Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JOB
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 28
Job UrduGeoR 28:1  Yaqīnan chāṅdī kī kāneṅ hotī haiṅ aur aisī jagheṅ jahāṅ sonā ḳhālis kiyā jātā hai.
Job UrduGeoR 28:2  Lohā zamīn se nikālā jātā aur log patthar pighlā kar tāṅbā banā lete haiṅ.
Job UrduGeoR 28:3  Insān andhere ko ḳhatm karke zamīn kī gahrī gahrī jaghoṅ tak kachchī dhāt kā khoj lagātā hai, ḳhāh wuh kitne andhere meṅ kyoṅ na ho.
Job UrduGeoR 28:4  Ek ajnabī qaum surang lagātī hai. Jab rassoṅ se laṭke hue kām karte aur insānoṅ se dūr kān meṅ jhūmte haiṅ to zamīn par guzarne wāloṅ ko un kī yād hī nahīṅ rahtī.
Job UrduGeoR 28:5  Zamīn kī satah par ḳhurāk paidā hotī hai jabki us kī gahrāiyāṅ yoṅ tabdīl ho jātī haiṅ jaise us meṅ āg lagī ho.
Job UrduGeoR 28:6  Pattharoṅ se sang-e-lājaward nikālā jātā hai jis meṅ sone ke zarre bhī pāe jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 28:7  Yih aise rāste haiṅ jo koī bhī shikārī parindā nahīṅ jāntā, jo kisī bhī bāz ne nahīṅ dekhā.
Job UrduGeoR 28:8  Jangal ke robdār jānwaroṅ meṅ se koī bhī in rāhoṅ par nahīṅ chalā, kisī bhī sherbabar ne in par qadam nahīṅ rakhā.
Job UrduGeoR 28:9  Insān sang-e-chaqmāq par hāth lagā kar pahāṛoṅ ko jaṛ se ulṭā detā hai.
Job UrduGeoR 28:10  Wuh patthar meṅ surang lagā kar har qism kī qīmtī chīz dekh letā
Job UrduGeoR 28:11  aur zamīndoz nadiyoṅ ko band karke poshīdā chīzeṅ raushnī meṅ lātā hai.
Job UrduGeoR 28:12  Lekin hikmat kahāṅ pāī jātī hai, samajh kahāṅ se miltī hai?
Job UrduGeoR 28:13  Insān us tak jāne wālī rāh nahīṅ jāntā, kyoṅki use Mulk-e-hayāt meṅ pāyā nahīṅ jātā.
Job UrduGeoR 28:14  Samundar kahtā hai, ‘Hikmat mere pās nahīṅ hai,’ aur us kī gahrāiyāṅ bayān kartī haiṅ, ‘Yahāṅ bhī nahīṅ hai.’
Job UrduGeoR 28:15  Hikmat ko na ḳhālis sone, na chāṅdī se ḳharīdā jā saktā hai.
Job UrduGeoR 28:16  Use pāne ke lie na Ofīr kā sonā, na beshqīmat aqīq-e-ahmar yā sang-e-lājaward kāfī haiṅ.
Job UrduGeoR 28:17  Sonā aur shīshā us kā muqābalā nahīṅ kar sakte, na wuh sone ke zewarāt ke ewaz mil saktī hai.
Job UrduGeoR 28:18  Us kī nisbat mūṅgā aur billaur kī kyā qadar hai? Hikmat se bharī thailī motiyoṅ se kahīṅ zyādā qīmtī hai.
Job UrduGeoR 28:19  Ethopiyā kā zabarjad us kā muqābalā nahīṅ kar saktā, use ḳhālis sone ke lie ḳharīdā nahīṅ jā saktā.
Job UrduGeoR 28:20  Hikmat kahāṅ se ātī, samajh kahāṅ se mil saktī hai?
Job UrduGeoR 28:21  Wuh tamām jāndāroṅ se poshīdā rahtī balki parindoṅ se bhī chhupī rahtī hai.
Job UrduGeoR 28:22  Pātāl aur Maut us ke bāre meṅ kahte haiṅ, ‘Ham ne us ke bāre meṅ sirf afwāheṅ sunī haiṅ.’
Job UrduGeoR 28:23  Lekin Allāh us tak jāne wālī rāh ko jāntā hai, use mālūm hai ki kahāṅ mil saktī hai.
Job UrduGeoR 28:24  Kyoṅki usī ne zamīn kī hudūd tak dekhā, āsmān tale sab kuchh par nazar ḍālī
Job UrduGeoR 28:25  tāki hawā kā wazn muqarrar kare aur pānī kī paimāish karke us kī hudūd muta'ayyin kare.
Job UrduGeoR 28:26  Usī ne bārish ke lie farmān jārī kiyā aur bādal kī kaṛaktī bijlī ke lie rāstā taiyār kiyā.
Job UrduGeoR 28:27  Usī waqt us ne hikmat ko dekh kar us kī jāṅch-paṛtāl kī. Us ne use qāym bhī kiyā aur us kī tah tak tahqīq bhī kī.
Job UrduGeoR 28:28  Insān se us ne kahā, ‘Suno, Allāh kā ḳhauf mānanā hī hikmat aur burāī se dūr rahnā hī samajh hai.’”