Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 5
Job UrduGeoR 5:1  Beshak āwāz de, lekin kaun jawāb degā? Koī nahīṅ! Muqaddasīn meṅ se tū kis kī taraf rujū kar saktā hai?
Job UrduGeoR 5:2  Kyoṅki ahmaq kī ranjīdagī use mār ḍāltī, sādālauh kī sargarmī use maut ke ghāṭ utār detī hai.
Job UrduGeoR 5:3  Maiṅ ne ḳhud ek ahmaq ko jaṛ pakaṛte dekhā, lekin maiṅ ne fauran hī us ke ghar par lānat bhejī.
Job UrduGeoR 5:4  Us ke farzand najāt se dūr rahte. Unheṅ shahr ke darwāze meṅ raundā jātā hai, aur bachāne wālā koī nahīṅ.
Job UrduGeoR 5:5  Bhūke us kī fasal khā jāte, kāṅṭedār bāṛoṅ meṅ mahfūz māl bhī chhīn lete haiṅ. Pyāse afrād hāṅpte hue us kī daulat ke pīchhe paṛ jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 5:6  Kyoṅki burāī ḳhāk se nahīṅ nikaltī aur dukh-dard miṭṭī se nahīṅ phūṭtā
Job UrduGeoR 5:7  balki insān ḳhud is kā bāis hai, dukh-dard us kī wirāsat meṅ hī pāyā jātā hai. Yih itnā yaqīnī hai jitnā yih ki āg kī chingāriyāṅ ūpar kī taraf uṛtī haiṅ.
Job UrduGeoR 5:8  Lekin agar maiṅ terī jagah hotā to Allāh se dariyāft kartā, use hī apnā muāmalā pesh kartā.
Job UrduGeoR 5:9  Wuhī itne azīm kām kartā hai ki koī un kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā, itne mojize ki koī unheṅ gin nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 5:10  Wuhī rū-e-zamīn ko bārish atā kartā, khule maidān par pānī barsā detā hai.
Job UrduGeoR 5:11  Pasthāloṅ ko wuh sarfarāz kartā aur mātam karne wāloṅ ko uṭhā kar mahfūz maqām par rakh detā hai.
Job UrduGeoR 5:12  Wuh chālākoṅ ke mansūbe toṛ detā hai tāki un ke hāth nākām raheṅ.
Job UrduGeoR 5:13  Wuh dānishmandoṅ ko un kī apnī chālākī ke phande meṅ phaṅsā detā hai to hoshyāroṅ kī sāzisheṅ achānak hī ḳhatm ho jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 5:14  Din ke waqt un par andherā chhā jātā, aur dopahar ke waqt bhī wuh ṭaṭol ṭaṭol kar phirte haiṅ.
Job UrduGeoR 5:15  Allāh zarūratmandoṅ ko un ke muṅh kī talwār aur zabardast ke qabze se bachā letā hai.
Job UrduGeoR 5:16  Yoṅ pasthāloṅ ko ummīd dī jātī aur nāinsāfī kā muṅh band kiyā jātā hai.
Job UrduGeoR 5:17  Mubārak hai wuh insān jis kī malāmat Allāh kartā hai! Chunāṅche Qādir-e-mutlaq kī tādīb ko haqīr na jān.
Job UrduGeoR 5:18  Kyoṅki wuh zaḳhmī kartā lekin marham-paṭṭī bhī lagā detā hai, wuh zarb lagātā lekin apne hāthoṅ se shifā bhī baḳhshtā hai.
Job UrduGeoR 5:19  Wuh tujhe chhih musībatoṅ se chhuṛāegā, aur agar is ke bād bhī koī āe to tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchegā.
Job UrduGeoR 5:20  Agar kāl paṛe to wuh fidyā de kar tujhe maut se bachāegā, jang meṅ tujhe talwār kī zad meṅ āne nahīṅ degā.
Job UrduGeoR 5:21  Tū zabān ke koṛoṅ se mahfūz rahegā, aur jab tabāhī āe to ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī.
Job UrduGeoR 5:22  Tū tabāhī aur kāl kī haṅsī uṛāegā, zamīn ke wahshī jānwaroṅ se ḳhauf nahīṅ khāegā.
Job UrduGeoR 5:23  Kyoṅki terā khule maidān ke pattharoṅ ke sāth ahd hogā, is lie us ke janglī jānwar tere sāth salāmatī se zindagī guzāreṅge.
Job UrduGeoR 5:24  Tū jān legā ki terā ḳhaimā mahfūz hai. Jab tū apne ghar kā muāynā kare to mālūm hogā ki kuchh gum nahīṅ huā.
Job UrduGeoR 5:25  Tū dekhegā ki terī aulād baṛhtī jāegī, tere farzand zamīn par ghās kī tarah phailte jāeṅge.
Job UrduGeoR 5:26  Tū waqt par jamāshudā pūloṅ kī tarah umrrasīdā ho kar qabr meṅ utregā.
Job UrduGeoR 5:27  Ham ne tahqīq karke mālūm kiyā hai ki aisā hī hai. Chunāṅche hamārī bāt sun kar use apnā le!”