thakemānde hāthoṅ ko taqwiyat dī hai.
Job UrduGeoR 4:4  Tere alfāz ne ṭhokar khāne wāle ko dubārā khaṛā kiyā, ḍagmagāte hue ghuṭne tū ne mazbūt kie.
Job UrduGeoR 4:5  Lekin ab jab musībat tujh par ā gaī to tū use bardāsht nahīṅ kar saktā, ab jab ḳhud us kī zad meṅ ā gayā to tere roṅgṭe khaṛe ho gae haiṅ.
Job UrduGeoR 4:6  Kyā terā etamād is par munhasir nahīṅ hai ki tū Allāh kā ḳhauf māne, terī ummīd is par nahīṅ ki tū be'ilzām rāhoṅ par chale?
Job UrduGeoR 4:7  Soch le, kyā kabhī koī begunāh halāk huā hai? Hargiz nahīṅ! Jo sīdhī rāh par chalte haiṅ wuh kabhī rū-e-zamīn par se miṭ nahīṅ gae.
Job UrduGeoR 4:8  Jahāṅ tak maiṅ ne dekhā, jo nāinsāfī kā hal chalāe aur nuqsān kā bīj boe wuh is kī fasal kāṭtā hai.
Job UrduGeoR 4:9  Aise log Allāh kī ek phūṅk se tabāh, us ke qahr ke ek jhoṅke se halāk ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 4:10  Sherbabar kī dahāṛeṅ ḳhāmosh ho gaīṅ, jawān sher ke dāṅt jhaṛ gae haiṅ.
Job UrduGeoR 4:11  Shikār na milne kī wajah se sher halāk ho jātā aur shernī ke bachche parāgandā ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 4:12  Ek bār ek bāt chorī-chhupe mere pās pahuṅchī, us ke chand alfāz mere kān tak pahuṅch gae.
Job UrduGeoR 4:13  Rāt ko aisī royāeṅ pesh āīṅ jo us waqt dekhī jātī haiṅ jab insān gahrī nīnd soyā hotā hai. In se maiṅ pareshānkun ḳhayālāt meṅ mubtalā huā.
Job UrduGeoR 4:14  Mujh par dahshat aur thartharāhaṭ ġhālib āī, merī tamām haḍḍiyāṅ laraz uṭhīṅ.
Job UrduGeoR 4:15  Phir mere chehre ke sāmne se hawā kā jhoṅkā guzar gayā aur mere tamām roṅgṭe khaṛe ho gae.
Job UrduGeoR 4:16  Ek hastī mere sāmne khaṛī huī jise maiṅ pahchān na sakā, ek shakl merī āṅkhoṅ ke sāmne dikhāī dī. Ḳhāmoshī thī, phir ek āwāz ne farmāyā,
Job UrduGeoR 4:17  ‘Kyā insān Allāh ke huzūr rāstbāz ṭhahar saktā hai, kyā insān apne Ḳhāliq ke sāmne pāk-sāf ṭhahar saktā hai?’
Job UrduGeoR 4:18  Dekh, Allāh apne ḳhādimoṅ par bharosā nahīṅ kartā, apne farishtoṅ ko wuh ahmaq ṭhahrātā hai.
Job UrduGeoR 4:19  To phir wuh insān par kyoṅ bharosā rakhe jo miṭṭī ke ghar meṅ rahtā, aise makān meṅ jis kī buniyād ḳhāk par hī rakhī gaī hai. Use patange kī tarah kuchlā jātā hai.
Job UrduGeoR 4:20  Subah ko wuh zindā hai lekin shām tak pāsh pāsh ho jātā, abad tak halāk ho jātā hai, aur koī bhī dhyān nahīṅ detā.
Job UrduGeoR 4:21  Us ke ḳhaime ke rasse ḍhīle karo to wuh hikmat hāsil kie baġhair intaqāl kar jātā hai.