Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 19
Job UrduGeoR 19:2  “Tum kab tak mujh par tashaddud karnā chāhte ho, kab tak mujhe alfāz se ṭukṛe ṭukṛe karnā chāhte ho?
Job UrduGeoR 19:3  Ab tum ne das bār mujhe malāmat kī hai, tum ne sharm kie baġhair mere sāth badsulūkī kī hai.
Job UrduGeoR 19:4  Agar yih bāt sahīh bhī ho ki maiṅ ġhalat rāh par ā gayā hūṅ to mujhe hī is kā natījā bhugatnā hai.
Job UrduGeoR 19:5  Lekin chūṅki tum mujh par apnī sabqat dikhānā chāhte aur merī ruswāī mujhe ḍānṭne ke lie istemāl kar rahe ho
Job UrduGeoR 19:6  to phir jān lo, Allāh ne ḳhud mujhe ġhalat rāh par lā kar apne dām se gher liyā hai.
Job UrduGeoR 19:7  Go maiṅ chīḳh kar kahūṅ, ‘Mujh par zulm ho rahā hai,’ lekin jawāb koī nahīṅ miltā. Go maiṅ madad ke lie pukārūṅ, lekin insāf nahīṅ pātā.
Job UrduGeoR 19:8  Us ne mere rāste meṅ aisī dīwār khaṛī kar dī ki maiṅ guzar nahīṅ saktā, us ne merī rāhoṅ par andherā hī chhā jāne diyā hai.
Job UrduGeoR 19:9  Us ne merī izzat mujh se chhīn kar mere sar se tāj utār diyā hai.
Job UrduGeoR 19:10  Chāroṅ taraf se us ne mujhe ḍhā diyā to maiṅ tabāh huā. Us ne merī ummīd ko daraḳht kī tarah jaṛ se ukhāṛ diyā hai.
Job UrduGeoR 19:11  Us kā qahr mere ḳhilāf bhaṛak uṭhā hai, aur wuh mujhe apne dushmanoṅ meṅ shumār kartā hai.
Job UrduGeoR 19:12  Us ke daste mil kar mujh par hamlā karne āe haiṅ. Unhoṅ ne merī fasīl ke sāth miṭṭī kā ḍher lagāyā hai tāki us meṅ raḳhnā ḍāleṅ. Unhoṅ ne chāroṅ taraf se mere ḳhaime kā muhāsarā kiyā hai.
Job UrduGeoR 19:13  Mere bhāiyoṅ ko us ne mujh se dūr kar diyā, aur mere jānane wāloṅ ne merā huqqā-pānī band kar diyā hai.
Job UrduGeoR 19:14  Mere rishtedāroṅ ne mujhe tark kar diyā, mere qarībī dost mujhe bhūl gae haiṅ.
Job UrduGeoR 19:15  Mere dāmangīr aur naukarāniyāṅ mujhe ajnabī samajhte haiṅ. Un kī nazar meṅ maiṅ ajnabī hūṅ.
Job UrduGeoR 19:16  Maiṅ apne naukar ko bulātā hūṅ to wuh jawāb nahīṅ detā. Go maiṅ apne muṅh se us se iltijā karūṅ to bhī wuh nahīṅ ātā.
Job UrduGeoR 19:17  Merī bīwī merī jān se ghin khātī hai, mere sage bhāī mujhe makrūh samajhte haiṅ.
Job UrduGeoR 19:18  Yahāṅ tak ki chhoṭe bachche bhī mujhe haqīr jānte haiṅ. Agar maiṅ uṭhne kī koshish karūṅ to wuh apnā muṅh dūsrī taraf pher lete haiṅ.
Job UrduGeoR 19:19  Mere dilī dost mujhe karāhiyat kī nigāh se deḳhte haiṅ, jo mujhe pyāre the wuh mere muḳhālif ho gae haiṅ.
Job UrduGeoR 19:20  Merī jild sukaṛ kar merī haḍḍiyoṅ ke sāth jā lagī hai. Maiṅ maut se bāl bāl bach gayā hūṅ.
Job UrduGeoR 19:21  Mere dosto, mujh par tars khāo, mujh par tars khāo. Kyoṅki Allāh hī ke hāth ne mujhe mārā hai.
Job UrduGeoR 19:22  Tum kyoṅ Allāh kī tarah mere pīchhe paṛ gae ho, kyoṅ merā gosht khā khā kar ser nahīṅ hote?
Job UrduGeoR 19:23  Kāsh merī bāteṅ qalamband ho jāeṅ! Kāsh wuh yādgār par kandā kī jāeṅ,
Job UrduGeoR 19:24  lohe kī chhainī aur sīse se hameshā ke lie patthar meṅ naqsh kī jāeṅ!
Job UrduGeoR 19:25  Lekin maiṅ jāntā hūṅ ki merā Chhuṛāne Wālā zindā hai aur āḳhirkār mere haq meṅ zamīn par khaṛā ho jāegā,
Job UrduGeoR 19:26  go merī jild yoṅ utārī bhī gaī ho. Lekin merī ārzū hai ki jism meṅ hote hue Allāh ko dekhūṅ,
Job UrduGeoR 19:27  ki maiṅ ḳhud hī use dekhūṅ, na ki ajnabī balki apnī hī āṅkhoṅ se us par nigāh karūṅ. Is ārzū kī shiddat se merā dil tabāh ho rahā hai.
Job UrduGeoR 19:28  Tum kahte ho, ‘Ham kitnī saḳhtī se Ayyūb kā tāqqub kareṅge’ aur ‘Masle kī jaṛ to usī meṅ pinhāṅ hai.’
Job UrduGeoR 19:29  Lekin tumheṅ ḳhud talwār se ḍarnā chāhie, kyoṅki tumhārā ġhussā talwār kī sazā ke lāyq hai, tumheṅ jānanā chāhie ki adālat āne wālī hai.”