Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 7
Job UrduGeoR 7:1  Insān duniyā meṅ saḳht ḳhidmat karne par majbūr hotā hai, jīte-jī wuh mazdūr kī-sī zindagī guzārtā hai.
Job UrduGeoR 7:2  Ġhulām kī tarah wuh shām ke sāy kā ārzūmand hotā, mazdūr kī tarah mazdūrī ke intazār meṅ rahtā hai.
Job UrduGeoR 7:3  Mujhe bhī bemānī mahīne aur musībat kī rāteṅ nasīb huī haiṅ.
Job UrduGeoR 7:4  Jab bistar par leṭ jātā to sochtā hūṅ ki kab uṭh saktā hūṅ? Lekin lagtā hai ki rāt kabhī ḳhatm nahīṅ hogī, aur maiṅ fajr tak bechainī se karwaṭeṅ badaltā rahtā hūṅ.
Job UrduGeoR 7:5  Mere jism kī har jagah kīṛe aur khuranḍ phail gae haiṅ, merī sukaṛī huī jild meṅ pīp paṛ gaī hai.
Job UrduGeoR 7:6  Mere din jūlāhe kī nāl se kahīṅ zyādā tezī se guzar gae haiṅ. Wuh apne anjām tak pahuṅch gae haiṅ, dhāgā ḳhatm ho gayā hai.
Job UrduGeoR 7:7  Ai Allāh, ḳhayāl rakh ki merī zindagī dam-bhar kī hī hai! Merī āṅkheṅ āindā kabhī ḳhushhālī nahīṅ dekheṅgī.
Job UrduGeoR 7:8  Jo mujhe is waqt dekhe wuh āindā mujhe nahīṅ dekhegā. Tū merī taraf dekhegā, lekin maiṅ hūṅgā nahīṅ.
Job UrduGeoR 7:9  Jis tarah bādal ojhal ho kar ḳhatm ho jātā hai usī tarah Pātāl meṅ utarne wālā wāpas nahīṅ ātā.
Job UrduGeoR 7:10  Wuh dubārā apne ghar wāpas nahīṅ āegā, aur us kā maqām use nahīṅ jāntā.
Job UrduGeoR 7:11  Chunāṅche maiṅ wuh kuchh rok nahīṅ saktā jo mere muṅh se nikalnā chāhtā hai. Maiṅ ranjīdā hālat meṅ bāt karūṅga, apne dil kī talḳhī kā izhār karke āh-o-zārī karūṅga.
Job UrduGeoR 7:12  Ai Allāh, kyā maiṅ samundar yā samundarī azhdahā hūṅ ki tū ne mujhe nazarband kar rakhā hai?
Job UrduGeoR 7:13  Jab maiṅ kahtā hūṅ, ‘Merā bistar mujhe tasallī de, sone se merā ġham halkā ho jāe’
Job UrduGeoR 7:14  to tū mujhe haulnāk ḳhāboṅ se himmat hārne detā, royāoṅ se mujhe dahshat khilātā hai.
Job UrduGeoR 7:15  Merī itnī burī hālat ho gaī hai ki sochtā hūṅ, kāsh koī merā galā ghūṅṭ kar mujhe mār ḍāle, kāsh maiṅ zindā na rahūṅ balki dam chhoṛūṅ.
Job UrduGeoR 7:16  Maiṅ ne zindagī ko radd kar diyā hai, ab maiṅ zyādā der tak zindā nahīṅ rahūṅgā. Mujhe chhoṛ, kyoṅki mere din dam-bhar ke hī haiṅ.
Job UrduGeoR 7:17  Insān kyā hai ki tū us kī itnī qadar kare, us par itnā dhyān de?
Job UrduGeoR 7:18  Wuh itnā aham to nahīṅ hai ki tū har subah us kā muāynā kare, har lamhā us kī jāṅch-paṛtāl kare.
Job UrduGeoR 7:19  Kyā tū mujhe takne se kabhī nahīṅ bāz āegā? Kyā tū mujhe itnā sukūn bhī nahīṅ degā ki pal-bhar ke lie thūk niglūṅ?
Job UrduGeoR 7:20  Ai insān ke pahredār, agar mujh se ġhaltī huī bhī to is se maiṅ ne terā kyā nuqsān kiyā? Tū ne mujhe apne ġhazab kā nishānā kyoṅ banāyā? Maiṅ tere lie bojh kyoṅ ban gayā hūṅ?
Job UrduGeoR 7:21  Tū merā jurm muāf kyoṅ nahīṅ kartā, merā qusūr darguzar kyoṅ nahīṅ kartā? Kyoṅki jald hī maiṅ ḳhāk ho jāūṅgā. Agar tū mujhe talāsh bhī kare to nahīṅ milūṅgā, kyoṅki maiṅ hūṅgā nahīṅ.”