Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 15
Job UrduGeoR 15:2  “Kyā dānishmand ko jawāb meṅ behūdā ḳhayālāt pesh karne chāhieṅ? Kyā use apnā peṭ taptī mashriqī hawā se bharnā chāhie?
Job UrduGeoR 15:3  Kyā munāsib hai ki wuh fuzūl bahs-mubāhasā kare, aisī bāteṅ kare jo befāydā haiṅ? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 15:4  Lekin terā rawaiyā is se kahīṅ burā hai. Tū Allāh kā ḳhauf chhoṛ kar us ke huzūr ġhaur-o-ḳhauz karne kā farz haqīr jāntā hai.
Job UrduGeoR 15:5  Terā qusūr hī tere muṅh ko aisī bāteṅ karne kī tahrīk de rahā hai, isī lie tū ne chālākoṅ kī zabān apnā lī hai.
Job UrduGeoR 15:6  Mujhe tujhe qusūrwār ṭhahrāne kī zarūrat hī nahīṅ, kyoṅki terā apnā hī muṅh tujhe mujrim ṭhahrātā hai, tere apne hī hoṅṭ tere ḳhilāf gawāhī dete haiṅ.
Job UrduGeoR 15:7  Kyā tū sab se pahle paidā huā insān hai? Kyā tū ne pahāṛoṅ se pahle hī janm liyā?
Job UrduGeoR 15:8  Jab Allāh kī majlis mun'aqid ho jāe to kyā tū bhī un kī bāteṅ suntā hai? Kyā sirf tujhe hī hikmat hāsil hai?
Job UrduGeoR 15:9  Tū kyā jāntā hai jo ham nahīṅ jānte? Tujhe kis bāt kī samajh āī hai jis kā ilm ham nahīṅ rakhte?
Job UrduGeoR 15:10  Hamāre darmiyān bhī umrrasīdā buzurg haiṅ, aise ādmī jo tere wālid se bhī būṛhe haiṅ.
Job UrduGeoR 15:11  Ai Ayyūb, kyā terī nazar meṅ Allāh kī tasallī dene wālī bātoṅ kī koī ahmiyat nahīṅ? Kyā tū is kī qadar nahīṅ kar saktā ki narmī se tujh se bāt kī jā rahī hai?
Job UrduGeoR 15:12  Tere dil ke jazbāt tujhe yoṅ uṛā kar kyoṅ le jāeṅ, terī āṅkheṅ kyoṅ itnī chamak uṭheṅ
Job UrduGeoR 15:13  ki āḳhirkār tū apnā ġhussā Allāh par utār kar aisī bāteṅ apne muṅh se ugal de?
Job UrduGeoR 15:14  Bhalā insān kyā hai ki pāk-sāf ṭhahre? Aurat se paidā huī maḳhlūq kyā hai ki rāstbāz sābit ho? Kuchh bhī nahīṅ!
Job UrduGeoR 15:15  Allāh to apne muqaddas ḳhādimoṅ par bhī bharosā nahīṅ rakhtā, balki āsmān bhī us kī nazar meṅ pāk nahīṅ hai.
Job UrduGeoR 15:16  To phir wuh insān par bharosā kyoṅ rakhe jo qābil-e-ghin aur bigaṛā huā hai, jo burāī ko pānī kī tarah pī letā hai.
Job UrduGeoR 15:17  Merī bāt sun, maiṅ tujhe kuchh sunānā chāhtā hūṅ. Maiṅ tujhe wuh kuchh bayān karūṅga jo mujh par zāhir huā hai,
Job UrduGeoR 15:18  wuh kuchh jo dānishmandoṅ ne pesh kiyā aur jo unheṅ apne bāpdādā se milā thā. Un se kuchh chhupāyā nahīṅ gayā thā.
Job UrduGeoR 15:19  (Bāpdādā se murād wuh wāhid log haiṅ jinheṅ us waqt mulk diyā gayā jab koī bhī pardesī un meṅ nahīṅ phirtā thā.)
Job UrduGeoR 15:20  Wuh kahte the, bedīn apne tamām din ḍar ke māre taṛaptā rahtā, aur jitne bhī sāl zālim ke lie mahfūz rakhe gae haiṅ utne hī sāl wuh pech-o-tāb khātā rahtā hai.
Job UrduGeoR 15:21  Dahshatnāk āwāzeṅ us ke kānoṅ meṅ gūṅjtī rahtī haiṅ, aur amn-o-amān ke waqt hī tabāhī machāne wālā us par ṭūṭ paṛtā hai.
Job UrduGeoR 15:22  Use andhere se bachne kī ummīd hī nahīṅ, kyoṅki use talwār ke lie taiyār rakhā gayā hai.
Job UrduGeoR 15:23  Wuh mārā mārā phirtā hai, āḳhirkār wuh giddhoṅ kī ḳhorāk banegā. Use ḳhud ilm hai ki tārīkī kā din qarīb hī hai.
Job UrduGeoR 15:24  Tangī aur musībat use dahshat khilātī, hamlā-āwar bādshāh kī tarah us par ġhālib ātī haiṅ.
Job UrduGeoR 15:25  Aur wajah kyā hai? Yih ki us ne apnā hāth Allāh ke ḳhilāf uṭhāyā, Qādir-e-mutlaq ke sāmne takabbur dikhāyā hai.
Job UrduGeoR 15:26  Apnī moṭī aur mazbūt ḍhāl kī panāh meṅ akaṛ kar wuh tezī se Allāh par hamlā kartā hai.
Job UrduGeoR 15:27  Go is waqt us kā chehrā charbī se chamaktā aur us kī kamr moṭī hai,
Job UrduGeoR 15:28  lekin āindā wuh tabāhshudā shahroṅ meṅ basegā, aise makānoṅ meṅ jo sab ke chhoṛe hue haiṅ aur jo jald hī patthar ke ḍher ban jāeṅge.
Job UrduGeoR 15:29  Wuh amīr nahīṅ hogā, us kī daulat qāym nahīṅ rahegī, us kī jāydād mulk meṅ phailī nahīṅ rahegī.
Job UrduGeoR 15:30  Wuh tārīkī se nahīṅ bachegā. Sholā us kī koṅploṅ ko murjhāne degā, aur Allāh use apne muṅh kī ek phūṅk se uṛā kar tabāh kar degā.
Job UrduGeoR 15:31  Wuh dhoke par bharosā na kare, warnā wuh bhaṭak jāegā aur us kā ajr dhokā hī hogā.
Job UrduGeoR 15:32  Waqt se pahle hī use is kā pūrā muāwazā milegā, us kī koṅpal kabhī nahīṅ phale phūlegī.
Job UrduGeoR 15:33  Wuh angūr kī us bel kī mānind hogā jis kā phal kachchī hālat meṅ hī gir jāe, zaitūn ke us daraḳht kī mānind jis ke tamām phūl jhaṛ jāeṅ.
Job UrduGeoR 15:34  Kyoṅki bedīnoṅ kā jatthā banjar rahegā, aur āg rishwatḳhoroṅ ke ḳhaimoṅ ko bhasm karegī.
Job UrduGeoR 15:35  Un ke pāṅw dukh-dard se bhārī ho jāte, aur wuh burāī ko janm dete haiṅ. Un kā peṭ dhokā hī paidā kartā hai.”